Jis Ka Amal Hey Be Gharaz Uski Jaza Kuch Aur Hey

(Iftikhar ahmed, Karachi)

Kafi Din Pehley Ki Baat Hey Main Aik Bhari Hoi Bus Main Safar Ker Reha Tha. Bus Main Kafi Rush Tha Magar Main Kyonkey Shroo Key Bus Stop Sey Sawar Hua Tha Is Liay Mujhey Seat Mil Gai Thee Aur Main Aram Sey Beth Ker As Pas Ka Jaiza Le Reha Tha Aur Ye Bhee Soch Reha Tha Key Itnney Rush Main Apney Mutlooba Bus Stop Per Kis Tarah Utroonga. Isee Duran Meri Nazar Aik Buzrug Shakhs Per Pari Jo Gari Main Rush Honey Ki Waja Sey Kafi Pareshan Lug Rehey They. Main Un Dinoon Kafi Kum Umar Tha Aur Intermediate Main Pertha Tha Is Liay Bus Main Karey Ho Ker Safar Kerna Meray Liay Kuch Mushkil Na Tha Is Liay Main Ney Forun Apni Seat Un Buzrug Shakhs Key Liay Khali Ker Dee Aur Wo Meri Jaga Per Aram Sey Beth Gaye Aur Main Un Key Qareeb Hee Khara Ho Gaya. Kuch Dair Hee Guzri Thee Key Road Per Aney Waley Aik Speed Breaker Ki Waja Sey Bus Uchal Gai Aur Jhatka Lagney Kee Waja Sey Main Un Buzrug Shakhs Sey Tukra Gaya. Wo Takar Lagtey Hee Forun Ghussey Main A Gai Aur Zor Sey Boley Kia Andha Ho Gia Hey Tujhey Nazar Naheen Ata. Wo Ye Bat Bhee Bool Gai Key Unhain Seat Main Ney Hee Dee Thee. Ap Log Ye Soch Rehey Hongey Key Main Un Key Is Bertao Sey Dilbardashta Ho Gia Honga. Magar Aisa Kuch Naheen Hua Kyonkey Main Ney Apney Buzrugoon Sey Sun Rekha Tha Aur Kitabon Main Bhee Per Rekha Tha Key Insan Ko Naiki Kisi Dunyawi Faidey Key Liay Naheen Kerni Chaheeyey Bulkey Allah Pak Ki Kushnoodi Hasil Kerney Key Liay Kerni Chaheeyey Kyonkey Agar Allah Pak Khush Ho Gai To Insan Ka Bera Par Ho Jata Hey Aur Wo Seen Aur Dunyawi Main Aik Kamyab Zindagi Guzar Sekta Hey. Kahawat Mashhoor Hey Key Naiki Ker Derya Main Dal. Yani Is Ka MATLAB Ye Bhee Ley Saktey Hain Key Jab Zindagi Key Darya Main Kisi Waja Sey Doobeney Lagain To Ye Naikian Hee Kashtian Ben Ker Dobney Sey Bachaney A Sakti Hain. Is Waqiay Se Yeh Sabaq Ley Saktey Hain Key Humain Kisi Bhee Acha Kam Kisi Dunyavee Gharaz Key Liay Ya Apni Tareef Key Liay Nahi Kerna Chaheeyey Bulkey Be Gharaz Ho Ker Kerna Chaheeyey Aur Siley Ki Tamanna Sirf Apney Allah Pak Sey Hee Rakhnee Chaheeyey.

Iftikhar ahmed
About the Author: Iftikhar ahmed Read More Articles by Iftikhar ahmed: 42 Articles with 90238 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.