Ummat-E-Muhammad (SAW) ki Fazilat

(Muhammad Faraz Baig, Karachi)

Assalat O Wassalam O Ala'ika Ya Sayyaddi Ya Rasool Allah

Riwayat Mein Aata Hai K: Jab Allah Ta’la Ne Qalam Ko Peda Kiya To Os Se Farmaya; “ Likh Jo Ho Chuka Aur Jo Hone Wala Hai.” Qalam Ne Likhna Shoroo Kiya, ¬¬Hazrat Nooh(Alaih Salam) Ki Qoum Nafarmani Kare Gi, Allah Azaab De Ga. Hazrat Loot(Alaih Salam) Ki Qoum Kehna Nahi Mane Gi, Allah Azaab De Ga. Hazrat Shoaib(Alaih Salam) Ki Ommat Narfarmani Kare Gi, Allah Os Ko Halak Kare Ga. Hazart Saleh(Alaih Salam) Ki Qoum Sarkashi Kare Gi, Allah Azaab De Ga. ¬Hazrat Moosa(Alaih Salam) Ki Qoum Kehna Nahi Mane Gi, Allah Tabah Kare Ga.

Jab Bari Aai ,Hazrat Muhammad(Sallal Lahu Alaihe Wassalalm) Ki …. To Qalam Ne Likhna Chaha K Ummat-E-Muhammad Gunahgaar Ho Gi , Allah Azaab De Ga.

Qalam Ko Hukm Hua; “Ae Qalam Ruk Ja, Kuchh To Adab Kar!” Tum Ne Sab Ka Mamla Aik Jesa Samajh Liya. Likh, “Ommat-E-Muhammad Gunahgaar Ho Gi, Allah Bakhshne Wala , Rehmaan Hai.”

Aisi Kia Khaas Baat Hai Ommat-E-Muhammad Mein?? Is Fazeelat Ki Wajah Kia Hai K Baqi Ommattoon Par Nafarmani Ki Wajah Se Allah Ka Azaab Aae Aur Is Ommat Ko Bakhsh Diya Jae?????

Khaas Baat Is Ommat Mein Nahi Bulk Os Nisbat Mein Hai Jo Is Ommat Ko Allah Ke Habbeb Akbar(Sallal Lahu Aliahe Wassallam) Se Hai. Kamal Is Ommat Ka Nahi, Os Talluq Ka Hai Jo Is Ommat Ko Allah Ke Mehboob Rasool(Sallal Lahu Alihe Wassallam) Se Jorta Hai. Ommat Par Allah Ka Karam, Allah Ki Rehmat , Allah Ki A’ta Sab Kuchh Huzoor Pak(Sallal Lahu Aliahe Wassallam) Ki Zaat-E-Mubaraka Ka Faiz Hai., Aaq-E-Do Jahan(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ki Kherat Aur Sadqa Hai.

Pichhli Qomein Tabah Huein, Allah Ka Azaab Aaya Lekin Jab Baat Aai Muhammad Mustafa(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ki To Allah Pak Ne Farmaya: “Allah Ta’ala Ka Yeh Kaam Nahi K (Ae Habeeb(Sallal Lahu Aalihe Wassallam)!) Aap Logoon Mein Tashreef Farma Hoon Aur In Par Azaab Nazil Kare.”(Al-Anfaal:33)

Mehboob Se Wabasta Har Cheez ,Muhib Ko Mehboob Hoti Hai. Ommat-E-Muhammad Ko Allah Ta’ala Ne Wo Barkaat, Fazail Aur Kamalat A’taa Kiye Hein Jo Kisi Aur Ommat Ko Hasil Nahi . Jis Ki Had Aur Hisab Nahi.

Allah Ke Nabi Bohat Sare Hein, Allah Ne Har Nabi Ko Azeem Aur Apna Moqarrab Banaya Hai, Lekin Nabi Pak(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ko “ Habeeb Allah “ Keh Kar Apna Moqarrab Tareen Aur Mehboob Tareen Rasool Bana Diya.

