Quran Main Aik Maqaam Par
Ehl-E-Eemaan Ki Dua Btayee Gayee Hay.Is Dua Main Ehl-E-Eemaan Nay Allah Talah
Sey Us Ki Rehmat Aur Nijaat Ki Darkhwast Ki Hay, Is Ka Jawaab Allah Talah Nay Is
Tarah Diya Hay:
Un Kay Rub Nay Un Ki Dua Qabool Farmaayee Kay Main Tum Main Sey Kisi Ka Amal
Zaya Karnay Wala Nahee, Khawh Woh Mard Ho Ya Aurat Tum Sab Aik Doosrey Sey
Ho.(Aaal-E-Imraan-195)
(Quran Ki Is Ayet Sey Is Baat Ka Pata Chalta Hay Kay Islam Main Aurat Aur Mard
Dono Barabar Ka Darja Rakhtey Hain, Tum Sab Aik Doosrey Sey Ho(You Are Members,
One Of Another) Kay Ilfaaqz Sey Zaahir Hota Hay Kay Aurat Aur Mard Dono Ka
Maamla Yaqsaan Hay, Is Liye Ayet Main Agay Dono Ki Baabat Yeh Kaha Gaya Hay Kay
Tum Main Sey Jin Logon Nay Hijrat Ki, Jin Ko Watan Sey Nikala Gaya, Aur Jin Ko
Allah Kay Raastey Main Staya Gaya Aur Jinhon Nay Mukhalif Taaqaton Ka Muqabla
Kia Toh Aisey Log Khuda Ki Maafi Aur Jannat Main Dakhilay Kay Mustahiq Qarar
Paayein Gay Khawh Woh Mard Hon Ya Aurat.)