Hum Kyun Nahi Sochtey

(Zunaira, Sialkot)

Pakistan Hamara Piyara Mulak Hai.  Es K Liey Hum Jaan B Dey Saktey Hain. Ham Apne Mulak Per Aanch Na Aaney Dey Gey.  Maar Dey Gey Ya Maar Jaey Gey.  Ye Batein Bahut Aam Se Aur Jazbati Ho K Reh Gai Hai Sirf Kehny Ki Haad Tak. Hamari Pakistani Army In Bato K Liey Hai Bordero Per.  Wo Loog Hafazat Kar Rahy Hain Es Mulak Ki. Per Gher Mein Jo Aaram Sey Ye Batein Kar K So Jatey Hain. Unhoun Ney Kabhi Socha Wo Kiya Dey Rahy Hain Es Mulak K Liey? Kiya Kar Rahey Hain Es Ko Bachaney K Liey? Aaj Jahan Sare Mulak Mein Meenhgai Ka Door Doora Hai.  Bijli Ka Foqdan Hai.  Aatey Ki Qilat Hai.  Aam Insan Es Sey Agey Soch Hi Nahi Sakta.  Wo Bijli K Bill K Liey Fiker Mand Hai( Bijli Ka Bill Jo Bijlli Na Bejny Per Liya Jata Hai) Wo Bacho Ki Kafalat K Liey Pareshan Hai.  Menhgai K Hatho Loog Bacho Ko School Ki Bajey Kaam Karwa Rahey Hain K Kamai Kare Ga Tu Gher Ka Chola Jaley Ga.  Aap Ney Kabhi Socha Ye Sub Kiya Ho Raha Hai? Aaj Zaorat Hai Awam Ko Khud Kuch Karny Ki.  Himat Sey Aur Jagtey Zenho Sey Kaam Leny Ki.  Jis Mulak Mein Etni Pareshaniya Gov Ki Taraf Sey Di Jaa Rahi Hoon . 

Wahan Zarorat Parti Hai Awam K Shour Ko Bedar Karny Ki. Un Ko Es Mahool Mein Himat Delany Ki.  Aaj Hum Sub Ko Ek Dosrey Ki Zarorat Hai. Mere Hum Watno Main Aap Logo Sey Etna Hi Kehna Chahti Hoon K Ek Taleem Hi Hai Jis Sey Hum Dosro Ka Mukabla Kart Saktey .  Apny Bacho Ko Zaror Taleem Dilwaey Ye Un Ka Haaq Hai. Taa K Wo Aany Waly Waqt Mein Es Mulak Ko Sanmbal Sakey. Khud Sochney Samajny Ki Salahiyat Sey Ye Jaan Sakey K Wo Kon Loog Hai Jo Humein Roti; Kapra.  Aur Makan Sey Agey Nahi Jany Dey Rahy?. Kon Loog Hain Jo Hamare Mulak Ko Mitany Ki Sazisho Mein Laagey Hain. ? Wo Kon Loog Hai Jo Hamare Bacho K Zehno Ko Maflooj Karny Mein Lagey Hain? Wo Kon Loog Hain Jo Humein Jeeny Nahi Dey Rahy? Apney Hain Ya Begany? Hum Kyun Nahi Sochtey

Zunaira
About the Author: Zunaira Read More Articles by Zunaira: 3 Articles with 4612 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.