Sindh Ke Sardaro'n Aur Wadero
Ke Gharon Main Peda Hony Wali Un Betiyon Ka Ziker Hy...Jo Ksi Zikr Main Aati Hi
Nahi, Taleem Jese Zevar Se Mehroom To Rakho Hi.,Per Unke Hans'ne Bolny., Pehn'ny
, Khany Piny,,Saans Lene..Yahan K Unke Marny Tak Pabandi Kyun??
Ghar Se Bahir To Qadam Rakhna Nahi..Ghar K Ander B Zindagi Aazab Hy! Beton Ko
Aalaa Taleem..Full Suport..Sab Ka Pyar...Aazadi..Confidnc! Aur Betiyan...Unka To
Jurm Yehi Hy K Wo Betiyan Hen!
Bohot Si Famlies Me Mene Dekha..Jahan Larkiyon Ki Shadi Tak Nahi Ki Jati..Kyun K
Unky Famly Me Koi Larka Nahi...To Wo Sari Zindagi Isi Tarah Ghut K Rahen! Beton
Ko Ijazat Hy Wo Jahan Marzi Or Jitni Marzi Shadiyan Kren..Does'nt Matter!
Baki Betiyon K Jaiz Huqooq B Pury Krne Ki Bat Aae...To Wo Ghairat Ka Masla Hy.Ye
Kesi Jahalat Hy..Ye Kesa Zulm Hy... Wo Ek Larki...Apne Baba K Liye Roz Nayi Nayi
Dishes Banany Wali...Bhaiyon Ko Suport Krny Wali...Maa Ki Her Problem Solv Krny
Wali..Behno Ko Best Fasionable Banany Wali..Sab Ka Khayal Rakhney Wali..Jab Khud
K Liye Ek Lafz Sun'ny Ko Tarasti Hy..Tareef Ka,Pyar Ka ,Support Ka..Uske Masoom
Jazbon Ka Kiya ?Uski Feelings Ka Kiya..
Na Unhy Taleem Di Ja Rahi Hy..Na Unko Ghar Me Pyar Or Support Hy..Na Unki Shadi
Krwai Jaegi..Na Hi Unki Zindagi Ka Koi Maqsad Hy_ Jinhy Bar Bar Ye Ehsas Dilaya
Jata Hy..K Sub Kuch To Beton Ka Hy...Tmhara Kiya Kuch B Nahi; Haya K Mary Kabhi
Shikayat Nahi Karungi..Sab Ki Khidmat Krty Hwe Mar Jaun Gi..Apne Baba Ki Izzat
Pe Qurban Hojaun Gi...Baiti Jo Hun !!
Bs Aik Bat Samaj Nahi Aati...K
Allah Pak Unhe Betiyan Kyun Daita Hy...Jo Ye Rehmat Deserv Hi Nahi Karty . . . .
.