Acha Socho Acha Bolo

(Kulsoom Ghazal, )

Insan Jesa Sochta Hai Wesa Hi Bolta Hai Or Jese Hi Bolta Hai Uski Zheniyat Or Shaksiyat Ka Andaza Hojata Hai Kyoun Kay Munh Kholne Kay Baad Hi Pata Chalta Hai Kaan Sone Ki Hai Ya Koyle Ki, Isliye Humain Apni Soch Barri Rakhni Chahiye Kyoun Kay Tutti Chapal, Paow Ki Moch Or Choti Soch Insan Ko Kabhi Agay Nahi Barhne Deti. Humari Soch Se Hi Hum Bare Bante Hain Or Humare Alfaz, Khayalat Sub Humari Soch Kay Mutabik Hote Hain Hum Jesa Sochenge Wesa Bolenge Isliye Humain Chahiye, Pehle Tolen Phir Bolen Kyoun Kay Zuban Hi Hai Chahiye To Dil Jeet Le Ya Dil Cheer De. Ache Alfazon Se Hi Hum Kisi Kay Dil Main Ghar Kar Sakte Hain.. Kisi Ne Kya Khoob Kaha Hai, “Zuban Shereen Mulk Giren”. Allah Ne Shayad Jabhi Zuban Main Koi Haddi Nahi Rakhi, Naram Banaya Or Nokile Daanton Kay Beech Main Rakha Ta Kay Hum Is Zuban Se Ache Alfaz Adda Kar Saken Or Haq Or Sach Ki Baat Kahen Chahe Kitne Bhi Mukhalif Kyoun Na Ho, Jese Itne Sare Daaton Kay Beech Eik Zubaan Rehti Hai. Zuban Main Haddi Nahi Hoti Lekin Is Se Adda Kiye Alfaz Kafi Hote Hain Kisi Ka Dil Toorne Kay Liye.... Humari Zuban Jannat Main Jana Ka Zariya Hai, Zuban Se Hum Jannat Or Dozakh Ka Rasta Chun Sakte Hain....

Isliye Acha Sochen... Acha Bolen...Ache Kam Karen... Dillon Ko Jeeten... Or Khush Rahen.

 

Kulsoom Ghazal
About the Author: Kulsoom Ghazal Read More Articles by Kulsoom Ghazal: 5 Articles with 4697 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.