Ek baar Hazrat Imam Hussain(R.A)
apne chund saathion ke saath bethe huey theiy.unhon ne apne mulazim se khana
lane ke liey kaha.jab mulazim khana laya tou us ka paon phisal gaya aur piyali
mein se thora sa shorba Hazrat Imam Hussain(R.A)ke kapron pur gir gaya.aap(R.A)
ne mulazim ki taraf ghusse se dekha.mulazim ne Qura'an Pak ki ek surat ka woh
hissa parha jis mein ghussa pi jane ka zikr tha.aap(R.A) ne farmaya"main ne
ghussa pi lia"mulazim ne aage ka hissa parha jis mein muaaf kardene ka zikr
tha.aap(R.A)ne suna tou farmaya"main ne tujhe muaaf kia"mulazim ne agla hissa
parha jis mein kaha gaya tha ke ahsaan karne wale ko ALLAH dost rakhta hai.ye
sun kar aap(R.A)ne farmaya"ja!main ne tujhe aazad kia"