(Junaid Taj, Karachi)
Ek Gaaon Main Ek Shaks Tha Jise Sab Manhoos Keh Kar Pukara Karte The Logo Ka Kehna Tha K Agr Koi Subah Sab Say Pehle Is Ki Shakal Dekhle Tu Uska Pora Din Bohat Bura Guzarta Hai, Ye Bat 'Baadsha' Ko Pata Chali Usne Us Shaks Ko Apne Darbaar Main Bolaya Baadsha Ne Kaha K Subah Sab Say Pehle Main Iski Shakal Dekhonga Baadsha Subah Uski Shakal Dekh Kar Jese Hi Munra Uska Paaon Sileep Howa Or Uski Tang Toot Gai,, Baadsha Ne Kaha Han Ye Tu Wakai Manhoos Hai Phir Baadsha Ne Uske Lye Phansi Ka Ilaan Kardiya Phir Sara Gaon Jama Hogya Jab Usko Phansi Di Jane Lagi Tu Ussi Hojoom Main Say Ek Shaks Ne Kaha, ''Badsha Salaamt Jan Ki Amaan Paon Tu Kuch Arz Karon'' Baadsha Ne Ejazat Di Tu Usne Kaha K Is Say Bare Manhoos Tu Ap Hain Jo Isne Apko Subah Sab Say Pehle Dekha Or Abhi Isko Phansi Horahi Hai.