✕
Poetry
Famous Poets
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
More Poets
Poetry Categories
Love Poetry
Sad Poetry
Friendship Poetry
Islamic Poetry
Punjabi Poetry
More Categories
Poetry SMS
Poetry Images
Tags
Poetry Videos
Featured Poets
Post your Poetry
News
Business
Mobile
Articles
Islam
Names
Health
Shop
More
WOMEN
AUTOS
ENews
Recipes
Poetries
Results
Videos
Directory
Photos
Business & Finance
Education News
Add Poetry
Home
LOVE POETRY
SAD POETRY
FAMOUS POETS
POETRY IMAGES
POETRY VIDEOS
NEWS
ARTICLES
MORE ON POETRY
Home
Urdu Poetry
Featured Poets
Shahid Mansoor
Search
Add Poetry
Poetries by Shahid Mansoor
Bohat Dil Ko Kushada Kar Lia
Bohat Dil Ko Kushada Kar Lia Kia?
Zamaney Bhar Se Waada Kar Lia Kia?
Tu Kia Sach Much Judayi Mujhse Kar Li?
Tu Khud Apney Ko Aadha Kar Lia Kia..?
Hunar Mandi Se Apney Dil Ka Safha...
Meri Jaan, Tum Ne Saada Kar Lia Kia?
Bohat Nazdeek Aatey Ja Rahey Ho..
Bicharney Ka Irada Kar Lia Kia..??
Ahmed Arif
Copy
Aur To Koi Bas Na Chalega Hijr K
Aur To Koi Bas Na Chalega Hijr K Dard K Maron Ka
Subah Ka Hona Dubhar Kar Dein Rasta Rok Sitaron Ka
Jhuthe Sikon Mein Bhi Utha Dete Hain Aksar Sacha Mal
Shaklen Dekh K Sauda Karna Kam Hai In Banjaron Ka
Apni Zuban Se Kuch Na Kahenge Chup Hi Rahenge Ashiq Log
Tum Se To Itna Ho Sakta Hai Pucho Hal Becharon Ka
Ek Zara Si Bat Thi Jis Ka Charcha Pohuncha Gali Gali
Ham Gumnamon Ne Phir Bhi Ehsan Na Mana Yaron Ka
Dard Ka Khna Chikh Utho Dil Ka Taqaza Waza Nibhao
Sab Kuchh Sehna Chup Chup Rahna Kam Hai Izzatdaron Ka
Ahmed Arif
Copy
Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na
Muujhko Ruswa Sar E Baazar Na Karwaya Karay
Kash Aansoo Meri Aankho'n Mai Hi Reh Jaya Karay
Ai Hawa Mainay To Bas Uska Pata Puchha Tha
Ab Kahani To Na Harr Baat Ki Ban Jaya Karay
Bas Bohot Daikh Liye Khwaab Suhanay Din K
Ab Wo Bato'n Ki Rifaqat Se Na Behlaya Karay
Ikk Museebat To Nahi Tooti So Ab Iss Dil Se
Jiss Musibat Ne Guzarna Hai Guzar Jaya Karay
Jiss K Khaabo'n Ko Mai Aankho'n Mai Saja Kar Rakkhoo'n
Usski Khushboo Kabhi Mujhko Bhi To Mehkaya Karay
Shahid Mansoor
Copy
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Zaruri Bat Kahni Ho
Koi Wada Nibhana Ho
Use Awaz Deni Ho
Use Wapas Bulana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Madad Karni Ho Uski
Yar Ki Dharas Bandhana Ho
Bahut Derina Raston Par
Kisi Se Milne Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Badalte Mausamon Ki Sair Main
Dil Ko Lagana Ho
Kisi Ko Yad Rakhna Ho
Kisi Ko Bhul Jana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Kisi Ko Maut Se Pahle
Kisi Gam Se Bachna Ho
Haqiqat Aur Thi Kuch
Us Ko Ja K Ye Batana Ho
Hamesha Der Kar Deta Hun Main
Shahid Iqbal
Copy
Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain
Butan-E-Mahvash Ujri Hui Manzil Main Rahte Hain
K Jis Ki Jan Jati Hai Usi K Dil Main Rahte Hain
Hazaron Hasraten Vo Hain K Rok Se Nahin Ruktin
Bahot Arman Aise Hain K Dil K Dil Main Rahte Hain
Khuda Rakhe Muhabbat K Liye Abad Donon Ghar
Main Un K Dil Main Rahta Hun Vo Mere Dil Main Rahte Hain
Zamin Par Panv Nakhvat Se Nahin Rakhte Pari-Paikar
Ye Goya Is Makan Ki Dusari Manzil Main Rahte Hain
