Bismillahirrahmanirraheem
Shirk Aur Bidat Main Farq?
Shirk Aur Bidat Main Kya Farq Hai Yeh Samajhne Ke Liye Quran Aur Ahdees Ki
Roshni Main Yeh Dekhna Hoga Ke Shirk Aur Bidat Kehte Kise Hain?......
Shirk Kya Hai?
Shirk Ki 2 Qisme Hain
(1) Shirk Akbar
(2) Shirk Asghar
Shirk Akbar ... Allah SWT Apni Zaat Ibadaat Aur Sifaat Main Akela aur Be- Misal
Hai Kisi Jandar ya Be-jaan, Zinda Ya Fout Shuda Makhlooq Ko Uski Zaat Main Ya
Ibadat Main Ya Uski Sifaat Main Shareek Karna Ya Uske Barabar Samajhna Shirk-e-
Akbar Kehlata Hai.......
Shirk Asghar:- Riyakari Ghair Allah Ki Qasam Khana Yeh Sab Shirk-e- Asghar
Kehlata Hai .......
Rasool SAWW Ne Farmaya:-" Tumhare Baare Main Mujhe Jin Cheezon Ka Khof Hai Unme
Sabse Zyada Darne Wali Cheez Shirk-e- Asghar Hai, Sahaba Kiram Ne Arz kiya Ya
Rasool SAWW Shirk Asghar Kya Hai ? Aap SAWW Ne Irshad Farmaya Riya.
(Masnad Ahmed Baab Al-riya )
Bidat Kya Hai ?
Bidat Kehte Hain Kisi Naye Kaam Ki Ijaad Ko Jo Pehle Na Kiya Gaya Ho...
Deen Ke Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Ahdees Main Nahin
Milta.
Farman-e-Rasool SAWW hai:-" Jisne Hamare Deen Main Koee Nayee Cheez Ijad Ki
Jiska Deen Se Koee Talluq Nahin Hai To Woh Mardood Hai.
( sahee Bukhari 2697)
" Deen Ke Andar Nayee Nayee Chezein Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila Shubha Har
Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahee Hai"
( Abu-Da'ud 7064)
Bidat Ki Bhi Bahot Si Qisme Hain
Yahan Tafseel Main Gaye To Kaafi Lambi Baat HO jaygi
Bidat Log Ibadaat Main Bhi Karte Hain Air Aqeede Main Bhi
Kuch Bidate Aisi Hoti Hain Jo Aage Jakar Shirk Ka Zariya Banti Hain
Jaise Qabron Ka Tawaf Karna Nazron Niyaz Dena
Qabr Walon Se Faryaad Karna Aur Bhi Isme Bahot Si Batein Shamil Hain
Aaj Hum Sab Yeh To Jante Hain Ke Shirk Bahot Barha Gunah Hai Per Bahot Se Log
Yeh Nahin Samajhte Ke Shirk Kis Kis Tarhan Se Ho Sakta Hai..
Afsos Tab Aur Zyada Hota Hai Jab Koee Insan Quran Ahdees Ki Roshni Main Kisi Ko
Bataye Ke Aise Kaam Na Karo Yeh Shirk Hai To Log Naraz Ho Jate Hain Aur Apne Us
Amal Ko Shirk Mante Nahin...
Hamne Yeh Samajh Liya Hai Ke Bus Kalma Parh Liya Hai Ab Hum Shirk Kar Hi Nahin
Sakte ..
Hamari Soch Yeh Ban Gayee Hai Ke Ek Kalma Parhne Wala Insan Kabhi Shirk Kar HI
Nahin Sakta Hai .
Jabke Aaj Jahan Nazar Dalein Hamein Wahan Shirk Nazar Ajayga Log Aaj Kya Kya
Nahin Kar Rahe Itna Sab To Makkah Ke Mushrekeen Bhi Nahin Karte The..
