Asalam Alaikum,
New Wolrd Oder Apnay Iqtitami Marahil Ki Taraf Barhta Nazar Aaraha Hai, Sagin
Mashi Bohran Sir Per Mandla Raha Hai Aur Apke Amm Fahem Bebus Insan Is Bat Ko
Samujh Ne Say Qasir Reh Gia Hai K Hum Say Ghalti Kahan Hovi Hai ? Hum Kaisay Is
Wahshi Mashray Ka Shikar Bangay Kaisay Insani Hadod Ko Janay Anjany Main Kudh
Apnay Hi Paun Talay Kuchal Gay ? Kaisay Hum Nay Apnay Bachon Ko Mashi Janwar
Bana Dala? Jis Ka Maqsat Maan Ki God Say Hi Paesa Kamana Reh Gia Hai Aur Itni Hi
Nahi Balkah Faqat Dolat Ka Bud Bana K Parhay Lekhon K Naam Per Ake Ajeb Jahilana
Nezam Qaeem Kia Aur Pher Kudh Is Dolat K Khuda Say Tang Aagay.
Kabhi Kabhi Asa Lagta Hai K Ager Bud Hi Ki Parashtish Karni Thi To Kia Hi Acha
Tha K Mitti Hi Ka Rahta Na K Dolat Ka Kam Say Kam Abrahim A.S Ki Sunat Per Amal
Kar K Tornay Ki Hemat To Rakhtay Mager Afsus K Is Dolat K Bud Ko Tora Bhi Nahi
Ja Sakhta To Hum Nay Apnay Haton Say Bana Dala Hai.
Nahjul Balagah Main Mola E Mutaqyal Ali Ibn E Abitalib A.S Farmatay Hain K Khuda
Nay Tumharay Lia Haram Thora Aur Halal Ziadah Rakha Hai Pher Tum Kion Halal Chor
Kar Haram K Pechay Jatay Ho Tumhara Rizq Kudha K Hat Main Hai Aur Tum Ko Ya
Hokum Hai K Allah Ki Atat Karo Pher Tum Kion Mash K Pechay Bhaghtay Ho Auer
Apnay Wajib Per Moon Mortay Ho ?..
Muqtasrun Ya K Mash Ki Zeme Dari Allah Subhana Tala K Zim Main Hai Jiss Per Hum
Pareshan Hain Aur Jis Chez Per Hum Ko Pareshan Hona Tha Yani Allah Ki Atat Na
Karnay Ki Pareshani Allah Ki Na Farmani Karnay Ki Pareshan Allah Ka Hudod Ko
Pamal Karnay Ki Pareshan Is Say Hum Be Khof Hain.
Mager Ya Sari Batain To Hum Jantay Hi Hain Is K Natijay Main Ho Kia Humaray Sath
? Kia Hum Nay Is Per Ghor Kia Ya Nahi ? Hum Samujhtay Hain Kuch Khas Is Per
Fikar Kar Hi Nahi Pay Us Ki Wajha Bhai Shayad Yahi Thi K Hum Ko Humarri Mash
Main Is Qadar Ulhja Dia Gia Tha K Hum Apni Mash K Elawah Kesi Aur Chez Ki Fikar
Karna Bhi Nahi Chahrahay Thay.
Baharhal Hum Samujhtay Hain K In Sab Ki Wajha Jihalat Hai. Mager Yahan Ake Sawal
Uthta Hai K Hum Uper Ya Beyan Kar Chokay Hain K Jadid Dunya Ake Elmi Duya Mani
Jati Hai To Pher Hum Ya Kaisay Kah Sakhtay Hain K Is Jadid Dunya K Log Jihalat K
Shikar Bangay ?
Humaray Pass Mojod Talimi Nizam Kudh Ake Zanjir K Manid Humaray Nojawano Ki
Zehni Aur Shaori Salahiyaton Ko Zabth Kar Leta Hai Natija Nojawan Mashray Say
Pareshan Hai Hazaro Aqlaqi Pareshani Main Geriftar Aur Zilat Ka Shikar Hai.
Filhal Is Bat Ko Sabit Karnay Ki Zaroorat Nahi K Kis Tarhan Yahodi Qom Nay Dunya
Ko Bewaqof Bana K Dunya K Passay Ko Munjamid Kia Aur Pher Dunya Ko Aje Is
Batarin Bohran Per La K Chordia Aur Kahan K Abe Tum Jano Aur Tumhara Kam Janay
Kahan Hain Abhi Vo 10 % Dunya K Baray Khandan Kin Ki Taraf Dunya Ka Pasay
Khechta Chala Gia Aur Aur Abe Un Say Puchnay Wala Koi Nahi, Subh Say Pehlay
Istimar Nay Hum Per Hokomat Kar K Apni Soch Humaray Darmian Raej Ki Us K Natija
Ya Howa K Hum Apni Saqafat Say Hat Dho Bethay Magribi Nizam Humari Zeenat Ban
Gia Hum Nay Un Ki Talim Aur Tarbiyat Per Ziadah Ghor Kia Na K Elahi Talim Aur
Elahi Nezam Per .
