Taraweeh 20 Raka'at Parhna
Sunnat Aur 8 Raka'at Parhna Khilaaf E Sunnat Hai, Hum In'sha ALLAH Is Ka Saboot
Quran E Pak Ki Tarteeb O Ahadees E Sahihya O Aqwaal E Ulama Aur Aqli Dalael Se
Detay Hain..
1) Quran E Pak Main Suraten Bhi Hain, Aayaten Bhi Aur Roqu Bhi,
Woh Mazmoon Jis Ka Koi Naam Rakh Diya Gaya Ho, Woh Surat Kehlaata Hai, Aur Quran
E Pak Ka Woh Jumla (Sentence) Jis Ka Koi Alehda Naam Na Ho Aayat Kehlaata Hai,
Magar Ab Dekhna Yeh Hai K Roku Ko Roku Q Kehtey Hain,
Q K Surat K Meaning Hain Ihaata Karney Waali Cheez Aur Aayat K Meaning Hain
Nishaani, Surat Chunkey Ek Mazmoon Ko Gheray Hoti Hai Jesay Sheher Panah (سورہ
البدل), Aur Aayat Qudrat E Ilaahi Ki Nishaani Hai Is Liye In K Yeh Naam Huwey,
Magar Ruko K Meaning Hain Jhukna, Dekhna Yeh Hai K Qurani Roku Ko Roku Q Kehtey
Hain,
Qutub E Qir'at Se Maaloom Huwa K Hazrat Umar O Usman (Razi ALLAH Anhu) Taraweeh
Main Jis Qadar Qur'an Parh Ker Roku Farmaatey They Us Hissay Ka Naam Roku Rakha
Gaya, Yaani In Hazraat K Roku Karney K Muqaam Itna Quran Parh Kar Roku Huwa,
Aur Chunkey Taraweeh 20 Roku Parhi Jaati Thin Aur 27th Ramazan Ko Khatam Hota
Tha, Is Lihaaz Se Quran E Pak K Qul 540 Ruko Honey Chahiyen, Lekin Khatam K Baad
Ba'az Rakaton Main Choti Cohti 2 Soorten Parh Li Jaati Thin, Is Liye Quran E
Kareem K 557 Roku Huwey,
Agar Taraweeh 8 Raka'at Hotin To Roku 216 Honey Chahiye They, Qurani Roku'aat Ki
Taadad Bata Rahi Hai K Taraweeh 20 Raka'at Honi Chahiyen, Kiya Wahaabi 8 Raka'at
Taraweeh Maan Ker Roku'aat E Quran Ki Wajah Bata Saktey Hain ??
2) Taraweeh Jama Tarweeiyah Ki Hai, Jis K Meaning Hain Jisam Ko Raahat Dena,
Chunkey In Main Her 4 Raka'at Per Kisi Qadar Raahat K Liye Bethtey Hain Is
Bethney Ka Naam Tarweeiyah Hai, Isi Liye Is Namaz Ko Taraweeh Kaha Jaata Hai
Yaani Raahaton Ka Majmoo'a Aur Taraweeh Ka Jama Hai,
Jama Kam Az Kam 3 Per Boli Jaati Hai, Agar Taraweeh 8 Raka'at Hoti To Is K
Darmiyaan Main Ek Tarweeiyah Aata, Phir Is Ka Naam Taraweeh Na Hota, 3 Tarweehon
K Liye Kam Az Kam 16 Raka'at Taraweeh Chahiye, Jin Main Her 4 Raka'at K Baad Ek
Tarweeha Ho Aur Witter Se Pehley Koi Tarweeha Nahin Hota, Taraweeh Ka Naam Hi 8
Raka'at Ki Tardeed (Inkaar) Karta Hai..
3) Her Din Main 20 Raka'at Namaz Zaroori Hai, 17 Farz Aur 3 Witter, 2 Farz Fajar
Main, 4 Zohar Main, 4 Asar Main, 3 Magrib Main Aur 4 Esha Main,
Ramazan Shareef Main RAB TA'ALA Ne In 20 Raka'aat Ki Takmeel K Liye 20 Raka'at
Taraweeh Muqarrar Farma Din, Jis Ki Her Raka'at In Ki Her Raka'at Ki Takmeel
Karey, Ger Muqallid Shayad Namaz-E-Panjgaana Bhi 8 Raka'at Hi Parhtey Hongey..
