Add Poetry

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Poet: Ahmed Faraz By: zubair, khi

Suna Hai Log Usay Aankh Bhar Ke Dekhte Hain
So Us Ke Shahar Mein Kuch Din Thehar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Rabt Hai Usko Kharaab Halon Se
So Apne Aap Ko Barbaad Karke Dekhte Hain

Suna Hai Dard Ki Ga-Hak Hai Chashm-E-Naaz Uski
So Ham Bhi Uski Gali Se Guzar Kar Dekhte Hain

Suna Hai Usko Bhi Hai Sheir-O-Shaeri Se Shaghaf
So Ham Bhi Moajze Apne Hunar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Bole To Baton Se Phol Jharte Hain
Yeh Baat Hai To Chalo Baat Kar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Raat Use Chaand Taktaa Rehta Hai
Sitare Baam-E-Falak Se Utar Kar Dekhte Hain

Suna Hai Din Ko Use Titliyaan Satati Hain
Suna Hai Raat Ko Jugnu Thehr Ke Dekhte Hain

Suna Hai Hashr Hain Uski Ghazal Si Aankhein
Suna Hai Usko Hiran Dasht Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uski Siyah Chashmagi Qayamat Hai
So Usko Surma Farosh Aankh Bhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uske Labon Se Gulab Jalte Hain
So Ham Bahaarh Pe Ilzaam Dhar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Aaeinaa Tamasil Hai Jabin Uski
Jo Saadaa Dil Hai Use Ban-Sanwar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uske Badan Ke Taraash Aise Hain
Ke Phol Apni Qabaaein Katar Ke Dekhte Hain

Suna Hai Uski Shabistaan Se Mut-Tasil Hai Bahisht
Makeen Udhar Ke Bhi Jalve Idhar Ke Dekhte Hain

Ruke Toh Gardishein Uska Tawaaf Karti Hain
Chale To Usko Zamaane Thehr Ke Dekhte Hain

Kahaniyan He Sahi Sab Mubalghe He Sahi
Agar Woh Khawab Hai Tou Taabir Kar Ke Dekhte Hain

Ab Usake Shehar Mein Thehrein Ke Koch Kar Jaein
"Faraz" Aao Sitare Safar Ke Dekhte Hain

Rate it:
Views: 12494
24 Oct, 2016
Related Tags on Ahmed Faraz Poetry
Load More Tags
More Ahmed Faraz Poetry
Popular Poetries
View More Poetries
Famous Poets
View More Poets