Hamara Nizam e Taleem In Urdu
(AFRASIAB ALI, faislabad)
Hamara Nizam E Taleem Youn To
Qiyam E Pakistan Ke Foran Baad November 1947 Mein Hukumat Pakistan (Govt Of
Pakistan) Ne Pehli Conference (First Confrence ) Ka Ineqad Keya. Magar Us Waqt
Itni Nafsa Nafsi Ka Alam Tha Ke Iss Conference Se Koi Thos Nataej Nikalney
Mumkin Hi Nahien Tha. Phir Bhi Taleemi Ke Leye Aik Moshaverti Board Aur
Technical Taleem ( Tecnical Education Council ) Ke Leyeh Aik Council Tashkeel Di
Gae. Iss Conference Ki Karwae Per Aik Gahri Nazar Dane Se Maloom Hota Hai Ke
Ibteda Hi Se Nazaryati Sawalat Ne Pakistan Mein Taleem Ko Ghair Leya Tha Aur Iss
Sawal Per Ghour Keya Janey Laga Ke Pakistan Mein Taleem Ki Nazaryati Asas Keya
Hogi? Nateeja Yeh Nikla Geya Ke Soobayat Ke Bajaye Islami Aur Qaumi Nazare Ki
Terweej Ki Jaye
Nazaryati Taleem
Bazahir To Yeh Bat Bari Achchi Maloom Hoti Hai. Magar Pas E Perdah Subon Ke
Inferadi Tashkhas Ko Kuchalney Ki Jo Koshishein Ki Gaien Iss Ke Nateja Hum Aaj
Tak Bhugat Rahe Haein Aur Shayed Humari Anye Wali Kai Naslain Bhugtein Ge.
Nazaryati Asas Ki Arrd Mein Pakistan Mein Banney Wali Mokhtalif Qomiyaton Aur Un
Ki Zaban Maqami Tareekh Maqami Shakhsiyat Aur Unki Jamhoori Tawaqoat Sub Ko Mar
Peet Ker Aik Yak Rangi Shakal Deney Ki Koshish Ki Gae Nateeja Yeh Nikla Ke
Mashraqi Bangal Jisey ( Mashraqi Pakistan) Kaha Geya Ke Nojawan Foran Hi Apni
Zaban Ke Tahaffuz Ke Leyeh Uth Kharey Huye. Go Ke Quaid E Azam Kehte Rahe Ke
Pakistan Aik Mazhabi Reyasat Ke Bajaey Jamhuri Mumlikat Hoga. Lakin Un Ke Bad Ke
Hukumran Aur Umra Ne Mazhab Ko Taleem Mein Istemal Kerna Shuro Ker Deya Takey
Qaumiaton Ki Shanakht Khatam Ker Ke Aik Nam Nihad “Nazaryati” Shanakht Ki Tedr
Weej Ki Jaey.
Bilkul Issi Tarah Jaisey Tahreek Pakistan Ke Dauran Baz Muslim Leaguen Kehne
“Muslim Hai To, Muslim League Mein Aa” Yani Jo Muslim League Mein Nahien Uske
Muslim Hone Mein Shubhat Paida Keay Gaye Chahey Woh Maulana Abul Kalam Azad
Jaisy Jaid Alam Hi Keon Nah Hon. Assi Tarah Pakistan Aur Urdu Ko Aik Ja Ker Deya
Geya Yani Ffangali, Punjabi, Saraiki, Sindhi, Pakhtun, Aur Blouch Wagaira Nahien
Balkey Unhein Thonk Peet Ker Aik Yak Rangi Pakistani Qaum, Aik Qaumi Zaban Urdu
Key Shanchey Mein Dhalney Ki Koshisheny Ki Janey Lagien Chukey Pakistan Mein
Taleem Key Kerta Dharna Khabi Bhi Aisey Log Nahien Rahey Jo Qaumon Key Irteqae
Amal Se Waqif Hon Key Uroup Mein Qaumi Riaston Key Qeyam Key Asbab O Alal Keya
They Ya Yeh Key Wahan Qaumeyatein Aur Qaumi Zabanein Kaisey Perwan Charien Iss
Leyeh Pakistan Mein Shuroo Hi Se Taleemi Nezam Ko Kisi Samaj Yati Shaoor Key
Begaier Kheyali Falmulon Key Zareay Chalaney Ki Koshish Ki Gae.