Warna 8 Raka'at Ko In 20 Raka'at Se Kiya Nisbat ??
4) Khayal Rahey K Huzoor ﷺ Ne Namaz-E-Taraweeh Pabandi Se Ba'jama'at Ada Na
Farmaai, Sirf 2 Din Ada Kin, Aur Baad Main Farma Diya, Agar Is Ki Pabandi Ki Gai
To Farz Hojaaney Ka Andesha Hai, Jis Se Meri Ummat Ko Dushwaari Hogi, Lihaazah
Tum Log Apney Ghar Hi Main Namaz Parh Liya Karo,
Baaz Log To Kehtey Hain K Yeh Namaz E Tahajjud Hi Thi Jo Maah-E-Ramazan Main
Ehtamaam Se Ada Karai Gai Isi Liye Sahaba Sehri K Aakhri Waqt Is Se Faarig Hotey,
Zamana-E-Siddiqui Main Bhi Is Ka Ba-Qaedah Intizaam Na Farmaaya Gaya, Log
Muttafarriq Tor Per Parh Letay They,
Umer (Razi ALLAH Anhu) Ne Is Ka Ehtamaam Farmaya Aur 20 Raka'at Taraweeh
Muqarrar Farmaain, Aur Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Kiya, Lihaazah Sahih Yeh
Hai K Asal Taraweeh Sunnat E RASOOL ALLAH Hai, Magar Is Ki Pabandi-E-Jama'at 20
Raka’at Sunnat-E-Faarooqi Hai,
Chunkey Huzoor ﷺ Ne Na To 8 Raka'at Ka Hukum Diya Aur Na Is Per Pabandi Farmaai,
Balkey Haq Yeh Hai K AAP Ka 8 Raka'at Taraweeh Parhna Saraahatan Kahin Se Saabit
Hi Nahin Huwa, Lihaazah Sahaba Ka 20 Raka'at Per Ittefaaq Karna Sunnat Ki
Mukhaalifat Nahin,
Humen Hukum Diya Gaya K
علیکم بسنتی وسنت الخلفاء الرشدین۔
(Sunan Ibn-E-Majah, Jild#1, Page#15-16, Raqam Ul Hadees#42-43, Matboo’a Dar-Ul-Fikar,
Beroot)
(Jami-Ut-Tirmizi, Jild#2, Page#92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)
Lihaazah Ab Hum Sahaba E Karam Ka Amal Pesh Kertay Hain, Ger Muqallidon Ko
Chahiye Koi Ek Hadees Marfoo Sahih Aesi Pesh Karen Jis Se Taraweeh Ki 8 Raka'at
Saraahatan Saabit Hon,
In'hsa ALLAH Kbhi Bhi Na Ker Saken Gey, Khair Ab Hamari Ahadees Aur Ulama E
Ummat K Aqwaal Mulaahizah Hon:
1) Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhu) Ne Apney Zamana-E-Khilaafat Main 20 Raka'at
Taraweeh Ki Ba-Qaedah Jama'at Ka Intezaam Farmaaya,
Isi Per Sahaba E Karam Ka Ijma Huwa, Mota Imam E Maalik Main Hazrat Saaeb
Ibn-E-Yazeed (Razi ALLAH Anhu) Se Riwaayat Hai K
قال کنا نقوم فی عھد عمر بعشرین رکعۃ رواہ البیھقی فی الفرقتہ باسناد صحیح۔
(Mota Imam E Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi
Ramadan, Jild#1, PAGE#115, Raqam Ul Hadees#252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas
Al Arabi , Beroot)
2) Imam Maalik (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Yazeed Bin Romaan Ne Bayaan Kiya K Hazrat Umar Bin Khattaab (Razi
ALLAH Anhu) K Dor Main Log (Witter K Saath) 23 Raka’at Parhtey They”..
