AL QURAN

(Afshan Rahman, Chicago usa)

What Is Quran ?Ye Ek Sawal Hay Is Ka Jawab Hay Al Quran Ek Sachi Kitab Hay Tehreer Ki Howee Kitab Jis Mein Zindagee Guzarne Ke Tareqe Or Osool Wa Qawaneen Mojood Hein. Ye Oon Ke Lia Faeda Deta Hay Jo Is Per Etemaad Or Bharosa Rakhte Hon Oon Ko Poora Yaqeen Hoga Ke Ye Hamare Lia Bilkul Durst Hay. Is Mein Tamam Insano Ka Faeda Hay. Hidayat Or Bar Bar Naseehat Or Telqeen Hay. Mehnat Koshish Se Hasil Kerna Hoga. Samjhne Ki Koshish Kernee Hogee. Allah Talla Ne Fermaya Hay Keh Mein Hidayat Usee Ko Donga Jo Hidayat Mange Ga Ye Tereeqa Hay .Werna Batakne Ko Chor Deea Jaega Or Ek Insan Galet Raste Per Chalta Hoowa Akhree Manzil Tak Ja Ponchega Usee Galet Fehmi Per Ke Woh Sahi Chal Raha Hay . Ye QURAN Best Friend Hay Jub Dunya Mein Parhenge Tub Bhi Faeda Hay Shafa Hay Or Akherat Mein Derja Buland Karega.Its A Miracle For Every One.Ye Allah Talla Ka Kalam Hay Woh Kis Terha Apne Bandon Se Mukhatib Hay .Woh Jo Meherban Hay Or Raheem Hay.Yeh Quran Allah Ki Terf Se Azeem Hasti Keh Zerya Hum Tak Pohcha Hay Pyare Nabi Mohammad [P.B.U.H.]Ne Fermaya Mein Do Cheezen Chorker Jaraha Hoon On Ko Thamloge To Gumrah Nahoge Ek Al Quran Or Ek Hadees Hay.Quran Mein Namaz Keh Bare Mein Hay Mohammad {P.B.U.H.]Ne Namaz Perh Ker Bataee Ke Kis Terha Or Kis Waqt Parhee Jae. Roza Kese Rakha Jae Aap{P.B.U.H.]Ne Roza Rakh Ker Bataya Hay.Kis Terha Roza Rakhen. Quran Mein Bar Bar Kaha Jaraha Hay Keh Shetan Khulla Dusman Hay Jo Azadee Se Ghalet Kaam Kerwata Hay.Logon Ko Tefreeh Mein Gum Kerke Allah Ke Ziker Se Hatta Deta Hay.Allah Ko Yaad Kerne Wale Shetan Se Bach Jate Hein .Quran Mein Bar Bar Bani Israel Ki Qom Ka Zeeker Hay Keh Woh Naferman Thee Or Kese Azab Aayya Tha.Allah Se Help Maange Ke Is Dunya Ke Exam Mein Poore Utren Or Raasta Aapko Al Quran Hi Bataega. Rabbana Zidna Ilma.Ae Allah Hamare Ilm Mein Ezafa Ker AAMEEN .Ajkal Internet Per Bhut Asani Se Hum Meanings Sun Sekte Hein Hamari Web Per Bhi Quran Side Hay Ager Din Mein 15 Minutes Bhi Aap Sun Len To Aapko Bhut Maloomat Hasil Hogee Insha Allah.Or Hum Bhut Si Mushkil Se Bach Jaenge.Ya Allah Humko Quran Perne Or Samjhne Mein Help Ker Aameen.

Afshan Rahman
About the Author: Afshan Rahman Read More Articles by Afshan Rahman: 73 Articles with 219839 views Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.