Hamara Nizam E Taleem Jab Maqsad Yeh Bana Leya Jaey Key Iss Se Tor Maror Ker Aik
Qaum Tashkeel Dey Di Jaey Gi To Iss Se Lamahala Mukhtalif Qaumiyaton Ki Haq
Talfi Hoti Hai. Aik Wafaq Ya Kisi Bhi Intezami Akae Mein Log Iss Waqt Matahid
Rah Sektey Haien Jab Unkey Inferadi Takhshes Ki Zamanat Di Jaey Cha Hei. Woh Aik
Ghar Hi Keon Na Ho. Iss Ke Beraks Pakistan Mein Lasani Ranga Rangi Ko Masal Deya
Geya. Jis Se Bahaisyat Aik Wafaqi Mumlikat Pakistan Ko Shaded Nuqsan Pahoncha.
Issi Leye Hamara Mulk Aik Rodad ,Hissas Motahmil Burdbar Aur Wasi Ul Mushrib
Mashra Na Ban Saka. Yad Rahe Ke Qayam E Pakistan Se Pehle Hamarey Elaqe Mashron
Mein Khubyan Bari Had Tak Maujood Thien. Zahir Hai Ke Jehan Choti Qaumiyatein
Kisi Ginti Mein Na Hon Wahan Adam Mosawat Barhey Gi Jis Mein Hamarey Taleemi
Nezam Ne Bara Kirdar Ada Keya Hai.
Aik Taraf To Aisi Taleem Dainay Ki Koshish Ki Gae Jis Se Pakistan Aik Kasirul
Qaumiyati Mulk Ke Bajaey Aik Qaumi Mulk Ban Jaye Magar Sath Hi Iss Bat Ki
Koshish Ki Gae Ke Taleemi Adam Mosawat Bhi Apni Jagah Barqarar Rahe Yani Aisi
Taleemi Policies Nahien Banae Gaye Jis Se Moshrey Mein Samaji O Mashi Tafawat
Kam Hosakey Balkey Hukmranon Aur Umra Key Bachchon Key Leyeh Magrabi Tarz Key
School Aur Mosllah Afwaj Key Marat Yafta School Na Sirf Baqi Rah Gaey Aur Unhein
Rar Mumkin Imdad Faraham Ki Jati Rahi Jab Key Khud Awam Iss Se Mahroom Rakhey
Gaey Aur Unhein Nazaryati Aur Qaumi Afeem Khela Ker Solaney Ki Koshish Ki Gae
Inn Marat Yafta Schoolon Se Hukmrano Aur Umra Key Bachchay Angrezi Mein Jadeed
Tareen Taleem Hasil Kerkey Hukmerani Key Leyeh Taiyar Hoker Nikeltey Rahey Yani
Batein To Aik Qaum Aur Aik Zaban Ki Hoti Rahein Magar Der Haqeeqat Adam Mosawat
Per Mabni Taleemi Nezam Perwan Charaya Jata Raha 1947 Mein Honey Wali Pehli
Taleemi Conference Ka Aik Nukta Tha “Madrasonko Amm Taleemi Nezam Nezam Se
Munsalik Keya Jae Ga “ Ajj 65 Sal Guzerney Key Bad Bhi Yahi Batein Tawater Se
Dohrae Jati Rahti Haien.
Phir Bad Mein Aney Wali Taleemi Palesyon Ney Kam O Besh Wahi Batein Dohraien Jo
Pehli Conference Mein Ki Gaien Thien Alfazmokhtalif They Magar Lab E Labab Aik.
