UMEED.....

(Noorin Shafa, Gilgit)

Hum Hamesha Sai Sunty Ayan Hain Kai Umeed Sai Dunya Qaim Hai.Humy Umeed Ka Daaman Hath Sai Kabhe Nhi Chodna Chaheye.Umeed Kai Ghany Saaye Kai Bar_Akass Humy Naumeedi Ki Kadakti Dhoop Nazar Aati Hai.Jo Log Umeed Kai Es Saayedaar Darakht Kai Daaery Sai Bahar Nikal Jaty Hain Unhy Naaumeedi Ki Sakht Dhoop Apny Lapaait Mai Lay Lati Hai.Jis Kai Baad Unhy Apni Zindagi Mai Har Taraf Nakaamiyan,Mehrumiyaan Aor Maayusiyan Nazar Aany Lagti Hai Lakin Aksar Asa Bhe Hota Hai Kai Isi Umeed Kai Nateejy Mai Hi Naumeedi Aor Mayoosi Hasil Hoti Hai.Yahi Umeedy Hi Humy Khuwaar Krdaiti Hain.Humary Dil O Dimaag Mai Basi Kaye Umeedy Hi Aagy Jakar Mayoosi Ka Sabab Banny Lagti Hai .Aor Yai Wo Umeedy Hoti Hain Jo Hum Na Logon Sai Wabasta Karli Hoti Hain.Hazrat ALI(A.S)Ka Farmaan Hai Kai ,
‘Log Taqleef Nhi Daty Balki Logon Sai Wabasta Umeedy Taqleef Daiti Hai’
Waqiyan Asa Hi Hai.Hum Najany Apny Irdh Girdh Logon Sai Kasy Kasy Umeedy Wabasta Karchuky Hoty Hain .Apny Ghr Walon Sai,Apny Doston Sai ,Apny Rishtadaroon Sai Aor Najany Kin Kin Sai.Mazy Ki Baat Tu Yai Hai Kai Unhy Pata Bhe Nhi Hota Naahi Andaza Hota Hai Kai Un Sai Mutaliq Hamary Dil O Dimagh Mai Kasi Kasi Umeedy Parwaan Chadi Hain.Wo Apny Hi Dunya Mai Jee Rahn Hoty Hain Aor Apny Mutabiq Chal Rahan Hoty Hain Aor Hum Un Kai Peechy Apni Umeed Kai Diyan Ko Jalaye Phirty Rehty Hain Aor Phir Hota Aksar Kuch Yu Hai Kai Wo Log Aik Hi Jhatky Mai Hamari Umeed Kai Bar_Akas Apny Alfaaz ,Andaaz Ya Phir Mizaag Kai Zarye Hamari Umeed Kai Is Diye Ko Bujha Kar Pursukun Andaaz Mai Aagy Badh Jaty Hain.Yahan Hasrat ALI (A.S) Kai Aik Aor Qool Ka Zikar Zarur Karna Chaheye Jis Kai Mutabiq
“Agr Khush Rehna Chahty Ho Tu Kabhe Kisi Sai Umeed Na Rakho”
Akhir Mai Yai Kahna Chahti Hu Kai Hamy Umeed Rakhni Chahye.Zarur Rakhni Chaheye Lakin Sirf Khuda Sai Rakhni Chaheye.Logon Sai Rakhangy Tu Naumeedi Kai Ilawa Kuch Hath Nhi Ayega.Umeed Kai Daman Kabhe Hath Sai Mat Chodna Lakin Us Umeed Kai Markaz Hamesha Khuda Ki Zaat Honi Chaheye…
 

Noorin Shafa
About the Author: Noorin Shafa Read More Articles by Noorin Shafa: 20 Articles with 17325 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.