Faisla

(B.B, Islamabad)

Dosru Ko Chahny Ya Un Sy Nafrat Krny Ka Attitude B Charges Ki Trah Hota Hai...

Jb Hmen Ksi Sy Mohabbat Ho To Ham Us K Lye Positive Charge Jesa Mehsos Krty Hain.. Sb Kuch Musbat Sb Kuch Acha... Uski Har Quality Ko Sarhty Hain... Or Us Ki Buraiyun Ko Puri Trha Ignore Krty Hain. Us Ny Hmary Lye Kia Kia Ya Us Ny Kia Acha Faisla Lia Sb Ko Khushi Sy Btaty Hain Or Galat Kam Par Justification Dety Hain.. Jesy Aksar Maa Apny Bchu Ki Buraiyun Par Pardah Dalti Ha Ya Defend Krti Ha.

Dosri Traf Jb Nafrat Kren To Chun Chun Kar Wo Cheezain Bayan Ki Jati Hain Jo Buri Hn Or Achy Kamu Ko Bilkul Ignore Kr Dya Jata Hai..Bad Ghumani Ki Jati Hai K Jis Sy Nafrat Ho Uska Koi B Amal Kabil Kabool Nahin Chahy Jo Kr Ly. Or Bad Ghumani Is Had Tak Bhar Jati Hai K Insan Ye Zehmat He Ni Krta K Insan Badghumanion Ko Khtam Kr Ak Dfa Dekhy To Sahi Aakhir Wo Insan Asal Main Kia Hai.

Or Phir Ati Hai Nutral State.. Asi State Jis Par Bht Kam Log Kaim Reh Paty Hain.. Charges K Bgair.. Mohabbat Nafrat K Jazbay K Bgair.. Wo Achaiyun Ko Sarahty Hain Or Burai Par B Gor Krty Hain Wo Bilawajah Ksi Sy Nafrat Ni Krty Or Na He Andhi Mohabbt K Bki Log Jhoty Lgny Lgyn.. Mery Khyal Sy To Gair Janibdar Log He Sb Sy Behtar Hain.. Asal Maanu Main Apny Dill Dmag Or Ankhon Ka Istamal Krty Hain...

To Ham Kia Banain Postive Negative Ya Neutral? Faisla Hmary Hath Main Hai
 

B.B
About the Author: B.B Read More Articles by B.B: 5 Articles with 2857 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.