First Meeting Board Of Education Pakistan
June 1948
Pakistan Ke Pehle Taleemi Board Ka Ijlas June 1948 Mein Huwa. Jis Mein Ilan Keya
Geya Key Bachchon Ko Panchween Jamat Tek Madri Zaban Mein Taleem Di Jaey Gi. Jis
Ke Bad Batedrej Urdu Aur English Pardaye Jaye Ga. Yeh Bhi Faisla Keya Geya Ke
1957 Tak English Ki Jaga Urdu Ley Legi Aur Taleem Ko Mazhab Se Ham Ahang Keya
Jaey Ga. 1950 Ke Ashrey Mein Bhi Taleemi Board Ney Yahi Rat Lagay Rakhi Key
Taleem Key Zarey “Nazaryati Aur Seyasi Aik Jahti” Paida Ki Jay Gi Panchween
Jamat Tak Madri Zaban Mein Taleem Ka Wada Kabhi Pura Na Hosaka Keon Key Qol Aur
Fail Dono Tazad Se Bhar Pur They. Aik Taraf Madri Zabano Ki Bat Ki Jarahi Thi
Dosri Taraf Urdu Ko Aik Qaumi Zaban Ke Tour Per Mosalat Keya Jar Aha Tha Aur
Teesri Taraf English Ko Mokammal Tahaffuz Deya Jar Aha Tha. 1949 Ke Ijlas Mein
Wada Keya Geya Key 20 Sal Mein Khandagi Ka Tanasub 80 % Tak Pahoncha Deya Jae
Ga. Jo Aaj Tak Bhi Aik Khab Maloom Hota Hai. Lakin Iss Ka Matlab Yeh Nahein Ke
Kuch Nahein Hua Na Taleemi Adarey Banay Gay Nai Molazmaton Ke Mawaqey Nikale
Gaey Jo Zeyada Ter Jan Pahchan Walon Ko Di Gae Ya Seyasi Fawaed Hasil Kerney Ke
Leyeh Istemal Ki Gaein. Ala Taleemi (High Education) Adaron Per Ziyada Zor Raha
Keonkey Waheen Per Ala Darjey Ki Molazmatein Bhi Thein Aur Deegar Marat Bhi Jo
Afsar Shahi Mein Mergoob Rahi Haien.
Education Commission Of Pakistan
Ayub Khan Ne 1959 Mein Aik Taleemi Commission Banaya. Jis Ne Wada Keya Ke 10
Years (Das Sal) Mein Lazmi Primery Taleem Hasil Ker Li Jaye Gi Aur Pandra Saloon
Mein Yani 1974 Tak Lazmi Midle Taleem Mulk Mein Amm Hogi Lakin Us Ke Sath Hi
Commission Ki Report Ne (Education) Taleem Ke Falahi Tasauar Ko Rad Ker Deya Aur
Kaha Ke Achchi Taleem Mehngi Hoti Hai. Jis Ke Leyeh Logon Ko Qurbanyan Deni
Hongein. Iss Soch Ka Tasalsul Yeh Hai Ke Her Sitah Per Taleem Ko Bohot Bhari
Qimaton Mein Becha Jaraha Hai.
Ayub Khan Ki Hukumat Mein
Hamara Nizam Etaleem
Ayub Khan Ki Hukumat Makhsoos Logon Ke Bachchon Ke Leyeh Her Mumkin Madad Kerti
Rahi Maslan Cadet College Aur Public Schoolon Ko Reyasti Wasael Se Beshumar
Sahultein Di Gaein Assi Dour Mein Text Book Board Yani Dersi Ketabon Key Adarey
Banay Gay Jin Key Zarey Serkari Ketabein Taleemi Nezam Per Mosallat Kewr Di
Gaein Inn Serkari Dersi Ketabon Ker Zarey Iss Baat Ko Yaqeni Banaya Geya Key
Hukumati Palesyan Dor E Seyasat Per Havi Rahein Yahi Woh Dour Tha.
Jab Morakh Ishtiaq Hussain Qureshi Ney Tareekh Ko Aik Salami Rang Deney Ki
Koshish Ki Lakin Der Haqeeqat Pakistan Key Tarekhe Aur Saqafti Rishtey Berr E
Sagir Se Tor Kewr Arab Mumalik Se Jorney Ki Koshish Ki Gae Dersi Ketabon Mein
Gair Muslimon Key Khelaf Nafrat Ko Barah Deya Geya Mazhabi Rawadari Aur Bhai
Charey Ka Gala Ghont Deya Geya Iss Key Elawa Sitam Zarifi Yeh Key Maqami
Tareekhi Shakhsiyat Ko Nazer Andaz Kerkey Sindh, Balochistan, Pakhtun Kha Aur
Saraiki Elaqey Ko Faramosh Ker Deya Geya Aur Aisey Tareekhi Waqat Aur Shakhsiyat
Ko Barah Charah Ker Pashe Keya Geya Jin Ka Maqami Rabt Na Honey Key Baraber Tha.
