Nasihat Aamoz Kalimat

(S. Asif, India)

01. Zarurat Ke Mowafiq Ilm Hasil Kare Kha Kitabon Ko Parh Kar Ya Alimon Se Puch Kar.
02. Sab Gunahon Se Bache.
03. Agar Koi Gunah Ho Jaye To Fauran Tauba Kare.
04. Kisi Ka Haq Na Rakhe, Aor Kisi Ko Zuban Ya Hath Se Takleef Na Pahunchaye.
05. Mal Ki Mohabbat Naam Ki Khwahish Na Rakhe, Aor Na Bahut Acche Khane Karde Ki Fikr Mein Rahe.
06. Agar Apni Khata Per Koi Toke To Apni Baat Na Banaye Fauran Iqrar Aor Tauba Kare.
07. Na Bahut Hase Na Bahut Bole Khas Kar Na Mahram Se Be Takallufi Ki Batein Na Kare.
08. Kisi Se Jhagra Takrar Na Kare.
09. Shara Ka Har Waqt Khayal Rakhe.
10 Ebadat Mein Susti Na Kare.
11. Zyada Waqt Tanhayi Mein Rahe.
12. Agar Aoron Se Milna Julna Pare To Sab Se Aajiz Hokar Rahe, Sab Ki Khidmat Kar Barai Na Jatlai.
13. Amiron Se To Bahut Door Rahe.
14. Bad Deen Admi Se Door Bhage.
15. Dusron Ke Aib Na Dhunde, Kisi Per Bad Gumani Na Kare, Apne Aibon Ko Dekha Kare Aor Unki Durustagi Kia Kare.
16. Namaz Ko Acchi Tarah Acche Dil Se Pabandi Ke Sath Ada Karne Ka Bahut Khayal Rakhe.
17. Dil Ya Zuban Se Har Waqt ALLAH TALA Ki Yaad Mein Rahe, Kisi Waqt Ghafil Na Rahe.
18. Agar ALLAH Ka Naam Mubarak Lene Mein Se Mazah Aaye Dil Khush Hoto ALLAH TALA Ka Shukr Ada Kare.
19. Baat Narmi Se Kare.
20. Sab Kamon Ke Liye Waqt Muqarrar Kare Aor Pabandi Se Usko Banaye.
21. Jo Kuch Runj-O-Ghum Pesh Aye ALLAH TALA Ki Taraf Se Jane Pareshan Na Ho, Aor Yun Samjhe Ke Isme Mujh Ko Sawab Milega.
22. Har Waqt Dil Mein Dunya Ka Hisab-O-Kitab Aor Dunya Ke Kamo Ke Kamo Ka Zikr Mazkurah Na Rakhe.
23. Jahan Tak Ho Sake
24. Khane Pine Mein Na Itni Kami Kare Ke Kamzor Ya Bimar Ho Jaye, Aor Na Itni Zyadti Kare Ke Ebadat Mein Susti Hone Lage.
25. ALLAH TALA Ke Siwa Kisi Se Tama Na Kare Na Kisi Taraf Khayal Daudaye Ke Fala Jagah Se Humko Faida Ho Jaye.
26.KHUDA TALA Ki Talash Mein Bechain Rahe.
27. Nemat Thori Si Ho Ya Bahut Us Par Shukr
28. Jo Uski Huqumay Mein Hai Unki Khata Wa Qusoor Se Dar Guzar Kare.
29. Kisi Ka Aib Maloom Ho Jaye To Us Sakhs Se Kah Do.
30. Mehmano,Musafiron,Gharibon,Alimon Aor Durweshon Ki Khidmat Karo.
31. Nek Sohbat Ekhteyar Kare
32. Maut Ko Yaad Rakhe.
33. Har Waqt KHUADA TALA Se Dara Karo.
34. Kisi Waqt Baith Kar Roz Apne Din Bhar Ke Kamon Ko Socha Kare Jo Neki Yaad Aye Us Par Shukr Ada Kare Gunah Par Tauba Kare.
35. Jhoot Hargiz Na Bole.
36. Jo Mahfil Khelaf-E-Shara Ho Wahan Hargiz Na Jaye.
37. Sharm Wa Haya Aor Burdbari Se Rahe.
38. Un Baton Per Naghroor Naho Ke Mere Andar Aisi Khubiayan Hain.
39. ALLAH TALA Se Dua Kiya Kare Ke Nek Rah Per Qaem Rakhe.

S. Asif
About the Author: S. Asif Read More Articles by S. Asif: 3 Articles with 10552 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.