Hazrat Muhammad Mustafa(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ko Anbia Ka Sardaar Banaya. Aap Ko “ Qaba Qousain” Jesa Moqam A’ta Kar Ke Tamam Anbia Aur Rasoolon Se Afzal Aur A’ala Kar Diya. Sari Mekhlooq Ko Bata Diya K Mere Habeeb Ki Ata’at Aur Raza Meri Ata’at Aur Meri Raza Hai.

Ommat Ko Is Muhabbat Ka Yeh Faiz Mila K:

Qayamat Tak Ke Liye Ommat-E-Muhammad( Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ko Shirk Se Mehfooz Kar Diya.
Is Ommat Ko Nisbat-E-Muhammad( Sallal Lahu Alaihe Wasssallam) Ke Tufail “Kher-Ul-Ommat” Qarar De Diya.
Yeh Wo Ommat Hai Jis Par Allah Ta’ala Ne Apna Deen Mokammal Kiya, Apni Ne’mat Tamam Kar Di.
Aur Qayamat Tak Ke Liye Is Ommat Ko Halakat O Barbadi Se Bacha Liya.

Guzashta Anbia Ki Ommatten Gunah Aur Nafarmani Ki Wajah Se Allah Ke Azaab Mein Griftaar Ho Kar Tabah O Barbaad Huin.

Hamare Aaqa(Alaih Salat O Wassalam) Wisaal Ke Bad Bhi Duniya Mein Aise Hi Mojod Hain Jis Tarah Zahri Hayat Mein Tashreef Farma The To Aap(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ke Wajood-Mobaraka Ki Barkat Aur Rehmat Se Gunahgaar Ommat Ko Ijtemaa’ie Azaab Se Mehfooz Kar Diya Gia.. Yeh Ommat Halak Nahi Ho Sakti K Arshad-E -Rabbani Hai:

Allah Ta’ala Ki Yah Shaan Hi Nahi K Habeeb-E-Khuda( Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Mojod Hain Aur Azaab Nazil Kare.

Sachi Tu Yeh Hai:

Rok Leti Hai Aap(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ki Nisbat,
Teer Jitnay Bhi Hum Pe Chaltay Hein
Yeh Karam Hai Huzoor(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ka Hum Par,
K Aane Walay Azaab Taltay Hein

Allah Ke Itne Ziada Fazl O Karam, Behad O Hisab Rehmat Aur Inaam Ke Bawjood, Aaj Ommat Ka Ajeeb Haal Hai. Na Qulb Mein Soz Hai, Na Rooh Mein Ahsaas Hai Aur Na Hi Deen-Emuhammad( Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ka Koi Lihaaz Aur Paas Hai. Hamare Liye Lamha-Efikr Hai.
Kia Hum Ommatti Hone Ka Haq Ada Kar Rahe Hen?
Kia Hum Aisi Ghulami Kar Rahe Hein Jo Hamare Aaqa(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ko Khush Kar De?
Jis Nabi Pak Ke Hum Ommatti Hein Un Ko Tu Dushman Bhi “ Sadiq “Kehte Hein, Tu Phir Hum Jhoot Kuen Bolte Hein?
Dhoka, Fareb, Gheebat,Chughli, Gaali Galoch,Bughaz, Hasad,Keena, Behayaii, Ghroor….. In Sab Se Hamare Aaqa(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ne Nafrat Ki Hai Aur Bachne Ka Hukm Diya Hai ,Tu
Phir Hum Kuen In Burayoon Ke A’adi Hain???????? ?????
Yeh Kaisi Muhabbat Hai Ke Mehboob Ki Khushi Ka Koi Samaan Nahi??

Ae Khasah Khasaan-E-Rusul ! Waqt-E-Dua Hai,
Ommat Pe Teri Aa Ke Ajab Waqt Para Hai.
Faryad Hai Ae Kashti-E-Ommat Ke Nigehbaan !
Berra Yeh Tabahi Ke Qareeb Aan Laga Hai…