Koi Nam-O-Nishan Puche To Ai Qasid Bata Dena
Takhallus "Dag" Hai Aur Ashiqon K Dil Main Rahte Hain
Shahid Iqbal
Copy
قصد گر امتحان ہے پیارے
قصد گر امتحان ہے پیارے
اب تلک نیم جان ہے پیارے
گفتگو ریختے میں ہم سے نہ کر
یہ ہماری زبان ہے پیارے
چھوڑ جاتے ہیں دل کو تیرے پاس
یہ ہمارا نشان ہے پیارے
میر عمدن بھی کوئی مرتا ہے
جان ہے تو جہان ہے پیارے
Danish Afzal
Copy
Zaban Sukhan Ko
Zaban Sukhan Ko, Sukhan Bankpan Ko Tarsega
Sukhankada Meri Tarz-E-Sukhan Ko Tarsega
Naye Pyale Sahi Tere Daur Main Saqi
Ye Daur Meri Sharab-E-Kohan Ko Tarsega
Mujhe To Khair Watan Chor K Aman Na Mili
Watan Bhi Mujh Se Garib-Ul-Watan Ko Tarsega
Unhin K Dam Se Farozan Hain Millaton K Charag
Zamana Sohbat-E-Arbab-E-Fan Ko Tarsega
Badal Sako To Badal Do Ye Bagban Warna
Ye Bag Saya-E-Sard-O-Saman Ko Tarsega
Hawa-E-Zulm Yahi Hai To Dekhna Ek Din
Zamin Pani Ko Suraj Kiran Ko Tarsega
Ahmed Arif
Copy
Shauq Ko Aazime Safar Rakhiye
Shauq Ko Aazime Safar Rakhiye
Bekhabar Banke Sab Khabar Rakhiye
Chahe Nazrein Ho Aasmanon Par
Paon Lekin Zameen Par Rahkhiye
Baat Hai Kya Yeh Kaun Parkhega
Aap Lehje Ko Purasar Rakhiye
Jaane Kis Waqt Kooch Karna Ho
Apna Saaman Mukhtasar Rakhiye
Dil Ko Khud Dil Se Raah Hoti Hai
Kis Liye Nam A Bar Rakhiye
Baat Hai Kya Yeh Kon Parkhey Ga
Aap Lehjey Ko Pur-Asar Rakhiye
Aik Tuk Mujhko Dekhe Jati Hain
Apni Nazron Pe Kuch Nazar Rakhiye
Danish Afzal
Copy
Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia
Mahfilain Lut Gayen Jazbat Ne Dam Tor Dia
Saaz Khamosh Hain Naghmaat Ne Dam Tor Dia
Har Mussarat Gham-E- Deeroze Ka Unwaan Bani
Waqt Ki God Main Lamhaat Ne Dam Tor Dia
An Gint Mahfilain Mahroom Charaghan Hai Abhi
Kon Kahta Hai Ke Zulmaat Ne Dam Tor Dia
Aaj Phir Bujh Gaye Jal Jal Ke Umeedon Ke Charagh
Aaj Phir Taaron Bhari Raat Ne Dam Tor Dia
Jin Se Afsana -E -Hasti Mai Tasalsul Tha Kabhi
In Mohabbat Ki Rawayaat Ne Dam Tor Dia
Jhilmilatay Huay Ashkon Ki Lari Toot Gayi
Jagmagati Huyi Barsaat Ne Dam Tor Dia
Haaay Aadab-E- Mohabbat Ke Takazay Saghir
Lab Hilay Aur Shikayaat Ne Dam Tor Dia
Shahid Iqbal
Copy
Tumhari Mast Nazar Agar Idhar
Tumhari Mast Nazar Agar Idhar Nahi Hoti
Nashe Mein Choor Fiza Is Kadar Nahi Hoti
Tumhin Ko Dekhane Ke Dil Mein Aarazuen Hain
Tamhare Aage Hi Aur Unchi Nazar Nahi Hoti
Khafa Na Hona Agar Bad Ke Tham Lun Daman
Ye Dil Fareb Khata Jan Kar Nahi Hoti
Tumhare Aane Talak Hum Ko Hosh Rehta Hai
Phir Usake Bad Hamen Kuch Khabar Nahi Hoti
Shahid Iqbal
Copy
Ham Se Bahal Rahe Hai.N Aap Aap
Ham Se Bahal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Dard Me.N Dhal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Saayaa-E-Vasl Kab Se Hai Aap Kaa Muntazir Magar
Hijr Me.N Dhal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Apane Khilaaf Faisalaa Khud Hii Likhaa Hai Aap Ne
Haath Bhii Mal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Vaqt Ne Aarazuu Kii Lau Der Hu_Ii Bujhaa Bhii Dii
Ab Bhii Pighal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Zahamat-E-Zarbat-E-Digar Dost Ko Diijiye Nahii.N
Gir Ke Sambhal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Daayaraavaar Hii To Hai.N Ishq Ke Raaste Tamaam
