Saeed Anwar Pakistan Cricket Ke
Bohat Azeem Khilari Hain. Un Jaisa Opener Pakistan Ko Ab Tak Nain Mila
Hai. Pakistan Ki Beshtar Fatoohat Mein Unki Numayan Karkardigi Rahi Hai. Apne
Aakhri Match Mien Woh 50 Par Not Out The Lekin Jab Unko World Cup Ki Shikast Ke
Baad Team Se Nikala Gaya Tou Unhon Ne Sirf Pepsi Cup Mein Apna Naam Shamil Hone
Tak Ka Intezar Kia Lekin Jab Unhen Muntakhib Nahin Kia Gaya Tou Unhon Ne Izzat
Dar Tareeqe Se Retirement Leli Aur Us Ke Baad Aaj Tak Unhon Ne Kaheen Bhi
Pakistan Aur Cricket Board Ki Burai Nahin Ki Balke Yeh Kaha Ke ALLAH Ne Jitna
Rizq Cricket Mein Likha Tou Woh Unhen Milgaya Aur Pakistan Ne Unhen Paise Ke
Saath Saath Izzat, Shohrat Aur Mohabbat Bhi Mili. Yani Burdbari Se Unhon Ne Yeh
Tasleem Kia Ke Ab Un Ka Waqt Khatam Ho Chuka Aur Koi Garhe Murde Nahin
Ukhere. Rozi Ka Wada Tou ALLAH Ne Kia Hai Is Liay Ab Apni Computer Engeniaring Ki
Degree Ko Istemal Mein Late Huey Nokri Kar Rahe Hain Aur Apne Khandan Ke Saath
Ek Pursukoon Zindagi Guzar Rahe Hain. Agar Un Ke Kabhi Kisi Se Bhi Ikhtelafat
Rahe Honge Tou Unka Bhi Kuch Na Kuch Qusoor Hota Hoga Kyunke Har Insan Se
Ghaltian Ho Jati Hain Bas Zarf Bara Karke Har Baat Ko Bhula Dena Chahiay Aur
Purani Baaton Ko Yad Krne Ke Bajaey Aage Barh Jana Chahiay. Sab Purane Retired
Cricketers Ko Saeed Anwar Se Seekhna Chahiay. Har Jagah Sab Kuch Bura Aur Mayoos
Kun Nahin Hota Aur Agar Thande Dil-O-Dimagh Se Socha Jaey Tou Koi Itni Bari
Ziadtian Bhi Nahin Hui Hoteen Sab Ko Unka Haq Mil Chuka Hota Hai Aur Jana Tou
Sab Ko Hi Hota Hai Aur Har Ek Ka Koi Na Koi Mutabadil Zaroor Hota Hai Bas Jane
Wale Ko Is Cheez Ko Hansi Khushi Qubool Karna Chahiay Tab Hi Zindgi Mutmain
Guzarti Hai.