Kamyabi Or Dushmani

(Kulsoom Ghazal, )

Dushmani Ki Wajah Sirf Larai Ya Jhagra Nahi Balke Kamyabi Bhi Eik Wajah Hai..

Zara Sa Kamyab Hojayen Dushman Khud Hi Ban Jayenge Ya To Ap K Barabar Anay Ki Koshish Krenge Or Na Asake To Ap K Paow K Neeche Se Khudai Krna Shuru Kr Dete Hain Q K Aj Kal K Dor Main Dhoka Urooj Per Hai Nahi Bhi Mango Phr Bhi Milta Hai.

Hum Muqable K Aise Dor Main Jee Rahe Hain Kisi Ko Khud Se Agay Nikalta Dekh Hi Nhi Sakte Or Zindagi Ki Race Ko Jeetne K Liye Bhagte Rehte Hain Or Ye Bhi Nhi Dekhte K Dorte Dorte Hum Ne Kis Kis K Bharose Or Pyar Ko Rond Diya Or Kitna Ikhlakiyat Se Gir Gaye Isliye Kamyab Hota Dekh Dushmano, Hasidon Ki Qatar Muft Main Lag Jati Hai...
 

Kulsoom Ghazal
About the Author: Kulsoom Ghazal Read More Articles by Kulsoom Ghazal: 5 Articles with 4652 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.