(Mota Imam E Maalik, Kitab Us Salat Fi Ramadan Baa But Targheeb Fi Salaat Fi
Ramadan, Jild#1, PAGE#115, Raqam Ul Hadees#252, Matboo’a Dar Ul Ehya At Turaas
Al Arabi , Beroot)
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4394, Matboo’a
Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
(Shu’ab Ul Iman Lil Baihaqi, Jild#3, Page#77, Raqam Ul Hadees#3270, Matboo’a Dar
Ul Kitaab Ul Ilmiyah, Beroot)
(Fath Ul Baari, Jild#4, Page#253, Matboo’a Dar Ul Ma’arfah, Beroot)
3) Imam Ibn-E-Hajar Asqalaani (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Huzoor ﷺ Ne Logon Ko Do Raaten 20 Raka’at Namaz E Taraweeh Parhai, Jab
Teesri Raat Log Phir Jama Hogaey To Aap ﷺ Un Ki Taraf (Hujra E Mubarak Se Baahir)
Tashreef Laaey, Phir Subah Aap ﷺ Ne Farmaaya, Mujhey Andesha Huwa K (Namaz E
Taraweeh Tum Per Farz Kar Di Jaegi Lekin Tum Is Ki Taaqat Na Rakhogey”..
(Talkhees Ul Habeer, Jild#2, Page#21, Matboo’a Al Madinah Tul Munawwarah)
4) Ibn-E-Shaiba Aur Tabarani Kabeer Main Aur Baihaqi O Abd Ibn-E-Hameed O Bagwi
Ne Riwaayat Ki
Tarjuma: “Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Kartey Hain K Huzoor ﷺ
Ramazan Ul Mubarak Main Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Parh Kartey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#164, Raqam Ul Hadees#7692, Matboo’a
Maktaba Tur Rasheed Ur Riyaaz)
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4391, Matboo’a
Makatab Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)
Is Se Maloom Huwa K Khud Huzoor ﷺ 20 Raka'at Taraweeh Parhtey They..
5) Imam Tirmizi (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Aksar Ahl-E-Ilm Ka Mazhab 20 Raka’at Taraaweeh Hai Jo K Hazrat Ali,
Hazrat Umar (Razi ALLAH Anhuma) Aur Huzoor ﷺ K Deegar Ashaab Se Marwi Hai Aur
Yahi (Taa’baeen) Sufiyan Souri Abdullah Bin Mubarak Aur Imam Sha’fai (Rehmahullah)
Ka Qol Hai Aur Imam Sha’fai (Rehmatullah Aleh) Ne Farmaaya Main Ne Apney Sheher
E Makkah Main (Ahl-E-Ilm Ko) 20 Raka’at Taraweeh Parhtey Paaya”..
(Sunan Tirmizi Kitaab Us Soum, Jild#3, Page#169, Raqam Ul Hadees#806, Matboo’a
Dar Ul Ehya Ut Turas Ul Arabi, Beroot)
6) Imam Tabarani (Aleh Rehmah) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Ibn-E-Abbas (Razi ALLAH Anhu) Bayaan Kartey Hain K Huzoor ﷺ
Ramazan Ul Mubarak Main Witter K Ilaawa 20 Raka’at Taraweeh Parha Kartey They”..
(Tabarani Auwsat, Jild#1, Page#243, Raqam Ul Hadees#798, Matboo’a Daar Ul
Haramain, Al-Qaahirah, Misar)
(Tabarani Kabeer, Jild#11, Page#393, Raqam Ul Hadees#12102, Matboo’a Maktaba Tul
Uloom Wal Hakam Al Mosal)
(Maj’ma Uz Zawaid, Jild#3, Page#172, Matboo’a Dar Ul Kitab Ul Arabi, Beroot)
7) Imam Abdur Razzak (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K Hum Hazrat
Umar (Razi ALLAH Anhu) K Zamaaney Main Fajar K Qareeb Taraweeh Se Faarig Hotey
They Aur (Witter Mila K) 23 Raka’aat Parhtey They”..
