Allah Ki Apne Bandon Se Muhabbat
(Muhammad Faraz Baig, Karachi)
" Jab Hazrat Moosa (A.S) Allah
Se Kalam Kerte To Allah Ne Fermaya "Ae Moosa Jab Tum Mujh Se Kalaam Kerte Ho To
Tumharay Or Mere Bich 70 Farishte Hote Hein Lekin Jab Mere Rasool Muhammad (SAW)
Ki Umat Mujh Se Hum Kalam Hogi To Humaray Beech Koi Nahi Hoga Kyu Ke Yeh Wo Log
Hongay Jo Mujhe Baghair Dekhe Mere Liye Bhooke Pyasay Reh Ker Roza Rakhengay Or
Iftaar Ke Waqt Wo Log Jo Dua Karengay Wo Kabool Hogi Bus Waqt Aane Tak Unhen
Sabar Karna Parega Or Inn Ki Dua, Mein Kabhi Radd Nahi Karunga" (Subhanallah E
Wabihamdihi Subhanallah El Azeem)
Conclusion:
Allah Tala Apne Bando Se Maa Se 70 Gunha Ziada Muhabbat Karta Hai Aur Woh Chahta
Hai Ke Us Ke Bande Bhi Us Se Itni Hi Muhabbat Karen Aur Burai Ke Raste Se Door
Rahe. MAA Woh Hasti Hai Jo Apni Aolad Ko Sab Se Ziada Pyar Karti Hai Aur Zara Si
Takleef Se Us Ka Dil Tarap Jata Hai. To Zara Soche Ke Allah Jo Maa Se 70 Gunha
Ziada Apne Bando Se Muhabbat Karta Hai Use Kitna Bura Lagta Hoga Jab Us Ke Bande
Koi Ghalat Kaam Karte Hain. Aur Phir Bande Bhi Koi Mamoli Bande Nahi Aise Ummat
Ke Bande Jis Ki Misaal Pichli Ummato Main Nahi Milti. Jis Ke Sirf Neki Ka Sochne
Per Hi Allah Sawab Ata Kar Deta Hai Chahe Woh Banda Kare Ya Na Kare.. Aur Burai
Ka Sochta Hai To Allah Us Waqt Tak Gunha Nahi Deta Jab Tak Ke Woh Burai Kar Na
Le. To Phir Kio Hum Khuli Gumrahiyon Main Pare Hoe Hain ..Kio Dosre Ka Haq Marte
Hain. Bas Ab Zaroorat Sirf Is Baa Ki Hai Ke Hum Apne Rub Ke Hazoor Toba Karen
Aur Gunaho Se Door Rehne Ka Wada Kare Aur Apni Aur Apne Walden Ki Maghfirat
Keliy Dua Karen. Allah Hmen Amal Karne Aur Toba Karne Ki Toufeeq Ata Farmaye.
Ameen
Wo Bakshta Hai Gunah E Azeem B Lekin,
Hmari Choti C Naiki Sanbhal Rkhta Hai,
Hm Usy Bhol Jaty Hain Roshni Me,
Wo Tariqi Me B Khyal Rkhta Hai,
Jo Kbi Dair Se Lotun To Meri Maa Ki Tarah,
Wo Mry Rizk Ka Hisa Nikal Rkhta Hai,
Gharo Me Jin K Diya B Nhi Hai Un K Lye,
Fiza Me Chand Sitary Uchal Rkhta Hai,
Mohabat Apne Bando Se Kamal Rakhta Hai
Woh Aik ALLAH Hi Hai Jo Apne Bandoon Ka Khayal Lazawal Rakhta Hai
Note:
Tehreer Main Koi Ghalti, Kotahi Ya Kami Beshi Ho Gayi Ho To Allah Ke Hazoor Mafi
Ka Talabgaar Hoon.Allah Apni Raheemi Karimi Se Maaf Farmaye.