Raah Badal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Dasht Kii Saarii Raunaqe.N Khair Se Ghar Me.N Hai.N To Kyuu.N
Ghar Se Nikal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Apanii Talaash Kaa Safar Khatm Bhii Kiijiye Kabhii
Khvaab Me.N Chal Rahe Hai.N Aap Aap Bahut Ajiib Hai.N
Shahid Iqbal
Copy
Koiee Sunta He Nahee
Aankhon Mein Kisi Yaad Ka Ras Ghol Rahi Hun
Uljhay Hoay Paloo Say Girah Khol Rahi Hun
Woh Aay Khareeday Mughay Pinjray Mein Bitha Day
Mein Bhaag Mein Kisi Mayna Ki Tarah Bol Rahi Hun
Hur Baar Hoa Hay Meray Nuqsaan Ka Sauda
Kehnay Ko Hamaysha Say Mein Anmol Rahi Hun
Rashid Lateef
Copy
Jab Se Us Ne Shahar Ko
Jab Se Us Ne Shahar Ko Chho.Daa Har Rastaa Sun_Saan Huaa
Apanaa Kyaa Hai Saare Shahar Kaa Ik Jaisaa Nukasaan Huaa
Mere Haal Pe Hairat Kaisii Dard Ke Tanhaa Mausam Me.N
Patthar Bhii Ro Pa.Date Hai.N I.Nsaan To Phir I.Nsaan Huaa
Us Ke Zakhm Chhupaa Kar Rakhiye Khud Us Shakhs Kii Nazaro.N Se
Us Se Kaisaa Shikavaa Kiije Vo To Abhii Naadaan Huaa
Yuu.N Bhii Kam Aamez Thaa "Mohsin" Vo Is Shahar Ke Logo.N Me.N
Lekin Mere Saamane Aakar Aur Hii Kuchh A.Njaam Huaa
Rashid Lateef
Copy
Rat Ai Hai Balaon Se
Rat Ai Hai Balaon Se Rihai Degi
Ab Na Divar Na Zanjir Dikhai Degi
Vaqt Guzra Hai Par Mausam Nahin Badala Yaro
Aisi Gardish Hai Zamin Khud Bhi Duhai Degi
Ye Dhundalaka Sa Jo Hai Us Ko Ganimat Jano
Dekhna Phir Koi Surat Na Sujhai Degi
Dil Jo Tutega To Ik Tarfa Tamasha Hoga
Kitne Ainon Main Ye Shaql Dikhai Degi
Sath Ke Ghar Main Bara Shor Barpa Hai ‘Anwar’
Koi Ayega To Dastak Na Sunai Degi
Danish Afzal
Copy
Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh
Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi
Main Janta Hun Mujhe Khabar Hai K Kal Faza Khushgawar Hogi
Rahe Muhabbat Main Zindagi Bhar Rahegi Ye Kashamakash Barabar
Na Tumko Qurbat Main Jit Hogi Na Mujhko Furqat Main Har Hogi
Hazar Ulfat Sataye Lekin Mere Iradon Se Hai Ye Mumkin
Agar Sharafat Ko Tumne Chera To Zindagi Tum Pe War Hogi
Shahid Iqbal
Copy
PEGHAM-E-IQBAL
Apne Markaz Se Agar Duur Nikal Jao Ge
Khwaab Ho Jao Ge, Afsano Mein Dhal Jao Ge
Ab To Chehron Ke Khad-O-Khal Bhi Pehle Se Nahin
Kis Ko Maloom Tha Tum Itne Badal Jao Ge
Apne Parcham Ka Kahin Rang Bhula Mat Dena
Surkh Sholon Se Jo Khelo Ge To Jal Jao Ge
De Rahe Hain Tumhain To Log Rafaqat Ka Fareb
In Ki Tareekh Parho Ge To Dehal Jao Ge
Apni Mitti Pe Hi Chalny Ka Saleeqa Seekho
Sang-E-Mar.Mar Pe Chalo Ge Tou Phisal Jao Ge
Khwabgahon Se Nikalte Hue Dartay Kyon Ho
Dhoop Itni To Nahin Hai Ke Pighal Jao Ge
Taiz Qadmon Se Chalo Aur Tasadam Se Bacho
Bheer Mein Sust Chalo Ge To Kuchal Jao Ge
Humsafar Dhoondo Na Rahbar Ka Sahara Chaho
Thokarain Khao Ge To Khud Hi Sambhal Jao Ge
Tum Ho Ek Zinda Jawed Riwayat Ke Chiraagh
Tum Koi Shaam Ka Suraj Ho Ke Dhal Jao Ge
Subh Sadik Mujhe Matloob Hai Kis Se Mangon
Tum To Bholay Ho, Chraghon Se Behal Jao Ge
Shahid Iqbal
Copy
Chal Insha Apne Gaaon Main
Chal Insha Apne Gaaon Main
Yahan Uljhey Uljhey Roop Buhat
Per Asli Kamm, Behroop Buhat
Is Pairr K Neechey Kya Rukna
Jahan Sa`Aey Kamm, Dhoop Buhat
Chal Insha Apne Gaaon Main
Bethein Ge Sukh Ki Chhaaon Main
Kyun Teri Aankh Sawaali Hai?
