Maal Wa Dolat
(Afshan Rahman, Chicago usa)
Mal Or Dolat Jise Insaan Apni
Malkiat Samajhta Hay Derasl Ye Allah Ki Malkiat Hay Jo Oos Ne Apne Bandon Ko
Amanat Ke Tor Per De Rakhi Hay.Lehza Insan Is Baat Ka Paband Hay Ke Jo Maal Wa
Dolat Allah Ne Dee Hay Ose Allah Hi Ke Hukum Ke Mutabiq Istemal Or Kherch
Kare.Allah Ne Dono Maamlat Dolet Kamane Or Dolat Kherch Kerne Mein Insan Ko
Hoodood Bataden Hein. Dolat Kamane Ke Maamle Mein Allah Subhana Wa Talla Jin
Zarae Se Hasil Hone Walee Amadnee Ko Haraam Qarar Deea Hay Woh Ye Hay.!-Rishwet
Or Gaseb {Sorah Al Baqarah 188]2-Khiyanat {Sorah Al E Imran 61]3Buth Garee Or
But Faroshee[Al Maida 90]4 -[Al Maida 38]Choree Se Hasil Kerna .5-Naap Tol Mein
Kami[Tatfeef 13]6-Maal Yateem Ki Haqtelfi Kerke Hasil Kerna [Sorah Alnisa 1
]7-Joowa Se Hasil Hona Bager Mehnat Ke Jese Lotto[Al Maida90]8 Sharab Ki Teyaree
Khareed Farokht Import Export[Almaida 90]9-Fahashi Or Zanna Ka Kaam Se Hasil
Hona Wala Mal[Al Noor 19]10 Soodee Karobar [Alimran 30]11 Najoomi Or Jadoo [Al
Maida90] Osee Terha Mal Ko Kahan Kherch Kerne Ki Hukum Deea Hay Woh Bhi Waze Tor
Per Al Quran Mein Batadeea Hay.!Walden' Aziz' Yateem' Miskeen' Hamsaya Sab Ke
Haq Ada Kero[Al Nis 36]Swal Kerne Mangne Wale 'Mazoor Per[ Surah Aza Riyat 10] 3
-Kherz Dena 4- Zakat 5- Sadqaat Ada Kerna..Allah Ne Maal Ko Jama Kerne Se Mana
Fermayya Hay Kuch Rakh Ker Take Tum Ko Mangna Na Pare' Tamam Dene Ka Hukum Hay
Mal Ko Lockers Mein Na Rakho Na Khud Istemal Kia Na Kisee Ko Deea Ese Na
Kero..Israaf Or Kanjosee Dono Se Bachne Ka Hukum Deea Hay..