Dard-E-Dil K Wasaty Paida Kiya Insaan Ko

(HijabEnoor, pindi)

"Dard-E-Dil K Wasty Paida Kiya Insaan Ko
Warna Ataa'at K Liay Kam Na They, Kar-O-Bayaan"

Khawaja Meer Nay Kaya Khoob Wazahat Kardali, Yani K Insaan Ki Takhleeq Ka Maqsad-E-Hayaat Yehi Hai K Insaan , Afoo-O-Darguzar, Shafqat-O-Masawaat Or Muhabat-O-Akhowat Ka Muraqa Ho To Insaniyat Ki Meraaj Ko Pa Layta Hai.....

Molna Hali Kehty Hein:
"Yeh Pehla Sabaq Tha...Kitaab-E-Khuda Ka
K Hai Sari Makhooq, Kumba Khuda Ka

Wohi Dost Hai Maalik-E-Do-Saraan Ka
Khalaaiq Say Hai Jis Ko Rishta Wilaah Ka

Yehi Hai Eebadat, Yehi Deen-O-Eemaan
K Kaam Aye Duniya Mein Insaan,,,K Insaan"

Alhumdulillah Hum Muslamaan Hain Or Insaniyat Ki Rehnomaee Ka Sehra B Os Hasti Ko Diya Gaya Jis Ko Rab-E-Jaleel Nay B, Rehmat-Ul-Lil-Alameen (S) Kaha Tha.....

To Be Continued.,....

HijabEnoor
About the Author: HijabEnoor Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.