Hamara Pakistan Kesa Hona Chahiye

(Sumaira Majeed, Khanewal)

Pakistan Hadood Se Nhi Qoum Se Hai Hamara Pakistan Sirf Mera Nhi Hamara Hai Iskay Liye Sirf Kisi Aik Ko Nhi Sbko Sochna Chahiye K Ye Kesa Ho Hum Isme Khushaali Kesay Dekh Sktay Hain .

Pakistan K Maslay Ko Gandhi Aur Uskay Supporters Aur Quaid E Azam Aur Unkay Supporters K Darmayan Aik Masla Kha Jata Tha Azaadi Ka Masla Khushaali Ka Masla Junoon Ki Hud Tk Azaadi Ki Jiddo Jehad Crips Mission K Nakam Honay K Baad Aur Bht Se Hel Jb Hel Na Ban Skay Toh Bartanwi Wazeer Ne Gandhi Se Kha K Hum Aisa Kta Phta Pakistan Bnayengay Jo Apnay Pairon Pr Khra Na Hoskayga Aur Aise Kamzor Pakistan Ko Phirse Hindustan Main Shamil Hona Prega Pakistan Jb Bna Toh 500 Million Jo Pakistan Ka Hissa Bntay Thay Humein 250 Million Diya Gia Masla Aqwamay Mutahidda Main Gia Toh Gandhi Ko Izzat K Lalay Paray Aur Usnay Baqi Paisa Toh Diya Lekin Aj Tk 50 Million Hindustan K Zimma Hai Jo Pakistan Ko Na Mila Fauj Ki Takseem Main Bhi Fraud Hua Pakistan Abhi Smbhla Na Tha Wsail Ki Kami Thi Hakoomat Qoum K Sath Khri Hui Aur Qoum Hakoomat K Sath Qoum Bhi Jhanday Talaay Aik Hui Toh Bna Hamara Pyara Pakistan

Lekin Aj Phir Woh Pakistan Kat Rha Hai Qoum Main Bhi Hasad Dushmani Aur Firkay Ki,Hakoomat Ki Lraye Hai Fsaad Hain Aur Sb Aik Doosray Se Juda Ho Rhay Hain Apnay Pakistan Ko Kamzor Kr Rhay Hain Jiski Wahid Wja Main Aur Ap He Hain
Mil Kr Rhaingay Toh Hongay Hum Mazboot
Kashmir Ki Qoum Pakistan Ki Traf Lahu Ankhen Liye Dekhti Hai Aur Yhan Apsi Laraye He Khtam Nhi Ho Rhi Humein Kiun Aisa Lgta Hai K Hum Azaad Hain
Parhnay Main Humein English Pasand Hai Bolnay Main Humein English Pasand Hai Pehntay Hain Toh Western Libas Zabaan K Abhi Bhi Hum Qaidi Hain Azaad Nhi Kiun K Soch Azaad Nhi .

Mazrat K Sath Lekin Hum Aik Nhi Hain Hum Qoum Nhi Hain Hum Azaad Nhi Hain Hum Khushaal Nhi Hain
Zroorat Hai Abhi K Hum Apnay Culture Apni Zbaan Ko Baqi Mulkon Main Bhi Ahmiat Dilayen Apnay Passport Ko Izzat Dilwayen Apnay Naam K Liye Mehnat Kren .
Har Shay Se Nwaza Hai Khuda Ne Humein Hamaray Pas Bijli K Wasail Mojood Hain Gas K Wsail Hmaray Mulk Main Mojood Hain Mehnati Aur Qabil Log Mojood Hain
Lekin Khaloos Khin Kho Gia Hai Watan K Liye Josh Ki Kami Hai Kuch Kr Dikhanay Ki Kami Hai
ABHI AZAADI KI KAMI HAI
Abhi Khushaali Ki Kami Hai
Agar Hakoomat Na Achi Mili Toh Kia Hum Sari Zindagi Hmesha Achi Hakoomat Ka Intizar Krengay Abhi Waqt Hai Main Aur Ap Hain Abhi Chlain Kuch Krtay Hain Meray Ya Apkay Nhi Hamaray Pakistan K Liye.
Shukriya



 

Sumaira Majeed
About the Author: Sumaira Majeed Read More Articles by Sumaira Majeed: 7 Articles with 12450 views youngest pakistani poetry,article,story,digest,script writer
.. View More