Aik Zamana Tha Kai
Musalmanon Ki Haqumat Puri Dunya Par The.Mashriq Sai Magribh Tak
Islam Kai Manny Walon Ka Dhanka Bajhta Tha.Sabhe Taraqqiyan Aor
Kamiyabiyan Musalmanon Sai Hi Munsalik The.Kya Eesayi Kya Yaahudi
Sabhe Musalmanon Kai Hi Darsgahoon Sai Apni Ilm Ki Piyaas Bujhaty
Thy Aor Apny Zehen Kai Banjar Zameenon Ko Musalmanon Sai Hi Hasil
Karda Ilm Kai Samandar Sai Sairaab Karty Thy. Phr Achanak Musalmanon
Kai Urooj Aor Kameyabiyon Ka Chamakta Damakta Surajh Ahista Ahista
Garoob Hony Laga Aor Musalmanon Ka Zawaal Shuru Hua.Musalmaan, Kae
Sadyon Sai Hasil Karda Izaat ,Puri Dunya Par Apna Roub O Dabdaba
Waqt Kai Sath Khony Lagy Aor Apny Sub Sai Munfaridh Aala Miyaar Aor
Waqaar Ki Asmaan Ko Chute Buland O Baala Amarat Ki Seediyon Sai
Ahista Utarty Utarty Sub Sai Nichli Seedi Tak Phnch Gayan.Phr Sub
Kuch Badal Geya Aor Musalman Taraqqi Kai Manazil Tay Karty Logon Aor
Mumalik Kai Feherist Mai Sub Sai Aakhri Number Par Aagayan.Wo
Musalmaan Kai Jinki Ilmi Kaawisho Sai Puri Dunya Ilm Ki Noor Sai
Munawwar Hogae,Wohi Musalmaan Khud Jahalat Kai Andhairon Mai Doobny
Lagy.Wo Musalman Kai Jinhon Nai Puri Dunya Ko Ilm Kai Samandar Sai
Sairaab Kiya, Unhi Musalmanon Ko Apny Ilm Kai Murjaty Huay Pody Ko
Thoda Bohot Bhe Hara Bhara Rakhny Kai Khatir Yahudiyon Aor Eesayion
Kai Daron Pai Jhukna Pada.Wo Musalmaan Kai Jinhon Nai Deen Islam Sai
Haasil Karda Akhuwat ,Bhaichara,Mohobbat Aor Aman Par Mubni
Taaleemaat Sai Insanon Ko Insaniat Kai Uroojh Tak Phncha Diya, Unhi
Musalmanon Ko Dehshatgard Qaraar Daikar Un Kai Sath Qatal O
Garatgari,Badamni Aor Khoon Raizi Jasy Jaraim Munsalik Kardiye.Aj
Jahan Kahi Bhe Dunya Mai Badamni Ka Waqeeya Ronuma Hota Hai Tu Puri
Dunya Mai Aungliyan Sirf Musalmanon Ki Taraf Uthti Hai.Agr Koe
Yaahudi Ya Eesai Kisi Dusry Insaan Kai Qatal Mai Mulawwis Hota Hai
Tu Hadsy Ko Qatilana Hamla Aor Us Insaan Ko Qaatil Qaraar Diya Jata
Hai Jabki Agr Qatal Karny Waly Ka Taaluq Deen E Islam Sai Hoto Hadsy
Ko Dehshatgardi Aor Qatil Ko Dehshatgard Bana Diya Jata Hai. Wo
Musalmaan Kai Jin Kai Pass Puri Dunya Ki Badshahat The,Jo Apny Baish
Baha Aor Laataadad Dolaat Sai Sabhe Ko Nawazty Thy.Yahudi Ho,Eesai
Ho Ya Hindu Ya Phr Kisi Aor Mazhab Sai Taaliq Rakhny Waly Log Hon
Sabhe Musalmanon Kai Hi Daron Pai Jhukty Thy Aor Apny Kashkool Bhar
Bhar Kar Jaty Thy Wohi Musalmaan Aaj Unhi Yahudiyon Aor Eesaion Sai
Sahaary Aor Imdaad(AID)Ki Apeel Karty Hain.Chahy
FALASTEEN,IRAQ,LIBNAAN Ho Yai Phr SHAAM Ya Phr Hamara Apna Mulk Ho ,Garz
Kai Sabhe Muslim Mumaliq Mai Musalmaan Badamni Aor Becharagi Ka
Nishan Bany Huay Hain.In Sub Baton Pai Ghoor Karky Yahi Aik Jumla
Zehen Mai Aata Hai Kai Kahaan Wo Musalmanon Ka Urooj Aor Kahan Yai
Zawaal.Ab Akhir Mai Goor Talab Baat Yai Hai Kai Hamary Guzry Huay
Abao Ajdaad Mai Akhir Wo Konsi Khususiyaat The Kai Jinko Dakhty Huay
KHUDA Nai Puri Dunya Mai Badshahat Aor Izzat O Ahtiraam Diya Aor
Kaamiyabiyon Kai Akhri Manzil Tak Phncha Diya.Aor Hum Mai Wo Konsi
Khaamiya Aor Khaslatain Paida Hogae Kai KHUDA Nai Hamy In Kai Qabil
Nhi Samjha.In Mai Sai Aik Waja Yahi Hai Kai Hum Apny Deen Sai Bohot
Dur Nikal Gayan Hai.Hamary Ankhon Par Dunya Ki Mohobbat Ki Patti
Bandhi Gae Hai Jis Ki Waja Sai Hum Sahi Rasty Ka Intikhaab Karny Sai
Qaasir Hain.Hamary Nazdeek Khuda Sai Ziyada Gair ALLAH Aham Hogayan
Hain Jis Ki Waja Sai KHUDA Nai Hamy Unhi Ka Mohtaaj Banadiya Hai Aor
Hamy Apny Haal Pai Chod Diya Hai.Aor Yaqeenan Kae Aor Wajuhaat Hongi
Jin Pai Hamy Khud Ghoor Karny Ki Zarurat Hai Taaqi In Khamiyon Ko
Apny Andar Sai Dur Karky Is Dunya Main Naa Sahi Tu Akhirat Mai Hi
KHUDA Kai Samny Surkhuru Hosaky Aor Apni Akhirat Ko Kaamiyaab
Banasaky Que Kai Asal Kamiyabi Tu Akhirat Ki Kamiyabi Hai....