Umat e Muhammad
(Muhammad Nauman Gul, Rawalpindi)
Hum jo apne ap ko hazor ka
umati kehte hain,kya hum ne wake he is ka sabot diya hai kabi.
Hum to apne nabi k sath jo wafa ka kabil hai bywafai kar rhe hain. Akhir q? Sirf
is char din ke dunia k liye. Humara nabi sari sari rat ro ro kar tarap tarap
fariyad karta tha dua karta ALLAH se kis k liye kya apne liye? Nai,blkay hum
zalimon k liye. Qayamat k din har aik ko apne pari hoge. Har koe kahay ga ya
ALLAH mujy bacha lay sub nabi kahain gay yahan tak k Hazrat Eesa b kahain gay ya
ALLAH meri maa Marium ko chor mujy bacha lay. Bus sirf aik hasti ho ge pori
kainat main jo kahe ge YA ALLAH UMATI UMATI ay ALLAH meri umat meri umat or wo
hazrat MUHAMMAD S.A.W hain. Or tum uni k sath bywafai karte ho jo na dunia main
bhola na akharat main. Aik dafa aik sahabi ne kaha ya rasool ALLAH mubarak ho us
shaks ko jis ne ap ko deka or ap per eman laya ap nay kaha 7 murtaba us shaks ko
mubarak jis ne mujy na deka or muj per eman laya. Ary kabi socha k akharat k
liye kya jama kiya. Doctor to bun gaye per kya muslman bnay. Zara socho or abi b
wakt hai toba kar lo.