Ya Rabbul A’alimeen ! Hum Tere Is Karam Par Sajda-E-Shukr Baja Laate Hein K Too Ne Hamein Sayyad Ul Anbia(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ki Ommat Mein Se Banaya.Yaqeenan Yeh Tera Buhat Bara Ahsan Aur Fazl-E-Azeem Hai. ………,Agar Yeh Aasra Na Hota Tu Hum Duniya Mein Bhi Zaleel Hute Aur Aakhrat Mein Bhi  Barbad,…..Moula! Tera Shukr Hai ……. Too Ne Hum Ko Is Se Bacha Liya……………. Hamein Teri Is A’ala Ne’mat Ki Qadar Nahi………Ya Allah !! Too Apni Sattari Aur Ghaffari Se Hamara Duniya Aur Aakhrat Mein Parda Rakh Le………..Hamare Haal Par Reham Farma…
 
Ya Allah ! Aaj Tere Habeeb(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ki Ommat Bari Gunahgaar Hai………. Hum Bare Khatakar Aur Badkaar Hein,………………… Hamare Pallay Kuchh Bhi Nahi……. Bas Nidamat Hi Nidamat Hai, Ya Rabb-E-Kareem!…….. Teri Rehmat Aur A’taa To Wo Hai Jo Gunahgaar Ko Nahi Dekhti ,Bas Othay Huwe Haath Aur Pheli Hui Jholi Dekhti Hai,…..Hum Par Karam Farma!!!.... .Hamare Gunah Ma’af Kar De…..

Ya Arham Ar Rahimeen ! Hamre Daman A’amal Se Khali Hein Lekin Tera Daman Rehmat Se Bhara Hua Hai,……Rehmat Ul Lila’alimeen Ke Sadqay Se Hum Sab Ko Bakhsh De..

Ya Malik ! Hum Bare Kamzor Aur A’ajiz Hein,…………Hum Bekhabar Hein,…..Ya Raheem ! Muhabbat –E- Rasool(Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ke Sadqay Hamein Shetan K Dhoke Aur Nafs Ke Hamloon Se Bacha Le.

Ya Rabb-E-Kareem ! Tere Karam Ki Koi Inteha Nahi,………. Teri Rehmat Ki Koi Had Nahi,………… Teri Ne’imaten Beshumaar,……….. Teri Qudratein Behisaab Hein,…….Tujh Se Yeh Faryad Hai Ke Apni Shaan-E-Kareemi Ke Sadqay Hamare Zahir O Batin Ko Ishq-E-Rasool( Sallal Lahu Alaihe Wassalaam) Se Munawwar Kar De. Hamare Hathoon Se Kabhi Daman-E-Mustafa Na Chhote,………… Hamari Nisbat Ko Hamesha Salamat Rakhna………… Ya Allah ! Tere Khazanoon Mein Koi Kami Nahi,.. Hamein Toufeeq De K Hum Apni Zindagi Ka Har Lamha Tere Habeeb Ki Yaad, Muhabbat, Adab, Itteba Aur Ata’at Mein Guzaren……..Ya Kareem ! Tujay Os Pak Hasti Ka Wasta , Jin Ke Sadqay Se Maghfirat Ka Yeh Ashra Naseeb Hua Hai ,Mujay, Hum Sab Ko Aur Sari Ommat Ki Maghfirat Farma De.
Ya Ghaffaar ! Ya Rehman ! Tujay Rasool-E-Kareem( Sallal Lahu Alaihe Wassallam) Ka Wasta,Hum Sab Ko Qabar K Imtehan Mein Kamyab Karna Aur Azaab-E-Qabar Se Bachana……………….

Ya Rabb! Panjtan Pak Ke Sadqay , Too Hamare Aaqa Ko Hamesha Ham Se Razi Rakhna Aur Roz-E-Mehshar Hum Sab Ko Apne Mehboob Nabi(Sallal Lahu Aalihe Wassallam) Ki Shafa’at Se Behramand Farmana…….Beshak Too Rauf Hai,, Tawwab Hai.………….. Too Bakhshne Wala Meharban Hai…

Mein Buroon Se Laakh Boora Sahi,
Magar Un Se Hai Mera Wasta,
Meri Laaj Rakhna Mere Khuda!
Yeh Tere Habeeb Ki Baat Hai…
(Aameen)

Sallal Lahu Ala'ihe Wa Aalehi Wa As'habehi Wa Barik Wassallim

Faraz
About the Author: Faraz Read More Articles by Faraz: 5 Articles with 135837 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.