Mary Khayal Ma Orat Hamary Muashray Ki Bunyad Ha. Jahan Orat
Ka Taluq Mashray Ki Khubssorti, Taraki-O-Tameer Or Tahzeeb Sa Ha. Ishi Trha
Muashray Ma Phailnay Wli Nafrat, Dhutaak Or Apny Ki Hamzaat Ki Izat-E-Nafs Ko
Rondnay Ki Zimedaar Bhi Orat Ha.
Orat Ki Izzat Krny K Liye Sirf Itna Kafi Ha K Wo Aik Orat Ha!
Han Main Aik Orat Hn Or Bachpan Sa Sirf Yhi Suna Tha ( Ya Beti Ha Ixko Khch Na
Kho+Behnon K Sath Ni Larty+ Behon K Sath Izzat Sa Raha Jata Ha).
Mary Walid Na Hamesha Mari Izzat Ki Or Mjhy Fakhar Ha K Main Is Baap Ki Beti
Hun. Mari Maa Na Hamesha Mary Bhaion Ko Sikhaya K Orat Ki Izzat Kro. Many
Hamesha Is Mehsoos Kia K Orat Aik Izzat-Daar Or Muhabaat K Laiq Takhleeq Ha.
Phr Ishi Khobsurat Or Zindagi Sa Bharpoor Ehsas K Sath Many Kx Aixi Haqqeqton Ko
Dakha Jhan Orat Ka Taluq Sirf Nafrat Phelana, Dhutkarna Or Negativity Ko Promote
Krna Ha.
Ma Us Zindagi K Bary Ma Bat Kr Rhi Hn Jhan Jo Aik Larki Shadi K Bad Shru Krti
Ha. Jahan Sirf Aik Rishty Ma Muhabat Qaim Rakhny K Liye Usay Hamesha Sacrifices
Krny Prty Hn, Jhan Uxka Ghr Sirf Aik Ghr Ni Balky Adalat Hota Ha, Jhan Uxy Uthny
Bathny, Khany Peeny, Sony Jagny Or Mun Sa Nikaly Har Lafz Ko Explain Krna Pary.
Jahan Agr Kxi Orat Ka Shohar Axha Ho To Uxko Khush Bhi Bardast Ni Kia Jata Or
Unhen Aik Dosry Sa Door Krny K Liye Har Mumkin Koshish Ki Jati Ha. Or Ya Sb Bhi
Larki K Naye Rishton Ma Sa Orton Ka Hota Ha. Jo Aik Orat Ya To Saas Or Nand K
Roop Ma Krti Ha Ya Kxi Or Rishty Daar K Roop Ma. Khaas Tor Pa Ya Kam Ghr Ki
Oraton Ka Hota Ha.Orat Jahan Mamta Ki Misaal Ha Wahin Itni Pathar Dil Kesy Ho
Skti Ha. Lakin Ya Hmary Mashry Ki Wo Haqeeqat Ha Jisy Koi Jhutla Ni Sakta. Mara
Dimag Aksar Ishi Bat Par Aa Kar Atak Jata Ha K. Q Aik Orat Apni Bahu Ya Babhi Ko
Aik Nazar Dakhny Par B Rawadar Ni Hoti. Q Aik Orat Apny Baty Ko Uxki Bevi K Sath
Khush Nahi Dakh Sakti. Lakin Uxhi K Bar-Aks Kx Aixi Ortain Bhi Hain Jo Kxi Or Ki
Beti Ko Apni Beti Samjhti Hn Or Apny Ghr Ki Izzat Samjhti Hn.
Islam Na Orat Ko Izzat Di, Beshak! Lakin Ya Orat Hi Ha Jo Dosri Orat Ki Dushman
Ha. Or Is Dushmani Ka Khumiaza Naslaon Ko Bardashat Krna Parta Ha.
Negativity Aik Aisi Bemari Jiska Koi Ilaj Ni Ha Or Aik Sa Dosry Ma Tranfer Hoti
Rhti Ha Or Aagy Sa Aagy Chlti Ha.