Elm Jo Kudh Ake Asmani Aur Rohani Jazbay K Tehat Kar Farman Tha Mashre Main Vo
Abe Zamini Aur Madi Ban Gia Hai, Zindagi K Kesi Bhi Shobay K Utha K Dekh Lijya
Har Jagha Mojoda Insan Faqat Passay K Lia Kam Karta Nazar Aye Ga, Is Nizam Ko
Kudh Faqat Taqat Nay Taqat K Lia Hi Raej Kia Yani Elm Taqat Ki Good Main Palnay
Barhnay Laga Pehlay, Har Jadid Elm Pehlay Taqat K Pass Jata Vo Us Ko Apnay
Maqasid K Lia Istimal Kartay Aur Pher Jo Bach Jata To Mazlum Awam K Pass Ata Vo
Bhi Is Lia Nahi K Us Say Us Mazloom Awam K Kuch Bhala Hona Tha Balkay Is Lia K
Us Bachay Howay Elm Say Hi Unhonay Apnay Lia Bher Bakian Pada Karni Thin Jo Din
Rath Kam Kar K Un Ko Taraqi Yafta Banati Rahen Aur Kudh Pasti Ka Shikar Rahen.
Kaisi Ajeb Bath Hai K Ake Tarafh To Magrib Hai Ko Taraqi Per Taraqi Kia Ja Raha
Hai Aur Dosri Taraf Mashriq Jo Apnay Paron Per Khara Hi Nahi Ho Para Raha Hai
Tajub Hai Chalo Ager Ya Man Bhi Lia Jay K Maghrib Nay Kamyabi Kudh Apni Mehnat
Say Hasil Ki Hai To Sawal Ya Pada Hota Hai K Is K Undar Humari Pasti Kahan Say
Aa Gai Aur Ager Ya Kaisay Ho Gia K Pechlay 500 So Sal Main Hum Nay Ake Bhi
Taraqi Ya Fikri Medan Main Kamyabi Hasil Nahi Ki Aur Vo Musalsal Hum Per Hokomat
Kartay Chalay Gay Ya Kaisay Ho Gia ? Kiya Ya Ake Insani Zehan Qabol Karta Hai ?
Hargiz Nahi
Buss Thori Si Fikar K Bad Hi Hum Is Natijay Per Aa Jatay Hain K Jang Fikri Thi
Hum Ko Hun Honay Apna Kam K Lia Istemal Kia Humain Elahi Elm Say Dur Rakhan Aur
Faqat Zamini Elm Is Lia Dia Gia K Hum Un Ka Allah E Kar Ban Kar Un Ki Khedmat
Kartay Rahen Aur Aje Jab Dunya Mashi Bohran K Shikar Hai Un K Un K Vehshiyana
Andaz Say Mall Lotnay K Natihay Say To Humari Gharanay Berozgari Ka Shikar Ho
Gay Humara Parha Lekha Howa Bhi Bhokh Aur Faqay Ki Tarafh Lotta Ja Raha Hai
Karoron Afrad Dunya Bhar Main Berozgari Ki Zindagi Guzar Rahay Hain Aur Ya
Berozgari Kala Gora Parha Lekha Kesi Chez Ki Tameez K Baghar Insani Mashray Main
Insanoo Ko Neglay Ja Rahi Hai Aur Hum Abhi Bhi Apnay Bacho Ko Is Ummed Bhi Un Ki
Taleem De Rahay Hain K Shayad Halat Sahi Hon Gay To Un Ko Nokrian Faraham Ki
Jaen Gi Un K Ghar Pher Say Roshan Ho Jaen Gay Aur Bhook Aur Pareshan Un K Gharon
Say Nikal Bahar Kar Di Jay Gi ..
Mager Humary Samnay Ake Sawal Aur Bhi Ata Hi K Ager Itna Hi Insan Preshan Hai To
Vo Yaqinan Apnay Perwar Digar Say Itna Hi Shikhwah Bhi Karta Ho Ga Pher Ya
Kaisay Ho Sakhta Hai K Maan Say Bhi Ziadah Reham Dil Aur Shafqaat Karnay Wala
Kaisay Hum Ko Is Saqt Pareshani K Alum Main Chor Sakhta Hai ? Nahi Ya Nahi Ho
Sakhta Buss Humain Ya Ahsas Hota Hai K Hum Aje Jis Jagha Per Aa Pohonch Gay Hain
Ya Faqat Nafarmani E Khuda K Sewah Aur Kuch Nahi Hai. Abe Hum Per Lazim Hota Hai
K Hum Lot Chalen Us Den E Kamil K Andar K Jiss K Passs Dunya Ki Aur Aqrat Ki Har
Pareshani Ka Hal Hai. Allah Subhan-O-Tallah Nay Hum Ko Is Kamil Den Dia Hi Is
Lia Hai K Hum Us Per Chal K Is Jadid Dunya Ka Muqablah Kar Sakhen Aur
Fatha-E-Makka Ki Tarhan Apnay Kirdar Say Dunya Ko Fata Karlen Aur Ake Asa
Lashkar Tashkil Den Jo Imam-E-Zaman A.S Hazrat Imam Mehndi A.S Ka Nasir Aur
Madadgar Sabit Ho .
Khuda Hum Ko Muhammad S.A.W. Wa Al-E-Muhammas A.S K Tufail Den Ki Basirat Aur
Marfat Enayat Farmay, Ankhon Main Noor E Haq Jagmaga Uthay , Dil Haq Shanasi
Sekh Lay, Aur Amal Neki Ki Taraf Rawan Dawan Ho Jaen .
W Salam