Karachi Me Pani Ki Kami

(Momina muzammil, Karachi)

Karachi K Barhte Maslo Me Sab Se Bara Masla Pani Ki Kami . Pani Zaroriate Zindagi Ka Ahem Tareen Jooz Hy .Karachi K Kai Ilaqe Ese Hy Jaha Kai Kai Din Pani Maysaer Nahi Hota Jis Ki Waja Se Awam Ko Pareshani Ka Samna Karna Parta Hy,Or Tanker Mafiya Ka Raj Hai Jo Pani Bhi Pesie Barha K Dete Hy Or Pani Bhi Saaf Maysair Nahi Hota, Saaf Pani Na Mile Ki Waja Se Naai Naai Bemariya Janam Leti Hy , Or Sab Se Ziada Zoor Diarrhea Ka Hota Hy, Aksar Sheri Pani Ki Qilat Per Ahtijaj Karrahe Hote Hy Or Huqomat Se Is Masle Ka Hal Dhondne Ki Talab Karte Hy, Mager Afsos Ye Tariqa Akar Tashadud Me Tabdeel Ho Jata Hy. Karachi Me Abadi K Lihaz Se Pani Dhang Se Maysar Nahi Hy, Yaha Tak K Dariya E Sindh Me Bhi Pani Ka Bahaoo Kam Hota Ja Raha Hy .Karachi Ko Taqreban 70 Mgd Pani Kam Diaa Jaraha Hy Or Ye Bohoot Afsosnak Bat Hai . Karachi Ek Qarobarii Sheher Hai Jaha Dhang Se Pani Na Mile To Ye Masla Mashi Or Mashrati Dono Per Asar Anadaz Hota Hy .Hamari Huqumat Se Iltija Hai K Wo Jald Se Jald Is Male Per Ghor O Fiqar Kare.

Momina muzammil
About the Author: Momina muzammil Read More Articles by Momina muzammil: 2 Articles with 12223 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.