(Musannaf Abdur Razzaak, Jild#4, Page#261, Raqam Ul Hadees#7733, Al-Maktaba Tul
Islaami, Beroot)
8) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Saaeb Bin Yazeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat
Umar Bin Al Khattaab (Razi ALLAH Anhu) K Uhad E Mubarak Main Sahaba E Karam (Razi
ALLAH Anhum) 20 Raka’at Taraweeh Parhtey They Aur In Main 100 Aayaat Waali
Sooraten Parhtey They Aur Hazrat Usman (Razi ALLAH Anhu) K Uhad E Mubarak Main
Shiddat E Qiyaam Ki Wajah Se Woh Apni Laathiyon Se Taik Lagatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild32, Page#496, Raqam Ul Hadees#4393, Matboo’a
Maktabah Daar Ul Baaz Makkah Tul Mukarramah)
9) Imam Baihaqi (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Abu Khaseeb (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Humen
Hazrat Suwaid Bin Gafla Maah E Ramzan Main Namaz E Taraweeh, 5 Tarweeihyon (20
Raka’at) Main Parhaatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4395, Matboo’a
Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Abu Abdur Rehman Salma Se Marwi Hai K Hazrat Ali (Razi ALLAH
Anhu) Ne Ramazan Ul Mubarak Main Qaariyon Ko Bulaaya Aur Un Main Se Ek Shakhs Ko
20 Raka’at Taraweeh Parhaaney Ka Hukum Diya, Aur Khud Hazrat Ali Un Ko Witter
Parhaatey They”..
(Sunan Ul Kubra Lil Baihaqi, Jild#2, Page#496, Raqam Ul Hadees#4396, Matboo’a
Maktabah Daar Ul Baaz, Makkah Tul Mukarramah)
10) Imam Ibn-E-Abi Sheba (Rehmatullah Aleh) Riwaayat Kartey Hain:
Tarjuma: “ Hazrat Shateer Bin Shakal Se Riwaayat Hai K Woh Hazrat Ali (Razi
ALLAH Anhu) K Ashaab Main Se They K Hazrat Ali (Razi ALLAH Anhu) Ramazan Main 20
Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witter Parhaatey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba. Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7680, Matboo’a
Maktabah Tur Rashad Ur Riyaaz)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Yahya Bin Saeed (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat
Umar Bin Al-Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ne Ek Shakhs Ko Hukum Diya K Woh Unhen (Musalmaanon
Ko) 20 Raka’at Taraweeh Parhaey”..
(Musannaf Ibn E Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7682, Matboo’a
Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
Ek Aur Jagah Riwaayat Hai:
Tarjuma: “Hazrat Naafey Bin Umar (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K
Ibn-E-Abi Milkiya Humen Ramazan Ul Mubarak Main 20 Raka’at Taraweeh Parhaya
Kartey They”..
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7683, Matboo’a
Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
Ek Aur Jagah Aata Hai:
Tarjuma: “Hazrat Abdul Azeez Bin Rafee (Rehmatullah Aleh) Ne Bayaan Kiya K
Hazrat Abi Bin Ka’ab (Razi ALLAH Anhu) Madina Munawwarah Main Logon Ko Ramazan
Ul Mubarak Main 20 Raka’at Taraweeh Aur 3 Raka’at Witter Parhaatey They”
(Musannaf Ibn-E-Abi Shaiba, Jild#2, Page#163, Raqam Ul Hadees#7684, Matboo’a
Maktabah Tur Rashad Ur Riyaz)
11) Imam Zehbi (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Hasan Basri (Rehmatullah Aleh) Bayaan Kartey Hain K Hazrat Umar
Bin Al-Khattaab (Razi ALLAH Anhu) Ne Logon Ko, Hazrat Abi Bin Ka’ab (Razi ALLAH
Anhu) Ki Iqtadah Main Qiyam E Ramazan K Liye Ikhatta Kiya To Woh Inhen 20
Raka’at Taraweeh Parhaatey They”..
