Pakistani Dam Torti Tehzib

(rozina, islamabad)

Kisi Bhi Qom Ki Pehchaan Uski Rivayaat Aur Uski Tehzib Hoti Hai. Pakistani Tehzib Dunya Main Apni Misaal Aap Hai.Tehzib Aur Munfarid Rivaayaat Ki Bina Per He Pakistan Wajood Main Aaya Lekin Badaltey Hue Haalaat Aur Siyaasi Muashi Utaar Charhao Per Nazar Dali Jae To Pakistan Ki Tehzib Dam Torti Nazar Aati Hy, Aaj Yahan Magrbi Rang Parwan Charh Chuka Hy Mashirki Rasoomaat Baraey Naam Reh Gai Hain.Pakistan Key Naam Aur Uski Tehzib Ka Matlab Log Bhool Chukey Hain. Isi Liye Aaj Yahan Kaee Komein Basti Hain Eak Dosrey Ko Bhai Bhai Maniney Waley Eak Osrey Ki He Jaan Ke Darpey Ho Gae Hain Akhir Kiyun Kiyun Ye Log Apni Tehzib Ko Bhool Ker Us Se Hat Ker Murda Kom Main Shumaar Hona Chahty Hain. Yahan Logoun Main Shaur Kab Aey Ga Tab Jab Dushman Taaktein Hum Pe Ghalba Hasil Ker Lein Gi Aur Hum Se Apni Tehzib Ko Manwaney Main Hum Pe Zulm Karein Gi. Ab Bhi Waqt Hai Humain Apni Tehzib Apni Rivaayat Apni Ikdaar Ko Sanbhalna Ho Ga Khudara Zehni Gulami Se Nikal Aein Sab Apny Mulk Aur Is Tehzib Ki Kadar Karein Ta Key Hamara Hmarey Mulk Ka Pakistani Tehzib Ka Naam Hamesha Zinda Rahey Ye Kom Zindo Main Rahey Murda Tehzib Aur Murda Komon Main Na Shumaar Ho.

rozina
About the Author: rozina Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.