Sachi Khushi
(Iftikhar Ahmed, Karachi)
Sham Ka Waqt Tha Main Daftar Sey Chutti Key Bad Saddar Aya Jo
Karachi Ka Karobari Markaz Hey Aur Her Tarah Ki Transport Yehan Mil Jati Hey. Aj
Kal Bus Aur Mini Bus Main Daftar I Auqat Main Kafi Rush Hota Hey Is Liay Mujhey
Kisi Rickshey Ki Talash Thee Jo Landhi Korangi Janey Wala Ho Aisey Rickshey
Subah Aur Sham Ko Mil Jatey Hain Jo 60 Ya 70 Rupey Main 5 Sawarian Bitha Ker Kam
Waqt Main Landhi Korangi Pohncha Detey Hain. Magar Aik Masla Yeh Hota Hey Key
Safar Key Duran Agar Traffic Police Waley Kisi Waja See In Ka Challan Ker Lain
To Ghareeb Rickshaw Driver Kafi Mushkil Main A Jata Hey. Aisa Hi Us Din Bhee Hua
Traffic Police Waley Ney Rickshey Waley Ka 200 Rupey Ka Challan Ker Dia. An Ap
Andaza Lagain Key 5 Musafiron Ka Kul Keraya 60 Rupey Key Hisab Se 300 Rupey Ho
Ga Jab Key Ghareeb Rickshaw Driver Us Sey Pehle He 200 Rupey Ka Challan Dey
Chuka Tha Ab Wo Ghar Ka Lekar Jai Jahan Uskey Biwi Bachey Uskey Muntazir They
Jab Key Petrol Aur Cng Ki Qeematain Bhi Asman Sey Batain Ker Rahe Hain. Main Ye
Sab Manzar Dekh Reha Tha Aur Main Ney Rickshaw Driver Key Safaid Ball Dekh Ker
Ba Asani Ye Andaza Laga Lia Key Yeh Safaid Posh Bhee Lag Reha Hey. Poorey Safar
Key Duran Rickshaw Driver Khamosh Reha Wo Kafi Ghamgeen Nazar A Rehab Tha.
Mujhey Korangi Number 4 Per Utarna Tha Jaisey Hi Mera Stop Aya Main Ney Rickshey
Sey Utar Ker Driver Jo 70 Rupey Keraya Deya Aur Sath Hi Uskey Hath Per 200 Rupey
Bhee Rakh Diay Aur Kaha Ye Rehey So Key Challan Key Paisey Aur Ye Reha Ap Ka
Keraya. Us Waqt Rickshaw Driver Ki Halat Dekhney Ke Qabil Thee Us Hey Khshgawar
Herat Key Sath Mujhey Dekha Aur Paesy Wapis Kerna Chahtey Lekin Main Usey Khuda
Hafiz Kehtey Huae Stop Ki Tarf Chal Para. Useky Chehrey Ko Khshgawar Herat
Mujhey Wo Khushi De Chuki Thee Jo Main Kisi Aur Zariay See Hasil Nahi Ker Sakta
Tha. Merry Zehen Main Wo Hadeese Pak Bhee A Gai His Ka Mafhoom Hey Sari Mukhlooq
Allah Tala Ka Kunba Hey Aur Allah Tala Ko Wo Shakhs Bohat Pasand Hey Jo Useky
Kunbey Ka Khial Rakhey. Agar Him Choti Choti Nekian Kertay Rahain To Poori Umeed
Hey Key Allah Tala Him Sey Razi Regain Hey Aur Hamari Her Mushkil Asan Ho Jai
Go.