Assalamoalikum Dosto!
Aj Ka Jo Hamara Artical Hai Wo Hai " Khuda Daikh Raha Hai " Is Se Murad Hai Ky
Duniya Mein Jo Kuch Ho Rha Ya Insan Jo Kuch Bhi Kar Raha Hai Ya Wo Kar Chuka Hai
Wo Sab Khuda Daikh Raha Hai ... Or Uski Nazar Se Kuch Bhi Bacha Hua Nai Hai .."
Insan Kabhi Kabhi Bhool Jata Ky Jis Ne Usy Is Jahan Mein Bejha Hai Uski Nazar
Usky Her Kam Her Herkat Py Hai Jb Tk Wo Zinda Hai Or Jab Wo Wafat Paa Jaye Ga
Tab Bhi ... Magar Insan Apne Duniyawi Kamo Mein Itna Masroof Ho Chuka Hai Ky Wo
Bhool Chuka Ky Jis Ny Usy Is Jahan Mein Beja Hai Usy Khush Karna Bhi Zaruri Hai
Na Ky Dunyawi Kamo Mein Magan Ho Ky Usy Bhool Jaye ...😊
Insan Jab Bhi Museebat Mein Hota Hai Or Koi Uski Madad Kary Ya Na Kary Magar
Khuda Usy Kisi B Haal Mein Tanha Ya Mayuse Nai Karta .. Her Paal Us Bandey Py
Nazar Rkhta Or Uski Madad Karta ..
Hum Ku Bhool Jaty Hain Ky Ye Duniya Ki Asaishein Duniya Mein Hi Reh Jyein Gi
Ager Hamary Sath Kuch Jaye Ga To Wo Akhrat Ka Ikhata Kiya Gya Saman Ho Ga ... Ku
Ky Ye Duniya Arzi Hai Or Akhrat Haqeeqi Hai Or Insan Jitni Jldi Is Haqeeqat Ko
Tasleem Kar Ly Utna Hi Usky Liye Behtar Hai ...😊
Hum Boht Se Ese Kam Karty Hain Jinse Khuda Naraz Ho Jata Magar Hum Insan Usy
Mananey Ki Bajae Or Gltiyan Karty Hain .. Magar Wo Phr Bhi Uska Sath Deta Hai
... Yehi To Us Khuda Ki Shaan Or Qudrat Hai Jo Insan Nai Jaan Skta Ku Ky Ager Wo
Jan Jaye To Kabhi Bhi Us Se Doore Na Ho ...
" Sirf Ehsas_E_Nidamat Aur Ek Sajda_E_Tar
Ay Khuda Kitna Asan Hai Manana Tujhy"
Ehlaqi Sabak:
Hamein Duniya Ky Kamon Mein Itna Bhi Magan Nai Hona Chahiye Ky Hum Akharat Ka
Anjam Hi Bhool Jyein Or Ye Bhi Yad Rkhna Chahiye Ky Hmary Her Km Py Her Amal Py
Khuda Ki Nazar Hai Or Kuch Bhi Uski Nazar Se Chup Nai Skta ... Chahy Insan Kisi
Bhi Duniya Ky Kone Mein Chala Jaye ...Kiu Ky Khuda Sab Daikh Raha Hai ..😊
Thankuuu All...❤❤