Karnay K Kam

(Syed Kifayat Ullah Hashmi, Rawalpindi)

Aaj Ki Dunya Musalmano K Lye Bohot Badal Gai Hai.Wo Waqt Chala Gaya K Jb Is Dunya Par Muslim Hukmaran Thay.. Us Waqt Hazrat Abu Bakar,Umer,Usman ,Ali ,Umer Bin Abdul Aziz (May ALLAH Be Pleased With Them Ameen) Jaise Hukmaran Thay . Magar Us Waqt K Awam Bhi Aj K Musalmano Jaise Nahi Thay .Un Main Diyanat,Sharafat,Deen Ki Samajh ,Apne Haqooq O Faraiz Se Aagahi Or Bohot Si Khasusiat Thi.Aaj K Muslims Main Kya Ha??

Maan Lia Kuch Main Diyanat Ha , Ye B Maan Lia K Sharafat Bhi Ha, Ye Bhi Tasleem Krtay Hain K Aaj Bhi Kuch Aise Hain Jo Deen Ki Samaj Rakhtay Hain Or Aisa Goroh Bhi Mojood Ha Jo Apne Haqooq O Faraiz Se Aagah Hai. Magar Sawal Ye Hai K Kya Sirf Aise Logo Ki Tadaad Yaad Rakhna Hi Hmara Kam Reh Gaya Ha Ya Aise Logo Main Hum Ne Bhi Kuch Hissa Lena Ha Or Apne Maqasid Ko Pura Krna Hai.?

Aaj Musalman Ko Sahi Musalman Banana Bra Hi Ehem Kam Hai .Ta K Hum Apne Haqooq O Faraiz Jaan Skain , Hum Deen Ki Samaj Hasil Kr Skain, Hmari Zindagio Main Diyanat O Sharafat A Skay , Hum Apne Mulk K Lye Kuch Kr Skain, Apne Hukmarano K Ache Kam Ko Acha Or Buray Kam Ko Bura  Keh Skain. Ye Sub Kab Hoga ?? Aik Sada Sa Jawab K Jb Hum Apne Deen Ko Smjhain Gay. Hum Jb Ye Janain Gay K Hmara Islam Hmay Kya Sikhata Ha ,Us Ki Taleemat Kya Hain, Wo Kis Cheez Ka Dars Deta Hai, Zindagi Guzarnay Ka Tariqa Us Ne Hmay Kya Btaya Hai. Humay Apne Shab O Roz Kaise Guzarnay Hain. Wo Hum Se Kya Chahta Ha Etc.Ye Chand Batain Ha Jo Yaha Bayan Ki Gai Hain Wrna Islam To Hr Tarah Se Mukammal Ha.

Hum Bus Ye Jantay Hain Or Isi Sentence Ko Apni Hr Taqreer ,Tehreer ,Jalso , Mehfilo Main Boltay Hain K ''Islam Is A Complete Code Of Life '' Ya Urdu Main ''Islam Mukammal Zabta E Hayat Ha ''.Magar Pta To Chalna Chaiye K Ye Code Of Life Ha Kaise? Ye Jumla Sirf Kehne Ki Had Tk Na Hona Chaiye Balkay Is Par Amal Bhi Hona Chaiye. Is Jumlay Par Amal Hum Sab Ko Krna Hai .Islam Sirf Aalim E Deen Hazraat K Amal Krne Nahi Aya Ha Balkay Har Khas O Aam K Lye Aya Hai.Is Ki Taleemat Ko Hasil Krna Sirf Un Ka Kam Nahi K Jin K Abbu Bhi Aalim ,Dada Bhi Aalim, Par Dada Bhi Aalim.Or Hamara Kam Sirf Un Ki Taqreerain Sunna , Un K Agay Peechay Chalna, Un K Hath Choomna , Un Ko Nazranain Dena Reh Gaya Hai . Aakhir Ye Kyu Ha. MashALLAH ALLAH Ne Hr Shaks Ko Aqal Di Hai Us Ko Khud Bhi To Kuch Ilm Hasil Krna Chaiye. Main Ulema Ki Sohbat Ko Bura Nahi Keh Raha Balkay Jo Buraiyan Aj K Musalman Main Peda Ho Gai Hain Un Par Tanqeed  Kr Raha Hu.Aaj K Nojawan Ko Islam Ka Mutalia Krna Chaiye.Islam Ko Samajne K Lye Sirf Madrassa Zruri Nahi Balkay Galat Or Saheeh Main Tameez Hum Khud Bhi Kuch Parh K Kr Sktay Hain.Islam Moti Moti Kitabo Main Qaied Nahi Balkay Chota Sa Islami Pamphlet Bhi Apne Under Bohot Bra Khazana Rakhta Hai. Mera Pegham Nojawano Ko Hai K Wo Deen E Islam Ki Taleemat Hasil Krain. Internet Jis Par Aap Bethay Hoye Hain Kitna Asaan Zariya Hai Aap K Lye Islam Ko  Smajne Ka.Aap Films Or Songs Pr Search Kr Sktay Hain Zra Aik Dafa Islami Books , Islamic Informations Par Bhi Kuch Search Kia Krain. Songs Suntay Hain To Acha Islami Dars Bhi Sun Lain.Apne Qareebi Jaga Par Mojood Libraries Jain , Ache Logo Main Chlay Phirain Uthay Bethain , Jb Dosto Main Ho To Islamic Information Share Krain. Kal Ko Kisi Non Muslim Se Wasta Par Jaye Or Wo Aap Se Islam Ki Knowledge Mangay To Aap Usko Kuch To Bta Skain
.
Aap Ko Deen E Islam Ki Bunyad Kalma Tayyaba, Namaz , Roza ,Haj ,Zakat Etc Ka Pata Ho Or Kuch Explanation Bhi Honi Chaiye. Apni Zindagi Main Islam K Asoolo Par Chalain Gay Tb Hi To Islam Ko Code Of Life Hota Dakhain Gay.

Aap Seerat E Nabwi (S.A.W) Ko Study Krain ,Intenet Par Kitni Hi Website Par Online Seerat Ki Books Hain, Sahaba (R.A) K Halaat Janay. Hr Musalman Se Muhabbat Krain Kisi Ki Soch Se Muttafiq Nahi To Us Ko Bura Bhi Na Kahain .Kisi Ki Soch Ko Ghalat Samajtay Hain To Dalail Se
Sabit Bhi Krain Ta K Wo Khud Haq Ka Mawazna Kr Skay. Yaha Sirf Main Kuch Hi Batain Kr Skta Hu .Agar Aap Khud Is Rah Par Chalay Gay To ALLAH Aap K Lye Asaanian Peda Kr Day Ga InshALLAH. Meri In Bato Se Agr Aik Shaks Bhi Saheeh Rastay Par Aata Hai To Meri Maghfirat K Lye Ye Bohot Hai.Aap Bhi Neki Phelain Or Apne ALLAH Or Rasool Ko Khush Krain .Quran E Pak Main Irshad Main Irshad Ha ''Or Us Shaks Ki Bat Se Achi Kis Ki Bat Hogi Jis Ne ALLAH Ki Taraf Bulaya Or Naik  Amal Kia Or Kaha K Main Musalman Hu ''(Para 24,Surah 41, Ayat 33 )

Syed Kifayat Ullah Hashmi
About the Author: Syed Kifayat Ullah Hashmi Read More Articles by Syed Kifayat Ullah Hashmi: 3 Articles with 11263 viewsCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.