Yahan Har Ek Baat Niraali Hai
Is Dais Baseira Mat Karna
Yahan Muflis Hona Gaali Hai
Chal Insha Apne Gaaon Main
Jahan Suchey Rishtey Yaaron K
Jahan Vaadey Pakkey Pyaaron K
Jahan Sajda Kare Wafa Paaon Main
Chal Insha Apne Gaaon Main
Rashid Lateef
Copy
Dipak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhen
Dipak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayen Tumhen
Ham To Sulagte Hi Rahte Hain Kyon Sulgayen Tumhen
Tark-E-Muhabbat, Tark-E-Tamanna Kar Chukne K Bad
Ham Pe Ye Mushkil An Pari Hai Kaise Bulayen Tumhen
Sannata Jab Tanhai K Zahar Mein Bujhta Hai
Wo Ghariyan Kyon Kar Katti Hain Kaise Batayen Tumhen
Jin Baton Ne Pyar Tumhara Nafrat Mein Badla
Dar Lagta Hai Wo Baten Bhi Bhul Na Jayen Tumhena
Shahid Mansoor
Copy
Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise
Yun Na Mil Mujh Se Khafa Ho Jaise
Sath Chal Mauj-E-Saba Ho Jaise
Log Yun Dekh Kar Hans Dete Hain
Tu Mujhe Bhool Gaya Ho Jaise
Ishq Ko Shirk Ke Had Tak Na Bada
Yun Na Mil Hum Se Khuda Ho Jaise
Maut Bhi Aayi To Is Naz Ke Sath
Mujhape Ehsaan Kiya Ho Jaise
Aise Anjan Bane Baithe Ho
Tum Ko Kuch Bhi Na Pata Ho Jaise
Hichakiyan Raat Ko Aati Hi Rahin
Tu Ne Phir Yaad Kiya Ho Jaise
Zindagi Bit Rahi Hai “Danish”
Ek Bejurm Saza Ho Jaise
Rashid Lateef
Copy
Kabhi Mujh Ko Sath Lekar
Kabhi Mujh Ko Sath Lekar, Kabhi Mere Sath Chal Kar
Wo Badal Gaye Achanak Meri Zindagi Badal Kar
Huye Jis Pe Meharaban Tum Koi Khushnasib Hoga
Meri Hasaraten To Nikalin Mere Aansuon Mein Dhal Ke
Teri Zulf-O-Rukh Ke Qurban Dil-E-Zar Dhundhata Hai
Wohi Champai Ujale Wohi Suramai Dhundalake
Koi Phul Ban Gaya Hai Koi Chand Koi Tara
Jo Chirag Bujh Gaye Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke
Mere Dosto Khudara Mere Sath Tum Bhi Dhundo
Wo Yahin Kaheen Chupe Hain Mere Gham Ka Rukh Badal Ke
Teri Bejhijhak Hansi Se Na Kisi Ka Dil Ho Maila
Ye Nagar Hai Aainon Ka Yahan Sans Le Sambhal Ke
Shahid Mansoor
Copy
Load More
Famous Poets
Mirza Ghalib
Allama Iqbal
Ahmed Faraz
Amjad Islam Amjad
Wasi Shah
Parveen Shakir
Faiz Ahmed Faiz
Munir Niazi
Jaun Elia
Gulzar
Tahzeeb Hafi
Ali Zaryoun
View More Poets