(سیراعلاالنبلاء، ج ۱، ص 400 ، مطبوعہ موسستہ الرسالۃ بیروت)
Is Se Maaloom Huwa K 20 Raka’at Taraweeh Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Ki
Sunnat E Mubarak Aur Sahaba E Karam Khusoosan Khualfa E Rashideen Ki Sunnat E
Mubarak Hai, Jin K Baarey Main NABI AKRAM (Sallalaho Alehe Wassallam) Ne Irshad
Farmaaya:
Tarjuma: “Hazrat Arbaaz Bin Saariya (Razi ALLAH Anhu) Se Ek Taweel Riwaayat Main
Hai,…………… Pas Tum Per Meri Aur Meray Khualfa E Rashideen Ki Sunnat Ko Pakar Lena
Laazim Hai Aur Un K Tareeqey Ko Mazbooti K Saath Daanton Se Pakar Lena Q K Her
Biddat (Sayyiha) Gumrahi Hai”..
(Sunan Ibn E Majah, Jild#1, Page#15-16, Raqam Ul Hadees#42-43, Matboo’a Dar Ul
Fikar, Beroot)
(Jamey Ut Tirmizi, Jild#2, Page#92, Matboo’a Maktabah Akramiya, Peshawar)
In Riwaayaat Se Maloom Huwa K Khud Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) 20 Raka'at
Taraweeh Parhtey They Aur Ehed-E-Faarooqi Main To Is 20 Raka'at Per Amal Jaari
Hogaya Tha, Hazrat Ibn-E-Abbaas Ali Abi Bin Ka'ab O Umar O Saaeb Ibn-E-Yazeed
Wagerham Tamaam Sahaba (Razi ALLAH Anhumah) Ka Yahi Maamool Tha..
Ger Muqallideen Jo 8 Raka’at Taraweeh K Qael Hain Aur Is Per Bara Zor Detay Hain
Aur Daleel Main Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) Waali Riwaayat Pesh Kartey Hain
K:
Tarjuma: “Yaani K Nabi E Kareem (Sallalaho Alehe Wassallam) Ramzan Aur Ger E
Ramazan Main Giyaara Raka’at Se Zaaed Nahin Kartey They”..
Yeh Istidlaal Durust Nahin, Q K Is Hadees Se Taraweh Ka 8 Raka’at Hona Har Giz
Saabit Nahin Hota, Is Liye Umm Ul Momineen Hazrat Ayesha Siddique’ah (Razi ALLAH
Anhu) Yahaan Aesi Namaz Ka Ziker Ker Farmaa Rahi Hain Jo Ramazan Shareef Main
Bhi Parhi Jaati Hai Aur Ger E Ramazan Bhi,
Aur Taraweeh To Ramazan Hi Main Parhi Jaati Hai..
Chunaachey Yahaan Taraweeh Ka To Sirey Se Ziker Hi Nahin,
Balkey Tahajjud Ka Ziker Hai K AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) Ramzan Aur Ger E
Ramazan Main 8 Raka’at Tahajjud Parhtey They Aur 3 Witter…
Shah Abdul Azeez Muhaddis Dehelvi (Rehmatullah Aleh) Likhtey Hain:
Tarjuma: “Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) Ki 11 Raka’at Waali Riwaayat Namaz E
Tahajjud Per Mehmool Hai, Is Liye K Namaz E Tahajjud Ramazan Aur Ger E Ramazan
Main Hoti Thi, Jis Ki Tadaad Witter K Saath 11 Tak Puhanchta Hai,
Is Riwaayat K Tahajjud K Mehmool Honey Per Daleel Yeh Hai K Raawi E Hadees Is
Riwaayat K Silsiley Main Kehtey Hain K Hazrat Ayesha Siddique’ah (Razi ALLAH
Anhu) Ne Farmaaya, “YA RASOOL ALLAH (Sallalaho Alehe Wassallam) Kiya AAP Witter
Parhney Se Pehley Sojaatey Hain??
Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) Ne Farmaaya, Hamari Aankhen Soti Hain Dil
Nahin Sota Aur Zaahir Hai K Witter Se Pehley Sona Tahajjud Hi Main Hosakta Hai
Na Is K Ger Main..
(Fatawa Azeezi, Jild#1, Page#119, Matboo’a Mujtabai)
Lateefa:
Ger Muqallid Dar Asal Apney Nasf K Muqallid Hain, Isi Liye Inhen Ahl-E-Hawa
Yaani Hawa Parast Kaha Jaata Hai, Jis Main Nafs Ko Aaraam Miley Wohi In Ka
Mazhab Hai,
Hum In Ka Mazhab Aap Ko Dikhaatey Hain, Musalmaan Dekhen Aur Ibrat Pakren..
