Bismillahirrahmanirraheem
Quraan-Majid Me Allah-Taala Ne Musalmano Ko Nijat Ke Liye “Qurb(Yani Wasila)”
Pakadne Ka Hukum Diya.
Tarjuma:- Aye Logon Jo Emaan Laye Ho! Allah Se Daro Aur Uski Taraf “Qurb(Yani
Wasila)” Talaash Karo Aur Uski Raah Me “Jihaad” Karo Umeed Hai Tum Kamyaab Ho
Jaoge.
(Maidah,35)
Is Aayat-E-Karima Me Allah-Taala Ne Nijaat Ke Liye “3” Baton Ka Hukum Diya Hai.
(1)Taqwa Ikhtiyaar Karna
(2)Qurb(Yani Wasila) Talaash Karna
(3)Allah Ki Raah Me Jihad Karna.
Taqwa Aur Jihaad Me Koi Ikhtilaaf Nahi Hain Balke “ Qurb(Wasila)” Ke Bare Me
Logon Ne Ikhtilaaf Kiya Hain, Kuch Log Kahte Hain Yahan “Qurb(Wasila)” Se Muraad
“Aambiya, Auliya, Sulhah, Shohada Aur Murde Buzrugan-E-Deen Ect. Ka “Qurb(Wasila)”
Hai, Main Aplog Ko Batana Chahunga Ke Quraan- Majid Ki Aayat-E-Mubarak Me Jis
“Qurb(Yani Wasila)” Ko Talaash Karne Ka Hokum Diya Gaya Hai, Isse Muraad
“Gair-Hazir Ya Inteqaal(Death) Kiye Hue “Ambiya, Auliya, Shohada Ect. To Hargiz
Nahi Hai.
Ab Hum “Quraan Aur Hadees” Ki Roshni Me Ye Batana Chhate Hain Ke “Qurb(Yani
Wasila)” Se Muraad(Matlab) Kiya Hai.
Irshad-E-Bari-Taala Hai:-
Tarjuma:- Aur Jo Log Emaan Laye Aur Neek Kaam Kare Wo Jannati Hain Jo Jannat Me
Hamesha Rahenge.
(Surah-Tul-Baqrah, Aayat-No---82)
Tarjuma:- Yaqinan Jo Log Emaan Laye Aur Unhone Kaam Bhi Neek Kiye Aur Apne Palne
Wale Ki Taraf Jhokte Rahe Wahi Jannat Me Jane Wale Hain, Jahan Wo Hamesha Hi
Rahne Wale Hain.
(Hood, Aayat-No---23 * )
Tarjuma:- Jo Log Emaan Laye Aur Unhone Kaam Bhi Achhe Kiye Yaqinan Inke Liye
Jannat-Al-Firdaus Ke Bagaat Ki Mahmaani Hai.
(Surah-Tul-Kahaf,107)
Tarjuma:- Pas Jo Log Emaan Laye Hain Aur Jinhon Ne Neek Aamal Kiye Hain Inhi Ke
Liye Bakhshish Hai Aur Izzat Wali Rozi.
(Surah-Tul-Hajj,50)
Tarjuma:- Beshak Jin Logon Ne Emaan Qabul Kiya Aur Kaam Bhi Neek (Yani Sunnat Ke
Mutabiq) Kiye Inke Liye Niyamat Wali Jannaten Hai
(Surah-Tul-Luqmaan, Aayat-No 08)
Quraan-Majid Ki Aisi Bahut Sari Aayat Hainjin Me Dakhul-Jannat Ke Liye Sirf Do
Hi Chiz Ka Zikar Hame Milta Hai.
(1) Emaan
(2) Aamal-Salah
Jis Se Maloom Hota Hai Ke Yahi Wo “Qurb(Yani Wasila)” Hai Jisse Allah-Taala Ne
Talaash Karne Ka Hukum Diya, Aaye Ab Hum Hadees Ki Roshnime Dekhte Hain
“Qurb(Yani Wasila)” Ke Bare Me,
(1) Hazrat-Abi-Ayub-Ansari(R.T.A) Se Riwayat Hai Ke “Rasool-Allah{Sall’allaahu
Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Safar Mejarahe The, Itne Me Ek Dihati-Aadmi Aayaaur
Aage Aakar “Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ki Ount(Camel) Ki
Rassi(Rope) Ya Nakil Pakad Kar Kaha: Ya “Rasool-Allah{Sall’allaahu Ta’aalaa
Alaihi Wa’sallam}” Mujhe Wo Baat Bataye Jo Mujhe Jannat Ke Qarib Aur Jahannam Se
Door Kar De,” “Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ne Irshad Farmaya:
Allahki Ibadat Kar Aur Kisi Ko Iska Shareek Na Bana, Namaaz Qayamkar, Zakaat De
Aur Rishtadari Ko Mila( Yani Aazizon, Rishtadaron Ke Sath Husan-E-Suluq Kar Agar
Wo Burai Kare Ya Mulaqaat Turk Kare To Tu Neeki Kar Aur Inse Milta Rah.
(Sahih-Muslim, Hadees-No-103/Sahih-Bukhari,Hadees No1396, 5983/Nisai, Hadees-No---367
)
(2) Hazrat-Abu-Hurera(R.T.A) Se Riwayat Hai Ke Ek Dihati-Aadmi “Aap{Sall’allaahu
Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}” Ke Pass Aakar Kahne Laga Ya
“Rasool-Allah{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi Wa’sallam}”Mujhko Bataye Koi Aisa
Kaam Jisse Karne Se Main Jannat Me Chala Jao?“Aap{Sall’allaahu Ta’aalaa Alaihi
Wa’sallam}” Ne Farmaya:- Wo Kaam Yehai Ibadat Kar Tu Allah Ki Aur Uske Sath Kisi
Ko Shareek Na Kare Aur Qaayam Kar Tu Namaaz Ko Aur De Zakaat Jo Farz Hai Aur
Ramzaan Ke Roza Rakhe-“ Wo Shaks Bola Qasam Uski Jiske Hanth Me Meri Jaan Hai,
Main Is Se Ziyada Karonga Na Is Se Kam, Tab Wo Pith Pher Kar Chala Gaya-“Aap{Sall’allaahuta’aalaa
Alaihi Wa’sallam}” Ne Farmaya:- Jis Se Pasand Ho Ke Jannati Ko Dekhe To Isko
Dekhle.
( *Sahih-Bukhari, Hadees-No---1397*/*Sahih-Muslim, Hadees-No---107)