Kuch Din Pahly Meri Nazar Ak Hadees Pai Padi.Jis Ko Padhny
Kai Baad Kae Sawalaat Nai Zehen Mai Janam Liyan.Hadees Kai Mutabiq Allah Jub
Kisi Qoum Sa Naraz Hota Hai Tu Usy Tabaah Nhi Krta Balki Unhy Mukhtalif Qisim
Kai Mushkilaat Mai Giriftaar Krdaita Hai Jasy Mahangaae ,Naainsaafi,Qatal O
Gaaratdari Aor Yai Bhe Kai Un Ka Uper Zalim Huqumuranon Ko Musallat Krdaita Hai.
Is Hadees Pai Goor Krny Ka Bad Aik Sawaal Jo Zehen Mai Peeda Hua Wo Yai Tha Kai
Phr Tu Hamara Mulk Bhe Unhi Aqwaam Mai Shamil Hoga Jin Sai Allah Naakhush Hai
Que Kai Hadees Mai Batayae Gayan Sari Sazaoon Ko Hum Aik Lamby Arsy Sai Bhukat
Rhan Hain .Mehengae Kai Pahaad Taaly Tu Awaam Aik Lamby Arsy Sai Daby Huay
Hain.Ab Tu Awaam Kai Liya Zindagi Guzaarna Bhe Dushwaar Hogeya Hai.Ameer Mazeed
Ameer Sai Ameertar Hoty Jarhn Hain Aor Gareeb Mazeed Gareeb Kai Baad Mout Hi Ko
Apna Akhri Sahara Samjh Kar Apny Zindagi Ka Ikhtitaam Karlaity Hain.Maa Baap Jo
Kai Apny Oolaad Kai Liya Mohabbat,Apnaiyaat,Shafqat Aor Khalus Jasy Khubiyon Ki
Alamat Samjhy Jaty Hain Aaj Wohi Maa Baap Apny Hi Hathon Apny Masum Bachon Ko
Mehengae Kai Hathon Chnd Paison Kai Iwaz Ya Tu Sadkon Pai Neelam Kardaity Hain
Yai Phir Apny Hi Hathon Apny Kamsin Bachon Ko Mout Kai Ghaat Uthar Daity
Hain.Hamary Muashery Mai Phayli Naainsaafi Ki Agar Baat Kary Tu Aaj Insaaf Sirf
Unhy Milta Hai Jin Kai Pass Paisa Ho.Aaj Insaaf Paison Kai Iwaz Bek Raha Hai.Aor
Nichly Tabqy Kai Awaam Kai Jin Ki Haaysiyat Itni Nahi Kai Wo Insaaf Ko Khareed
Saky ,Inhy Insaaf Tu Khair Milta Nhi Lakin Adalton Sai Tareekh Pai Tareekh Zarur
Milty Rehty Hain Aor Agar Yai Bhe Naa Mily Tu Inhi Adalton Aor Coot Kachehrion
Kai Daron Kay Thookary Tu Milty Hi Milty Hain. Qatal O Garat Gari Chahy Wo
Andaruni Dushmanon Ki Sazishon Kai Zarye Ho Yaa Phir Bairuni Dushmanon Kai Zarye
Hazarhan Jaany Hum Gawa Chuky Hain Aor Yai Silsila Ab Tak Jaari Hai.Aor Aakir
Mai Bachi Zaalim Aor Naa_Ahal Huqumuanon Kai Musaalat Kiye Jany Ki Saza Tu Yai
Saza Bhe Kab Ka Humary Saron Pai Musallat Hochuka Hai. Gharz Kai Yai Sazayan Aik
Lamby Arsay Sai Hum Pai Waarid Hain Jin Sai Is Baat Ka Andaza Lagaya Jasakta Hai
Kai Khuda Waqae Hum Sai Naraaz Hai .Aor Waqae Mai Sochny Ki Baat Hai Kai Khuda
Hum Sai Kasy Naraz Na Hoga.Aaj Agr Hum Apny Irdh Girdh Nigah Dodayan Tu Hum
Dakhty Hain Kai Aisa Konsa Gunah Baaqi Reh Giya Ho Jo Hamary Muashery Mai Naa
Horha Ho?Aaj Khabron Mai Wo Wo Batain Sunny Ko Milti Hai Jis Ka Hum Nai Gumaan
Bhe Naa Kiya Ho.Yai Tu Hamary NABI PAAK (SAWW)Ki Hamary Haq Mai Ki Hue Duayan
Hain Jin Kai Sadqy Allah Nai Humy Aab Tak Chut Dee Hue Hai Warna Hamara Shumar
Bhe Un Qoomon Mai Hota Jo Kai Allah Kai Sakht Azab Kai Nishana Ban Chukay Ho.Ab
Tu Bas Allah Hi Hum Pai Rehem Kary.Ameen….