1) Do Matkey Paani Kabhi Ganda Nahin Hota, Lihaazah Kunwaan Kitna Hi Paleed
Hojaey Is Ka Paani Piye Jaow..
2) Safar Main Chand Namazen Ek Waqt Main Parh Lo, Rawafiz Ki Tarah Kon Baar Baar
Utrey Aur Parhey, Rail Main Bohat Bheer Hoti Hai..
3) Aurton K Zewraat Pe Koi Zakaat Nahin, Haan Janab Q Ho Is Main Kharach Jo Hota
Hai
4) Taraweeh Sirf 8 Raka’at Parho Ker Aaraam Karo, Haan Sahib E Namaz Nafs Per
Giraan Hai
5) Witter Sirf Ek Raka’at Parh Ker Soye Raho, Q Na Ho, Jald Namaz Se Chutkaara
Acha
6) Ek Baar E Talaaq De Do, Sirf Ek Hi Waqey Hogi, Dubaarah Roju Hosakta Hai, Q
Na Ho Is Main Aasaani Hai,
Garz K Jis Kaam Main Aaraam Ho, Wohi Is Ka Mazhab Hai
Lateefa:
Muslim Shareef Kitaab Ul Talaaq Main Hai K Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam)
Aur Abu Bakkar Siddique K Zamaaney Main 3 Talaaq Ek Hi Hoti Thi, Hazrat Umar Ne
Farmaaya K Logon Ne Is Main Jaldi Peda Kar Di, Lihaazah Ab Is Se 3 Talaaq Hi
Waqey Honi Chahiyen,
Aaraam Talab Ger Muqallid Le Urey K Ek Dam 3 Talaaqen Ek Hi Hoti Hain, In ALLAH
K Bandon Ne Yeh Na Socha K Kiya Umar (Razi Allah Anhu) Khilaaf E Sunnat Hukum
Kar Saktey Hain, Aur Phir Lutf Yeh Hai K Aap Ne Yeh Qaanoon Banaya Aur Kisi
Sahaba Ne Mukhalifat Na Ki,
Baat Sirf Yeh Thi, K Zamana E Nabawi Main Baaz Log Yun Keh Detay They,
“Tujhey Talaaq Hai, Talaaq Talaaq”
Aur Aakhir Main Do Talaaqon Ki Taakeed Kartey They,
Jesay Koi Kahey K,
“Main Kal Jaaounga, Kal Kal”
“Main Roti Khaounga, Roti Roti”,
Ab Bhi Agar Koi Is Niyaat Se Yeh Alfaaz Boley To Indallah Ek Hi Talaaq Waqey
Hogi,
Zamana E Farooqi Main Log 3 Talaaqen Hi Denay Lagey,
Chunkey Amal Badal Gaya, Hukum Bhi Badal Gaya, Tabhi Aap Ne Yeh Hukum Naafiz
Farmaya..
Is Mas’aley Ki Nihaayat Nafees Tehqeeq Mufti Ahmed Yar Khan Ki Tafseer Jild#2,
Aayat
الطلاق مرتان
(Parah#2, Surah#2, Aayat#229)
Ki Tafseer Main Dekhen, Jahaan Bohat Si Ahadees Se Yeh Saabit Kiya Hai K Ek Dam
3 Talaaqen Teen Hi Hoti Hain
Mazkoora Bala Hadees Jis Main Ger Muqallid Wahaabi 8 Raka’at Taraweeh Ka
Istidlaal Kartey Hain, In K Bhi Khilaaf Jaati Hai Q K Agar Is Se Bilfarz 8
Raka’at Taraweeh Saabit Maani Jaey To 3 Raka’at Witter Ka Saboot Bhi Hota Hai,
Lekim Wahaabi Hazraat Ek Raka’at Parhtey Hain, In Ka Yeh Haal Hai K Hadees Ki Ek
Baat Ka Iqraar Kartey Hain Aur Dusri Ka Inkaar Kartey Hain.