Jub Aik Insan Apny Zindagi Mai Aagy Badhny
Ka Irada Karha Hai Aor Kisi Khaas Muqaam Tak Pohonch Kar
Kamiyabi Hasil Karny Ka Faisla Karky Apny Manzil Ki Taraf
Qadam Badhata Hai Tu Bohot Si Rukawatain Us Kai Rasty Mai
Ajati Hain Jasy Maali Masail,Har Maidaan Mai Sakht Muqabila
,Achy Numbaron Ki Dhodh Aor Bohot Say Masail .Magar Yai
Janty Huay Bhe Kai Jo Wo Karna Chahta Hai Aor Jis Muqaam Tak
Pohonchna Chahta Hai Sahi Hai,Har Lihaaz Sai Behtar Hai,Kisi
Na Kisi Rukh Sai Bohot Sochny Kai Baad Yaa Phr Kisi Na Kisi
Nukty Pai Pohonch Kar Yai Jumla Aik Baar Zehen Mai Zarur Ata
Hai Kai “Log Kia Kahan Gay”.Aksar Asa Bhe Hota Hai Kai
Hamary Kisi Kaam Sai,Chahy Wo Kitna Hi Behtar Que Naa Ho,Jis
Kai Karny Sai Chahy Hamary Mazhab Ko Aor Mazhab Kai Baad
Hamary Apny Ghar Walon Ko Koe Aatiraaz Ho Ya Na Ho Lakin
Logon Kai Zehnon Mai Koe Na Koe Aatiraaz Zarur Paida Hojata
Hai.Yahi Aik Jumla Kai “Log Kiya Kahan Gay”Aksar Hamary
Rasty Ka Sub Sai Bada Ruqawat Banjata Hai.Lakin Har Insan
Kai Sochny Ka Meeyar Bhe Aik Jasa Nhi Hota.Bohot Sai Log
Assay Bhe Hoty Hain Jin Kai Andar Kaafi Had Tak Khud
Aatimadi Paye Jati Hai.Jin Ka Apny Har Faisly Pai Pura
Aatimaad Hota Hai.Jin Ko Is Baat Ki Parwah Nhi Hoti Kai Log
Un Kai Peechy Kya Batain Karhain Hongy Aor Kiya Nhi.Wo Logon
Ki Baton Ko Is Had Tak Ahmiyat Kabhe Nhi Daity Kai Un Baton
Ko Apny Rasty Ka Pathar Hi Samajh Baity Aor Agar Logon Ki
Batain Un Ki Rah Mai Rukawaty Paida Kar Bhe Li Tu Aasy Log
Apny Rasty Kai Tamam Rukawaton Ko Thokar Maar Kar Aagy
Badhty Hain.Unhy Is Baat Ki Umeed Hoti Hai Kai Jo Log Aaj Un
Kai Kamiyabi Kai Rasty Mai Rukawatain Paida Kar Rahan Hain
Aor Tarah Tarah Ki Baatain Kar Kay Us Kai Iradon Ko Kamzoor
Karny Ki Koshsh Kar Rhan Han Wohi Log Kal Un Kai Kamiyab
Hony Par Un Kai Tareefon Kai Gun Gayan Gay Aor Un Kai Aagy
Peechy Mandlayangy.
Aor Kuch Log Assay Bhe Hoty Hain Kai Jin Kai Irady Kamzoor
Aor Jin Kai Andar Khud Aatimadi Mai Khaasi Had Tak Kami
Nazar Aati Hai.Aasy Logon Ki Zindagiyon Mai Is Jumly Hi
Ahmiyaat Kai “Log Kiya Kahan Gay”Zarurat Sai Kaafi Ziyada
Hoti Hai.Aasy Log Ziyada Tar Baichain Nazar Aaty Hain Aor
Aik Pareshani Kai Log Un Kai Peechy Un Kai Bary Mai Kiya
Raaye Rakhty Hongay ,Kis Tarha Ki Batain Karty Hongy Un Kai
Chahry Pai Hamesha Asaar Nazar Aaty Hain Ya Phir Dusry
Alfaaz Mai Apny Mutaliq Gaibaat Aor Chugli Karny Waly Logon
Sai Darty Hain Jo Kai Har Muasheery Mai Paaye Jaty Hain.
Aaj Kal Kai Modern Door Mai Logon Kai Peeth Peechy Un Ki
Gaibaat Aor Chugliyan Karny Ko Wasy Bhe Aik Modern Naam Yani
Kai “GOSSIPS”Ka Naam Dai Diya Giya Hai Jo Kai Logon Kai Liya
Fursat Kai Aooqat Katny Ka Behtareen Mashgala Hamesha Sai
Raha Hai Aor Log Koe Dusra Kaam Shokh Aor Tawajju Sai Kary
Na Kary Lakin Yai Kaam Puri Tawajju Aor Khub Dil Laga Kar
Karty Hain.
Lakin Sochny Ki Baat Yai Hai Kai Aakhir Hum Logon Ki Baton
Ki Itni Parwaah Karty Que Hai .Shayad Is Liya Kai Humy
Majburan Parwah Karni Hoti Hai Que Kai Inhi Logon Kai Zarye
Humy Izzat Bhe Milti Hai Yaa Phr Yai Kai Yaahi Log Agar
Hamary Bary Mai Acha Sochangy Aor Musbat Raaye Rakhangy Tu
Yahi Log Muasheery Mai Hamari Izzat Karangy.Lakin Afsoos Ki
Baat Tu Yai Hai Kai Hamary Nazdeek Is Jumly Ki Ahmiyaat Tu
Hai Kai “Log Kiya Kahan Gay”Lakin Is Baat Ka Khayal Bohot
Kam Aata Hai Kai Khuda Hum Sai Raazi Hoga Ya Nhi.Kaash Jitni
Fikar Hum Is Jumly Kai Baary Mai Kai ‘Log Kiya Kahan
Gay”Soch Kar Karty Hain Agr Us Sai Ziyada Naa Sahi Tu Utni
Hi Fikar Apny Har Amal Sai Pahly Apny Rab Ki Razaiyat Aor
Naraazgi Ka Bary Mai Bhe Soch Kar Karan Tu Shayad Phir Humy
Kabhe Logon Ki Soch ,Un Kai Khayalat Aor Is Jumly Ki Kai
“Log Kiya Kahan Gay”Parwaah Nhi Rahy Gai Aor Humy Dunya Aor
Aakirat Dono Mai Izzat Aor Kaamiyabi Aata Hogi