Zindagi Kia Hai? ( Khuda Ka Haseen Tohfa )

(Sumbal, Gujrat)

ZINDAGI KIA HAI? ( KHUDA KA HASEENE TOHFA )

Assalamoalikum Dosto!

Zindagi Kia Hai?

Jantey Hain Ap Zindagi Wo Haseen Tohfa Hai Jo Khuda Ny Hamein Ata Kiya Hai Or Hum Logo Apni Zindagion Mein Itna Magan Ho Chukein Hain Ky Khuda Ky Diye Hue Tohfey Ko To Jee Rhein Hain Magar Us Ka Sukar Ada Karna Bhool Chukein Hain..Wo Apne Bando Ky Her Kam Py Nazar Rkhta Hai Uski Zindagi Ky Pal Pal Ki Habar Usy Hai To Hum Insan Kiu Usy Bhool Jaty Hain? Jisney Hmein Ye Haseene Tohfa Diya .. Jantey Ho Na Wo Boht Raham Dil Wala Hai Apny Her Bandey Per Raham Karta Hai Or Uski Choti Se Choti Galti Ko Bhi Darguzar Karta Hai To Hum Insan Kiu Bhool Jatey Hain Ky Hamein Jisney Zindagi Ata Ki Hai Humein Uska Her Lamha Her Waqt Sukar Ada Karna Hai ..

Zindagi Bohat Khubsurat Lafz Hai Or Isky Matlb Us Se Bhi Zayada Khubsurat Dosto Zindagi Ko Jeena Ek Alag Baat Hai Zindagi My Guzar Hi Jana Hai Magar Zinda Reh Ky Us Khaliq Ka Her Waqt Sukar Ada Karty Rehna Ky Us Ny Hmein Is Kabil Samjha Hai Ky Hum Is Khubsurat Zindagi Ka Lutf Ly Rhein Hain Wo Her Insan Ky Bus Ki Baat Nai Hai ...

Mana Insan Zindagi Ky Kamon Mein Itna Magan Ho Chuka Hai Ky Usy Apny Ap Ky Siwa Kuch Dikhta Nai Magar Insan Ko Ye Nai Bhoolna Chahiye Ky Jis Khuda Ny Hamein Is Zindagi Ko Jeene Ka Moqa Ata Kiya Ek Na Ek Din Hmein Usi Ki Tarf Lotena Hai Or Hum Us Ky Pass Ja Ky Kia Jwab Dain Gy?

" Zindagi Ki Mehfil Mein Jab Sabar Ata Hai
To Beshumar Gunnah Uth Ky Chaly Jatein Hain"

Dosto Zindagi Ka Maza Lo Her Kam Karo Her Lamha Lutf Uthaoe Magar Us Ka Shukar Ada Karna Mat Bhoolo Jis Ny Ye Tohfa Tum Logo Ko Ata Kia Hai ... ✔

" Zindagi Ek Paal Hai
Jis Mein Na Aj Hai Na Kal Hai "

Ehlaqi Sabak:
Zindagi Ko Guzarna Bohat Asan Hai Magar Zindagi Guzarney Ky Sath Sath Zindagi Dene Waly Ka Sukar Ada Karna Bohat Bari Naimat Hai...🙂🙂✔
 

Sumbal
About the Author: Sumbal Read More Articles by Sumbal: 18 Articles with 56819 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.