Bismillah Hir Rahmanir Raheem
Allama Damiri Rahmatullah Alaih Ulma-E-Sooa Ke Bare Mein Ahya Se Aik Rawayat
Naqal Karte Hain Ke Aik Shaks Hazrat Musa Alaih Salam Ki Khidmat Kia Karta Tha,
Aor Har Waqt Apki Khidmat Mein Maujood Rahta. Kuch Din Baad Logon Ke Samne Yeh
Kahna Shuru Ker Diya Ke Mujhse Musa Safi ALLAH Ne Yeh Bayan Kiya, Mujhse Musa
Naji AALLAH Ne Yeh Bayan Kiya, Mujhse Musa Kaleem ALLAH Ne Yeh Bayan Kiya, Aor
Uska Logon Ke Samne Tarah Tarah Se Hazrat Musa Alaih Salam Ke Hawale Se Bayan
Kerne Ka Maqsad Logon Ki Tawajjah Apni Taraf Mabzul Karana Tha, Take Log Uski
Taraf Mutawajah Ho Jaye Aor Usko Tahaef Wa Nazrane Dene Lagen, Jisse Ke Woh
Maldar Ho Jaye. Chunanche Is Tariqe Se Usne Kafi Maal Jama Ker Liya Aor Khoob
Daulatmand Ho Gaya. Magar Phir Achanak Woh Gayab Ho Gaya Aor Hazrat Musa Alaih
Salam Ki Khidmat Mein Bhi Na Aya, To Hazrat Musa Alaih Salam Ne Uske Bare Mein
Bahut Tafteesh Ki Magar Uska Kuch Pata Na Chala. Kuch Din Ke Baad Aik Shaks Apke
Pass Aya Jiske Hath Mein Aik Syah Rassi Mein Bandha Hua Khinzeer Tha. Us Shaks
Ne Hazrat Musa Alaih Salam Se Akar Arz Kiya Ke Kia Ap Falan Shaks Ko Jante Hain?
Apne Jawab Mein Farmaya Han Janta Hun Magar Kafi Dinon Se Woh Mujhko Nahi Mila
Halan Ke Maine Uski Bahut Tafteesh Karai.
Yeh Jawab Sunkar Us Shaks Ne Kaha Ke Yeh Mere Hath Mein Jo Kali Rassi Se Bandha
Hua Khinzeer Hai Yeh Wahi Shaks Hai Jiski Apko Talash Hai. Yeh Sunkar Apne ALLAH
Tala Se Dua Ki Aye ALLAH Isko Iski Pahli Halat Pat Lauta De Take Main Isse
Daryaft Karun Ke Yeh Admi Kis Wajah Se Khinzeer Ban Gaya. ALLAH Tala Ne Ba
Zaryah Wahi Hazrat Musa Alaih Salam Ko Ittela Di Ke Yeh Dua To Main Apki Qubool
Nahi Karunga. Albatta Itna Apko Batla Deta Hun Ke Hum Ne Isko Is Wajah Se
Khinzeer Ki Surat Mein Masakh Ker Dia Kion Ke Yeh Deen Ke Zarye Se Dunya Ka
Talib Tha.
Issi Tarah Aik Riwayat Imam Abu Talib Makki Ne Quwatul Quloob Mein Aor Mustarark
Mein Hazrat Abu Amamah Razi Allah Anh Se Rawayat Ki Hai Ke:- "Hazrat Nabi Kareem
Sallallah Alaih Wasallam Ne Farmaya Ke Is Ummat Mein Aik Giroh Aisa Hoga Jo Taam
Wa Sharab Aor Lahu Mein Raat Guzarega Lekin Jab Woh Subha Ko Uthega To Uski
Suraton Ko Khinzeer Ki Suraton Mein Maskh Kiya Ja Chuka Hoga. Aor ALLAH Tala
Unme Se Kuch Qabael Ko Aor Kuch Gharon Ko Zameen Mein Dhasa Denge. Yahan Tak Ke
Log Subha Ko Kahenge Raat Falan Ghar Dhas Gaya Aor ALLAH Tala Unpar Patthar
Barsayenge Jaise Qaume Loot Alaih Salam Par Barsaye Gaye The Aor Unpar Aik Tand
Hawa Bhejenge, Unke Sharab Pine, Sood Khane Aor Gane Wali Aorton Ko Rakhne Aor
Qata Rahmi Ki Wajah Se" (Rawi Ka Qaul Hai Ke Yeh Hadees Sahi Asnad Hai)
ALLAH Tala Hum Sabko Deen Ko Sahi Mane Mein Samjhne Aor Uspar Pura Amal Karne Ki
Taufeeq Ata Farmaye Ameen Suma Ameen.
Fi Aman ALLAH