Taleem ( Ek Aham Faisla )

(Sumbal, Gujrat)

TALEEM ( EK AHAM FAISLA )

Assalamoalikum Dosto!

Taleem Kya Hai ?
" Taleem Her Mard Or Aurat Ky Liye Barabar Hai .. Or Koi Bhi Is Se Mehroom Nai Rehna Chahiye"..

Quran Pak Mein Bhi Taleem Ko Ly Ky Bohat Zore Diya Gaya Hai Or Khas Tore Py Auraton Or Bachion Ki Taleem Py Zayada Zore Diya Gaya Hai... Kiun Ky Aj Kal Ky Mashrey Mein Larkion Ko Bohat Se Loge Taleem Hasil Karne Se Roke Detey Hain Or Ye Bohat Buri Baat Hai Kiun Ky Mashrey Mein Jitna Haq Larko Ko Hai Taleem Hasil Karne Ka Utna Hi Larkion Ko Bhi Hai..

" Taleem Andherey Se Roshni Tak Ka Safar Hai "
Taleem Wo Wahid Zariya Hai Jo Jahil Insan Tak Ko Jeena Seekha Deti Hai.. Najaney Kiun Hamary Mashrey Mein Taleem Hasil Karne Se Loge Darty Hain Or Maa Baap Pata Nai Kiun Apni Betion Ko Taleem Se Roke Detey Jabky Larkion Ki Taleem Py Islam Ny Sabse Zayada Zore Diya Hai... ☺

"Taleem Her Mard Or Aurat Py Lazim Hai"

Chahey Insan Ki Koi Bhi Umar Ho Ya Wo Zindagi Ky Kisi Bhi Parawe Mein Ho Usy Taleem Hasil Karne Ka Pura Haq Hai Or Ye Haq Us Se Koi Nai Cheene Sakta ...Insan Ko Achy Bury Ky Bary Mein Bhi Sab Samj Lag Jati Hai Jab Tak Usky Pass Taleem Hoti Hai Jin Bacho Ky Pass Ya Jin Baro Ky Pass Taleem Na Ho Loge Unhy Sari Zindagi Taney Detey Hain.. Ager Insan Khud Chahey To Wo Zindagi Mein Sab Kuch Hasil Kar Sakta Hai Kiu Ky Uski Sabse Bari Taqat Wo Khud Hai Or Koi Bhi Usy Roke Nai Sakta ..❤

" Taleem Ek Esa Tofah Hai Jo Koi Bhi Apse Cheene Nai Sakta"

Ehlaqi Sabak...
" Zindagi Mein Bohat Se Ese Lamhey Atey Hain Jahan Insan Ko Bohat Kuch Bardash Karna Parta Hai Un Lamhon Mein Hamarey Pass Taleem Hi Esa Wahid Zariya Hai Jo Hamein Mazboot Bnati Hai Or Hum Kisi Bhi Museebat Ka Samna Kar Sakty .. Is Liye Her Insan Ky Pass Taleem Honi Chahiye Chahey Wo Mard Ho Ya Aurat" ...🤞🙂
 

Sumbal
About the Author: Sumbal Read More Articles by Sumbal: 18 Articles with 61674 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.