MUMTAZ Ya ELAMDEEN Doonoo Ghalat

(Bader Ahmed, weifang china)

Hamara Muslamano Ka Sab Say Bara Masla Jhalat Hai Aur Jhalat Ka Sab Say Bara Masala Yeh Hota Ha Kay Wo Dalell(Arguments) Ki Bunyad Par Nahi Balkay Jazbat Ki Bunyad Par Ghuftagoo Karti Hai Mehmood Ghaznavi Nay Hinduoon Kay Mandar Gira Diye Aur Ham Saab Ka Hero Ban Gaya Us Umat Kay Logon Ka Jin Kay Nabi Nay Jaang Kay Asool Bataty Huway Farmaya Kay Bewajha Darkhat Na Katay Jaen Kheti Ko Aag Na Lagai Jay Aurtoon Bachoon Bhoooroon Ko Na Mara Jay Wo Nabi Jo Apni Masjdoon Tak Mein Dosroon Ko Ebadat Karnay Ki Ejazat Deta Hai Daleell Nahi Jazbat Ki Bunyad Per Mughlia Khandan Nay Es Khitay Kay Logon Ka Khoon Chusa Es Zameen Kay Mazdooorooon Kay Jism Kay Paseenay Say Sharabeen Peen Leikn Hamaray Hero Kehlaey Kyun Kay Un Kay Nam Musalamanoo Walay They Daleel Nhai Jazabat Ki Bunyad Par Hamm Sab Ko Yeh Faesla Karna Hoga Kay Hamm Nay Allah Kay Deen Kay Mammlay Mein Apna Fatway Daneey Heen Ya Phir Khuda Kay Qanoon Kay Samnay Sar Taslleemm Kham Islam Mein Sirf Yahi Nahi Kay Mujram Ko Saza Milni Chahey Balkay Yeh Asool Hai Kay Wo Saza Rayasat Ki Taraf Say Honi Chaey Mein 1 Masal Deta Hoon Faraz Kareen Kay App Sarak Pay Kisi Ko Ghalat Driving Kartaay Dekhtay Haan Tu Ap Kiya Pehla Kaaamm Yeh Kareen Gay Kay Us Ka Chalan Kaat Kar Us Say Jarmna Wasool Kareen Gay Agar Ap Ka Jawab Nhai Mein Hai Tu Ap Ko Yeh Baat Tasleem Karni Chahey Kay Saza Ka Nafaz Hakomat Ya Rayast Ka Kaam Hota Ap Ka Kaam Mujrim Ko Qanoon Ki Nazar Mein Lana Hai Choor Ko Pakar Kar Ap Ko Us Kay Haath Katnay Ka Haaq Kisi Nay Nahi Diya Ap Zayada Say Zayada Jo Kar Saktay Heen Wo Us Choor Ko Adalat Kay Katheray Mein Khara Kar Saktay Heen Esi Tarha Kisi Thoohenay Rasalat Kay Murtakib Shakhs Ko Koi Insan Apni Infardi Haseeyat Mein Saza Denay Ka Majazz Nhai Ha Esa Jo Bhi Karay Ga Wo Aik Qaatal Ka Irtakab Karay Ga Aik Ghunah Karay Ga Jis Kay Liay Usay Khuda Kay Hazoor Jawab Deena Hoga Us Ko Wo Ghalti Chahay Ghazi Elam Deen Shaheed Karay Ya Mumtaz Qadri Doonoo Allah Kay Qanoon Kay Mutabaq Ghalat Kartay Heen Kyun Kay Us Kay Feaslay Asloon Ki Bunyad Par Hotay Haann

Bader Ahmed
About the Author: Bader Ahmed Read More Articles by Bader Ahmed: 2 Articles with 2587 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.