Warning from Allah

(Afshan Rahman, chicago usa)

Karachi Mein Last Week Earth Quike Ki Bare Mein News Mein Dekha. Allah Subhanna Wa Tallah Ne Quran Mein Pichlee Qomon Ke Bare Mein Btadeeya Hay Keh Yahood Wa Nasarah Ki Qom Ne Jub Nafermani Ki Hud Kerdee Thee Or Hud Se Guzer Gae To Kiaa Hoowa Tha Yanee Dunya Mein Bhi Azaab Ayya Thaa Take Durest Ho Jaaen Or Ghaltioon Ko Maan Ker Raasta Sahi Kerlen Ager Phir Bhi Hosh Na Aayya To Tyar Hojaen Ke Dunya Or Aakheret Dono Mein Bhi Ruswaaee Hogee. Ab Aaj Ke Insaan Ki Ye Behisse Hay Keh Woh Gunnah Ko Hi Bhool Gayya Hay Keh Gunnah Hay Kia C Jo Bacha Jasake Hay Na Ek Afsos Ka Muqam.Hazoor Aakram {P.B.U.H]Ne Fermayya Jub Fitna Hud Se Zeeyada Hoga To Samjh Lo Qiyamat Bhut Qareeb Agaee Hay Jub Log Ek Doosre Se Chupne Lagen Ke Kaheen Ye Kuch Maang Na Lay Or Qatal Aam Hojae Qatil Ko Paata Na Hoga Keh Kioon Marra Hay Or Maqtool Ko Apne Jurum Ka Patta Na Hoga Keh Kioon Mara Gayya To Samjh Lo Ke Ab Qyamat Qareeb Hay Zanna Aam Hojaegee. Aaj Lagta Hay Afra Tefreh Ka Dor Hogayya Hay .Muslims Ko Bhi Christians Ki Terha Ghalet Fehmi Hay Ke Seedhe Junnat Mien Jaaenge Is Lia Apni Ghalti Kia Jare Hein Shetaan Keh Dost Bane Hoowe Hein .Ae Insaan Ager Jaza Wa Saza Or Jannet Hell Kioon Banae Gae Hein Sirf Jannet Hi Hotee Ager Gunnah Ki Saza Dene Ka Fesla Na Hotta.Pakistan Ki Awaam Manna Keh Her Mushkil Se Her Baar Bach Jatee Hay Lekin Masajid Ko Weeran Kioon Kiaa Hoowa Hay Abad Kero Or Eemaan Ko Pakka Kerne Ki Zarooret Hay.Parents Ki Nafermani Bhut Berh Gaee Hay Or Parents Ne Apni Yah Zimadaree Bhool Gae Keh Childrens Ko Her Waqt Sahi Baat Batane Ki Zarroet Hay.Her Waqt Dua Ki Zarooret Hay Hazret Ibrahim Alesalaam Ne Ye Dua Fermaee Thee Ae Hamare Rub Hum Ko Apna Ferma Berdar Banade Or Hamaree Olad Ko Bhi Ferma Berdar Ummah Banade Ameen.Namaz Mein Hum Dua Mangte Hein Hein Keh Hamare Pakistnis Per Allah Rehem Kare Or Oonko Koee Aazmaesh Na De Aameen Earth Quak Ko Warning Jaane Or Dua Karen Keh Kooee Jani Mali Nuksaan Na Ho . Aameen

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 213769 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.