MushreKeen-e- Makkah Bhi Allah SWT Ko Mante The Allah Hi Ko Apna Rub Tasleem
Karte The Quran Main Allah SWT Ne Iska Zikr Kiya Hai Ke Jab Mushkil Aati To WOh
Khalis Allah Hi Ko Pukarte The
Per Unka Sabse Barha Gunah Yehi Tha Ke Woh Mushkil Door Hone Ke Baad APne Banaye
Hue Maboodon Ki Ibadat Karte Aur Jo Butt Un Logon Ne Banaye The Woh Naik Logon
Ke Naam Se The ...
Mushrekeen E Makkah Apne Buzurgo Ko Allah Ke Yahan Apna Sifarshi Banate The...
Aaj Hum Dekh Lein Jab Hum Kisi Se Kehte Hain Ke Aap Allah Ke Sath In Buzurgo Ko
Q Sharek Bana Rahein Hain To Jawab Milega Hum Inki Ibadat Thori Karte Hain Humto
Bus In Naik Logon Ka Waseela Lagate Hain. .
Bilkul Yehi Jurm To Mushrekeen- e-Makkah karte The..
Aage Hum Khud Sochlein Ke Aisa Kaam karne Wale Ko Kya Kaha Jayga...
Allah SWT Ne Mushrekeen-e-Makkah Ka Aqeeda Quran Main Bayan Kiya ...
" Aap Keh Dijiye Ke Woh Kon Hai Jo Tumko Aasman Aur Zameen Main Se Rizk Pohchata
Hai Ya Woh Kon Hai Jo Kaano AUr Aankho Per Poora Ikhteyaar Rakhta Hai Aur Woh
Kon Hai Jo Zinda Ko Murda Se Nikalta Hai Aur Murda Ko Zinda Se Nikalta Hai Aur
WOh Kon Hai Jo Tamam Kaamo Ki Tadbeer Karta Hai ? Zaroor Yehi Kahenge Ke Allah
To Unse Kehein Ke Phir Kyon Nahin Darte ? "
( Surah Younus-31)
Bidat..... Aaj Hum Dekhte Hain Ke Log Bidato Main Parhe Hue Hain Chahe Woh
Ibadaat Hon Ya Aqeeda Ya Deen Ka Koee Bhi Mamla Har Jagah Logon Ne Bidate Dakhil
Kardi Hain.
Aur Ek Sachayee Yeh Bhi Hai Ke Bidat Jahan Dakhil Hoti Hai Wahan Se
Sunnat-e-Rasool SAWW Rukhsat Ho Jati Hai.
Allah SWT Us Amal Ko Qabool Karega Jiska Hukum Rasool SAWW Ne Diya Aur Woh Kaam
Jo Rasool SAWW Ne Karne Ka Hukum Nahin Diya Woh Chahe Hamari Nazar Main Kitna
Bhi Khoobsoorat Q Na Ho Woh Allah SWT Ke Yahan Hargiz Qabil-e- Qabool Nahin Ho
Sakta.
Jab logon se Bola Jata Hai Ke Bhai Yeh Kaam Na Karo Yeh Bidat Hai To Woh Jawab
Dete Hain Ke Bidat To Phir Har Cheez Hai..
Jaise Rasool SAWW Ne Bus Main Ya Train Main Safar Nahin Kiya Aap Hum Karte Hain
To Yeh Bidat Hai Hamara Libas Bhi Bidat Hai Computer Use Karna Bhi Bidat Hai etc
.
Yeh Jahil Pan Ki Baat Hai Jabke Deen Main Bidat Kise Kaha Jayga Yeh Rasool SAWW
Bata Kar Gaye Hain .
Deen me Koee Naya Kaam Ijad Karna Bidat Hai Jiska Saboot Quran Ahdees Main Na
Mile.
Allah SWT Hum Sabko Shirk Aur Bidat Se Mehfooz Rakhe Aur Inki Haqiqat Ko
Samajhne Ki Toufeeq De Aur Jo Log Inme Hain Allah SWT Un Sabko Hidayat De.
Aameen