Assalam Alaikoom Me Karachi Ka
Rehayshi Hun Kai Baar Meri Baat Kuch Aise Larkon Or Larkion Say Hui Ju Apni
Education Ko Jari Tu Rakhna Chahatay Hain Magar Kehaty Hain Yaar Job Kar Rahay
Hain Agar Hum Pvt. Parhana Chahatay Hain Magar Aaj Tak Kisi Nay (Board Office
Valoon) Nay Sahi Guide Nahi Kiya Govt.Job Hain Na 2 Man Ka Thubra(Munh) Hilatay
Hain Magar 2 Inch Ki Zuban Say Nahi Bata Saktay..
Aik Tu Mousam Kharab, Halat Ka Pata Nahi Kab Kiya Hujaye, Karaye Itne Ziyadah,Ye
Log 10 Bajay Say Pehlay Tu Aatay Nahi Hain Aour Is Per Ye K 12 Bajay Say Pehlay
Hi Short Kut Mar Laytay Hain Aksar Ghumatay Rehtay Hain Kamra No.Falan Main
Kamra No. Falan Main Uper Say Neechay Neechay Se Uper Yehi Huta Rehta Hay 150
Lakh Ki Abadi Ka Ye Sheher Karachi Aur Sirf 1 Hi Board Office Jo Becharay
Gulshan Hadeed Main Rehta Hu Tu Vo Bhi Jo Gaddap Town Main Hu Vo Bhi Aur Jo
Haocks Bay Pe Hu Vo Bhi Nazimabad Ata Hay Is Liye 65% Log Jo Parhna Chahatay
Hain Un Ka Dil Uth Ta Jaraha Hay K Nahi Yaar Koi Bata Hi Nahi K Kiya Karna
Hugaye Lao Vo Lao ..Sirf Is Vaja Say K Govt.Job Hay Kon Nikalay Ga Unhain(Board
Office Valoon Ko) Tu Main Yahan Taw'wjah Is Bat Pe Dilana Chata Huon K Pooray
Karachi Main Takreeban 18 Towns Hain Agar Har Town Main Ik Ik Sub Board Office
Kayam Kiya Jaye Aur Tamam Tar Information, Forms, Registration,Submitaion,System
Provide Ki Jaye Tu In 65% Main Say 50% Log Tu Taleem Ki Taraf Raghib Hungay.Agar
Nahi Tu Poora Education System Privitaize Kar Diya Jaye Sab Rahe Rast Pe Ajayen
Gaymain Aour Mujh Jese Kai Student Jo Parhna Chatay Hain Un Ki Govt.Of
Pakistan,Govt.Of Sindh,Aor City Govt. Say Pur Zoor Apeel Kar Tay Hain K Ye Masla
Hal Kiya Jaye Aur Hum Per Reham Kiya Jaye..Hum Koam Ka Mustakbil Hain .