Waldain ( Aik Naimat )

(Sumbal, Gujrat)

WALDAIN ( AIK NAIMAT )

Assalamoalikum Dosto!

Aj Ka Artical Boht Hi Khubsurat Hai Kiu Ky Wo Hamary Maa Baap Se Mutalik Hai ... Dosto Waldain Ek Esi Naimat Hain Allah Ki Tarf Se Jo Ky Zindagi Ky Her Lamhy Her Mokey Mein Khushiyan Bakhaire Detey Hain Or Unky Hone Se Zindagi Khubsurat Rehti Hai ..

Baaz Oukat Insan Zindagi Ky Ese Kamon Mein Ulaj Jata Ky Wo Apne Waldain Ko Hi Waqt Dena Bhool Jata Jabky Dosto Ye Baat Bohat Galt Hai Hum Loge Kiu Bhool Jatey Hain Ky Wo Waldain Jo Hamein Paida Hone Se Bara Karne Tak Ek Ek Waqt Ko Qeemti Smjhty Rhy Hum Unhi Ky Liye Waqt Nikalna Bhool Jatey .. Kiu ? Kiu Ky Kam Zayada Zaruri? Nai Bilkul Bhi Nai Duniya Ka Koi Bhi Kam Koi Bhi Maa Baap Se Bhar Ky Nai Ho Sakta ... Jab Ek Maa Hamein 9 Maah Apny Pait Mein Rkhti Hai To Usy Ek Ek Lamhy Ka Intezar Hota Or Wo Ek Ek Lamhy Ko Khubsurat Bnaney Ka Soachti ...Jab Ek Baap Hum Paida Hotey Or Usky Baad Bhi Hmari Khushion Ki Khatir Khudki Khushiyan Bhoola Deta Bus Ye Soach Ky Ky Uski Oulad Khush Rahy ... To Hum Kiu Unhy Waqt Dena Bhool Jaty? ...

Dosto Tum Loge Duniya Mein Kisi Ka Bhi Pyar Ly Lo Koi Bhi Tumhy Kitna Pyar Kar Ly Magar Maa Baap Se Bhar Ky Koi Bhi Tumhy Pyaar Nai Kar Skta ... Unki Mohabat Ka Koi Name Ul Badal Nai Or Na Hi Ho Sakta ...

Quran Pak Mein Hai...
" Jab Ek Insaan Apne Maa Baap Ky Liye Dua Karna Chore Deta Hai To Usky Rizk Mein Kami A Jati Hai "

Allah Talah Ny Maa Baap Ko Duniya Ky Kisi Bhi Rishty Se Uper Darja Diya Hai Or Is Rishtey Ky Hone Se Insan Zindagi Bhar Sakoon Mein Rehta Magar Jab In Mein Se Koi Ek Bhi Na Ho To Insan Sari Zindagi Pachtata Hai Ky Kash Mein Ny Apni Maa Ya Baap Ko Waqt Or Khushi Di Hoti ...

" Duniya Mein Ager Sakoon Chahtey Ho
To Maa Baap Ki Hidmat Karo"..

Ehlaqi Sabak...
" Dosto Ye Duniya Bohat Zalim Hai Yahan Insan Kisi Ka Nai Or Hum Itne Bewaqoof Hotey Ky Is Duniya Py Yakeen Karty Or Ye Bhool Jatey Ky Hamari Asal Duniya Hamary Maa Baap Hain Hamein Unki Hidmat Pehly Karni Baki Kam Baad Mein... Dosto Itna Kahun Gi Maa Baap Ki Hidmat Karo Or Unhy Waqt Or Sakoon Do Daikhna Allah Ap Logo Ki Zindagion Mein Bhi Sakoon Daal Dy Ga ... InshaAllah

Sumbal
About the Author: Sumbal Read More Articles by Sumbal: 18 Articles with 61437 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.