Ek Kaatib Jis Sey Log Apni
Kitaabein Likhwaya Kerte They, Uski Yeh Aadat Thi Keh Logon Key Mazameen Mein
Apni Aqal Sey Kami Beshi Kerdia Kerta Tha, Kahein Alfaaz Aage Pichhey Ker Deta
Tau Kahein Apni Merzi Sey Kuchh Berha Deta Ya Ghata Deta, Iss Tarah Us Ney Bohot
Si Kitabon Mein Is Tarah Kia Tha Yahan Tak Keh Aasmani Kitabon, Toreit, Zuboor
Aur Injeel Mein Bhi Us Ney Aisi Hi Harkaat Ki Huwi Thein Magar Choon Keh Inn
Kitabon Ka Koi Hafiz Nahi Hota Iss Liye Yeh Pakra Nahi Jata Tha.
Kisi Ney Usey Quran Shareef Bhi De Dia Kitabat K Liye, Aur Yeh Takeed Bhi Kerdi
Keh Dekho Yeh Allah Ki Kitaab Hey Ismein Apni Taraf Sey Kuchh Ghatana, Barhana
Ya Kami Beshi Waghera Na Kerna Warna Yeh Kitaab Hamarey Kaam Ki Na Raheygi,
Chunacha Us Ney Wada Kia Aur QURAN PAK Ki Kitabat Shuroo Kerdi.
Kitabat Mukammal Honey Key Baad Wo Nuskha Us Shakhs Key Hawaley Kia, Kitabat
Waqei Bari Shandar Thi, Jisey Dekh Ker Dil Khush Hota Tha, Kitaab Lene Key Baad
Us Shakhs Ney Katib Sey Poochha Keh Tum Ney Wadey Key Mutabiq Kaam Kia Hey Na,
Koi Raddo Badal To Nahi Kia? Katib Ney Jawab Dia Keh Mein ALLAH PAK Key Kalam
Mein Tabdeeli Kaisey Ker Sakta Hoon, Nehayet Ehtiyaat Sey Mein Ney Isko Likha
Hey Albatta Chand Maqamat Per Kuchh Be-Rabt Alfaaz Dekh Ker Mein Ney Unki
Tasheeh Kerdi, Yani QURAN Mein Kuchh Aisey Logon Key Naam Nazar Aaye Jo Mujhey
Iss Kitaab Ki Bari Shaan Key Khilaaf Nazer Aaye Tau Mein Ney Inmein Tabdili
Kerdi. Jaisey Mein Ney Ek Jagah Likha Dekha;"WA KHARA QAN MOOSA SA'EQA", Khar
Gadhey Ko Kehtey Hein, Aur Yahan Iski Nisbat Moosa Alaihis Salam Ki Taraf Thi
Halankeh Gadha To Moosa (A.S.) Ka Tha Hi Nahi, Gadha To Hazrat Essa Alaihis
Salam Ka Tha Tau Yan Mein Ney Moosa Key Bajaey Essa Kerdia, Isi Tarah Jahan Mein
Ney Fir'on Ka Naam Dekha Tau Wahan Apna Naam Likh Dia Keh QURAN Mein ALLAH Key
Dushman Ka Naam Kiyoon Ho Or Jahan Shetaan Aur Iblees Ka Naam Dekha To Wahan
Aapka Naam Likh Dia Keh Yeh Bhi ALLAH PAK Key Dushman Ka Naam Hey, Iss Tarah
Mein Ney In Gandey Namo Sey QURAN Ko Pak Kerdia.
Kitabat Kerwaney Waley Ney Kaha Kambakht To Ney To Wadey Ki Paasdari Na Ki Or Wo
Kaam Kerdia Jis Key Kerney Ki Kisi Ko Bhi Ijazat Nahi, Yeh Nuskha Ab Hamarey
Kaam Ka Nahi Balkeh Kisi Key Bhi Kaam Ka Nahi.
FAEDA:
-----------
QURAN PAK Khuda-E-Buzurg-O-Berter Ki Wo Kitaab Hey Keh Jis Ki Hifazat Ki
Zimmedari Khud ALLAH PAK Ney Li Hey Iss Liye Ismein Kisi Bhi Qism Ki Tabdeeli Na
Mumkin Hey. Agar Koi Shakhs Ismein Ek Zabar Zair Paish Ki Bhi Tabdeeli Kerta Hey
Tau Foran Pakra Jata Hey Kiyoon Keh Poori Dunya Mein Karoron Huffaaz Mojood
Hein, Jabkeh Deegar Kutub Aur Sahifon Ki Hifazat Ki Zimmedari ALLAH PAK Ney Nahi
Li Iss Liye Unmein Tabdeeli Hogai Or Logon Ney Apni Merzi Sey Unmein Tabdeeli
Kerli.
QURAN PAK Key Nuzool Sey Leker Aaj Tak Kisi Ko Yeh Jurrat Na Hosaki Keh Koi
Iskey Zabar, Zair, Paish, Tashdeed, Jazam Waghera Mein Bhi Koi Tabdeeli Ker
Sakey. Ummat-E-Muslima Ka Yeh Muttafeqa Aqeeda Hey Keh QURAN PAK Mein Tehreef Ka
Aqeedah Rakhney Wala Daera-E-Islam Sey Kharij Hey. Choonkeh ALLAH PAK Ney QURAN
PAK Ko Qiamat Tak Anewale Logon Key Liye Rushd-O-Hidayet Ka Zeriya Banaya Hey
Iss Liye Aur Iske Baad Koi Aur Kitaab Bhi Nahi Aayegi Na Nabi (A.S.) Isliye Iski
Hifazat Ki Zimmedari Khud Li, Takeh Log Qiamat Tak Is Sey Rahnumai Letey Rahein.