Main Ek Larki Hoon Aur Meri 
Tarha Aur Bahut Se Larkiya Sochti Hoon Gi K Wo Kyun Paidha Hoi. Un K Jeena Ka 
Maqsad Kia Hai? Wo Ager Ek Beti Hai Tu Baap Ki Ezat Hai. Behan Hai Tu Bhayo Ka 
Maan Hai. Bewi Hai Tu Shoher Ki Ezat Hai. Ek Maa Hai Tu Bachoo K Liey Jannat Hai. 
Ek Aurat K Kitny Roop Hain. Beti, Behan, Bewi, Maan. Her Rishta Khubsurat 
Muhabbat Se Bhara Howa. Jo Larkiya In Rishto Ka Paas Rakhna Jaanti Hai Sharam O 
Haya Ka Paikar Hain. Wo Larkiya Phool Hain. Achi Larkiya Paidha Hi In Rishto Ka 
Maan Barhany K Liey Hoti Hain Apni Soch Sey Apni Sharam O Haya Sey. Ye Hi Hum 
Larkyun Ki Zindgi Ka Maqsad Hai. Aur Jab Hum Larkiya In Rishto Ki Ezat Ko Saath 
Ley Kar Gharo Sey Nikalti Hain Majbori Mein Ya Zarorat Mein. School K Liey Ya 
Colloge K Liey. Job K Liey Ya Kisi B Kaam K Liey. Un Ko Her Tarikey Sey Harasan 
Kiya Jata Hai. Gandey Jumlo Sey. Ghalat Harkato Sey. Buri Nazro Sey.Kyun? Jab Ek 
Larki Etny Saray Rishto Ka Paas Rakhti Hain Tu Mard Es Ek Rishtey Ko Ezat Kyun 
Nahi Dety Jis Ka Naam Larki Hai Aurat Hai. Kiya Aaj K Mardo Mein Mardo Wali Koi 
Baat Nahi Rahi.Wo Gher Sey Majbori Sey Ya Zaroorat Mein Nikili Hoi Her Larki Ko 
Bazaro Samajtey Hain.Akhir Kyun? Hum Larkiya Hawa Ki Betiyan In Ki Ezato Ki 
Hafazat Kon Kaary Ga? Kon? In Ko Wo Maan Wo Ezat Kon Dey Ga Jis Ki Wo Haaq Daar 
Hain. Chand Khotey Siko Ki Waja Sey Hum Hawa Ki Betiyo Ko Badnam Na Kiya Jaey.