Waldain Ki Narazgi Aur Nafarmani
(Muhammad Faraz Baig, Karachi)
Ek Sahabi (RA) Par Moatt Ka
Waqt Aya Magar Takleef Ki Wajha Se Woh Kalma Nahi Parh Pa Rahe Jab Sahaba Ne Yeh
Manzar Dekha To Foran Rasulullah S.A.W Kay Pass Hazir Hoe Aur App SAW Ko Sara
Qissa Bataya Kay Un Sahabi Pe Muat Jari Hai Magar Kalma Nahi Keh Pa Rahe. Ap SAW
Nay Foran Poocha Ke Kiya Un Ke Maa Baap Zinda Hai Sahaba Ne Bataya Ke Maa Zinda
Hai. Ap SAW Ne Farmaya “Naraz Hai Ya Razi Hai” Sahaba Ne Bataya Naraz Hai Ap
(SAW) Nay Un Ki Maa Ko Bulwaya Or Poocha Tujhe Apne Bete Say Kia Shikiyat Hai
Unhone Nay Kaha Mujhe Is Kay Deen Ki Koi Shikiyat Nahi Bas Ek Shikiyat Hai Who
Yeh Ke Batameez Hai Jab Bhi Baat Karta Hai Mujh Say, Dil Dukha Kay Rakh Deta
Hai.To Apnay Kaha Ke App Unhe Maf Karden. Is Baat Per Un Ki Maa Ne Kaha Ya
Rasulallah S.A.W Us Nay Mujhe Bohat Dukh Diye Hain Mein Maaf Nahi Karsakti. Un
Ki Maa Naraz Ho Kar Alag Reh Rahi Thi Un Ko Nahi Pata Tha Un Kay Bete Per Muat
Jari Hai.
App S.A.W Nay Hazrat Bilal (RA) Se Farmaya Ke Lakriya Lao Alkama Ko Agg Lagani
Hai . Ap SAW Ki Is Baat Per Un Ki MAA Ka Dil Tarap Utha Aur Wajha Daryaft Ki. Ap
SAW Ne Farmaya Woh Mar Raha Hai Aur Us Ki Is Beadbi Ki Wajha Se Us Ki Zaban Se
Qalma Nahi Nikal Raha Aur Jaan Atki Hoi Hai Agar App Ne Maf Na Kiya To Sidha
Jahanum Mein Jaega. Bas Is Baat Ka Sunna Tha Aur Un Ki MAA Rone Lagi Aur Kaha
Yarasulullah (S.A.W) Mein Maaf Karti Hoon Us Nay Kaha Maf Karti Hun Or Un Kay
Muu Say Kalma Nikla Or Muat Agae Phir Apnaya Janaza Khud Parhaya Phr Wapsi Par
Apnaya Yeh Irshad Farmaya.
Jis Nay Maa Baap KO Dukh Diya
• US Pe ALLAH Ki LANAT
• Zameen Asmaan Ki LANAT
• Farishtoo KI LANAT
• NA Namaz Kabul Hai
• Na Roza Kabul Hai
• Na Sadqa Kabul Hai
Note:
Tehreer Main Koi Ghalti, Kotahi Ya Kami Beshi Ho Gayi Ho To Allah Ke Hazoor Mafi
Ka Talabgaar Hoon.Allah Apni Raheemi Karimi Se Maaf Farmaye.