Milad Ka Saboot
(shaik omer attari, hyderabad)
EID_E_MILAD Manana JAYEZ HAI:
Assalamu Alaikum Milad Un Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Manana Quran Aur
Hadees Se Sabith Hai Allah Ne Quran Me Hukm Diya Hai Allah Ke Fazal Aur Uski
Rehmath Per Khushi Manao.(Sore Younus Ayat 11) Aur Ek Jagah Per Farman Hua Aur
Hamne Tum Ko Saare Jahan Ki Taraf Rehmath Banaker Bheja (Para 17,Sore Ambbiya
Ayat 107) NABI Sallallahu Alaihi Wasallam Se Badh Ker Bhi Kiya Koi Allah Ki
Nemat Hosakti Hai? Hargiz Nahi To Phir Quran Ke Hukm Per Hum Amal Kiyu Na Kare.
Aur Rahi Sahaba Ke Daur Me Hua Tha Ya Nahi To Hazrate Abubakar Hazrate Omer
Hazrate Osman Aur Hazrate Ali Raziallahu Nahum Ke Daur Me Bhi Milad Hota Raha
Dekho Nematul Kubra Page Number 6/7 Me. Ab Raha Ye Sawal Ke Is Tarah Milad
Manana Kaisa Jo Aaj Kal Hum Manate Hai Kiya Sahaba Ne Aise Tariqe Se Milad
Manaya Tha? Jawab Jo Amal Quran O Hadees Ke Khilaf Na Ho Wo Islam Me Jayez Hai
Agar Ye Najayez Hota To Phir Quran Ki Printing Jo Aaj Kal Papers Me Hoti Hai Wo
Bhi Najayez Hojayegi Kiyu Ke Sahaba Ke Daur Me Aisi Printing Nahi Hoti Thi Aur
Usper Zer, Zabar, Pesh, Bhi Nahi Hote The Masjid Me Mic Per Azan Bhi Sahaba Ke
Daur Me Nahi Hoti Thi Aur Aaj Tum Dete Ho To Kiya Ye Najayez Nahi? Namaz Me Mic
Ka Istemal Kiya Sahaba Ne Kiya Tha? Jawab Saaf Hai Milad Manana Jayez Bhi Hai
Aur Sawab Bhi Aur Bhi. Allah Hame Khub Khub Apne Habeeb Sallallahu Aliahi
Wasallam Ka Milad Dhum Dhaam Se Sahriyat Ke Ander Rehkar Manane Ki Taufiq Ata
Farmaye. Aamin