Muhataram Mujhy Es Baat Ka Ilm
Tha K Aap Yeh Artical Zaroor Parhayngey, Kia Hay K Apney Pakistani Logo Ki Aadat
Hay Na K Jis Kaam Sey Mana Kia Jay Tou Wohi Kaam Kartay Hain, Agar Kahin Likha
Ho K Yahan Kachra Na Phainkain Tou Sab Sey Ziada Kachra Wahin Nazar Ata Hay,
Agar Kaha Jaey K Yahan Car Park Na Karain Tou Akshar Traific Poilc Walay No
Parking Key Cars Lifiting Kartay Nazar Aatey Hain, Aisa Lagta Hay K Ham Ijtamai
Toor Par Un-Educated Peopal Hain. Asl Main Haqeeqat Tou Yeh Hay K Ham Sab
Educated Tou Hain Par Practical Nahi Hain, Jab Ham School Main They Tou School
Assumbly Main Line Bana Kar Kharay Hotay Thay 10 Sala School Life K Baad Hamin
Deceplain Ka Aadi Ho Jana Chahey Tha Laikin Aisa Hoa Nahi, Akhir Kiu? Jab Bacha
School Say Bahir Nikalta Hay Aur Apnay Baron Ko Life Main Un Deceplain Daikhta
Hay Tou Wo Confusion Ka Shikar Ho Jata Hay Aur Phir Wo Wohi Ikhriar Karta Hay Jo
Us Nay Apnay Baron Ko Kartay Daikhta Hay, Ham Kiu Choti Choti Ghalatiu Say
Bachna Nai Chahtay? Kiu Baar Baar Wo Hi Ghalati Kartay Hain Jo Ghalati Ham
Pehlay Kar Chukay Hotay Hain. Hamin Apni Social Responsibilities Ko Pehcahnna
Hoga. Agar Ham Chahtay Ho K Hamri Nai Nasal Wo Ghalati Na Karay Jo Ham Nay Ki
Hay Tou Hamin Apnay Us Conservative Sooch Say Bahir Nikalna Hoga, Right Now!