Jab Mulk Mein Marat Yafta Talaeemi Adaron Per Ley Dey Honey Lagi To Serkari
Sitah Per Maret Ka Ilm Tha Leya Geya Yani Yeh Kaha Janey Laga Key Her Taleemi
Adarey Mein Hewr Kisi Ko Chahey Woh Gareeb Ho Ya Ameer Dakhley Key Masawi Mawaq
E Mohaeya Key Jaeni Gein Shirt Yeh Hai Key Woh Maret Per Mabni Dakhley Key
Imtehan Pas Ler Lein Ajj Bhi Cadet College Aur Degar Taleemi Adarey Yahi Rag
Alaptey Haien Key Un Mein Se Kisi Key Sath Koi Imteyazi Salook Nahein Hota Aur
Agar Kisi Gareeb Ka Bachcha Bhi Dakhley Ka Imtehan Pas Kerley To Usey Fees Na
Honey Ki Waha Se Dakhley Se Mahroom Nahien Keya Jata Balkey Uskey Leyeh Scholer
Ship Ya Wazefey Ka Bandobest Ker Deya Jata Hey Bazahir Yeh Bat Bhi Maqool Maloom
Hoti Hai Magar Zara Gor Kejyeh Karachi Ya Lahore Mein Grammar School Ka Parah
Hua Bachcha Aur Goth Ghulam Mohammed Key Serkari School Ka Parah Hua Bachcha Jab
Aik Hi Dakhley Key Imtehan Mein Baithein To Masawi Moqa Milney Key Bawajood
Ziada Number Lon Lega.
Poor Education System In Pakistan
Hamara Nizam E Taleem In Urdu
Poor Education System Agar Pakistan Mein Hukumat Aur Taleem Aisey Logon Key Hath
Mein Hoti Jo Samaji Artqa Ka Shaur Rakhtey To Unhein Maloom Hota Ke Masrey Jo
Aaj Ilm-O-Fun Ki Bulandyon Per Haien Unhein Yehan Tak Pahonchaney Mein Azadi
Ifkar-O-Izhar Ney Bahot Aham Kirdar Ada Keya Hai. Pakistan Key Qiyam Key Bad
Asatza Aur Talba Hykmeranon Se Kahein Zayada Bashaoor They Aur Mosalsal Azadi
Ifkar-O-Izhar Key Leyeh Jaddo Jahad Ker Rahey Aur Qurbanyan Dey Rahey They Magar
Iss Khab Ko Mosalsal Chakna Chur Keya Jata Raha Jawaz Yeh Tha Key Chunkey
Riyasti Taleemi Adarey Reyasti Kharch Per Chaltey Haien Iss Leyeh Reyasat Ka
Unper Mokammal Ikhteyar Hona Chaeay.
Yeh Jawaz Deney Waley Yeh Bhultey Rahey Key Reyasti Kharchey Darasal Wasael Se
Purey Keay Jatey Haien Aur Awam Ki Mehnat Ka Paisa Hai Jo Reyasat Ko Chalata Hai
Aur Agar Awam Azadi Ifkar-O-Izhar Chatey Haien To Yeh Unka Haq Hai Na Key
Reyasat Ka Key Woh Nazaryat Mazhabi Jawaz Ki Arr Mein Iss Haq Ko Kuchley 1969
Mein Jab Jeneral Yahya Khan Ney Iqtedar Per Qabza Keya To Aik Aur Taleemi Palesi
Per Kam Shuroo Kerwa Deya Iss Bar Koi Jaj Nahien Balkey Aik Foji Afser Yani Air
Marshal Noor Khan Ko Yeh Kam Sonpa Geya Key Woh Pakistan Ki Taleem Ki Cholen
Theek Ker Leien.
Dil Chasp Baat Yeh Hai Key Pakistan Ki Taleemi Tarekh Mein Shaed Hi Kabhi Kisi
Mahir Taleem Ko Taleemi Palesi Ka Sarbarah Banaya Geya Ho Aksar Yeh Kam Jaj Aur
Foji Ker Tey Rahey Taleem Ka Tea Pancha Kerney Mein Sabiq Wuzraey Taleem Jestic
Gos Ali Shah Se Leker Jeneral Ashraf Qazi Tak Sab Key Hat Rangey Huay Haien.