Khwahish

(Nighat Rehman, rwp)

Lafaz Khawahish Kahny Ko To Aik Amm Or Mamoli Aik Namukamal Hony Walaa Lafz Ha. 6 Lafzoun Pa Mushtamil Aik Jumla Mager Apny Ander Bohat Say Pur Umeed Mani Rakhta Hai , Es Ki Takmeal Kay Liya Insan Apni Sari Umer Gawan Dayta Ha . Mager Ya Pori Nahi Hoti, Aay Din Insan Ki Soch Ki Tarhan Badalti Rahti Ha. Yan To Aik Sy Aik Or Byhter Justajo Main Dal Dyti Hai , Nahe To Insane Ko Aik Aisy Dorahy Pa La Khara Karti Hai Jahan Sy Wapsi Yan Peasy Mor Kr Dykhnay Waloun Ko Rasta Aksar Dhondla Hi Nazar Ata Ha Yan Pher Nazar Hie Nahe Ata………Jaisy…(Aik Mala Yan Tasbi Ko Pura Krnay Ky Liya Aik Sy Aik Khubsurat Or Pur Kasish Dano Ko Aik Lari Main Tarteab Say Paroya Jata Hai Taky Jo Bhi Dykhy Wo Pahli Nazer Main Hi Tareef Kary…. Or Ager Wo Sub Ko Pasand Ati Hai To Insane Ka Or Bhi Dil Main Or Bhe Khwahis Paida Hoti Hai Kuch Naya Krny Ki….. . Jis Say Dil Khush Ho Logoun Ki Nazroun Main Achy Bany. … Dil Ko Khush Krny Ky Liya Hum Dil Main Paida Hony Wali Her Baat Ko Pahly Khwahish Ka Name Dyty Hain Or Kahty Han!!!!!!!!!((((((Ay! Ay Kaash Kassh)))))) Her Tasbe Ky Dany Ki Tarhan Aik Say Aik Khawahish Barhti Jati Hai Mager Faraq Etna Hai Ky Tasbe Or Mala To Kuch Dano Main Pori Ho Hi Jati Ha .

Mager Insani Khawhisat Ki Mala Kabhi Pori Nahi Ho Pati Jab Tak Sansain Chal Rahi Hain Aik Sy Aik Bari Khwahis Janam Luyti Jati Hai . Dykha Jay To Yahi Waja Insane Ko Zinda Rakhy Howay Hai……

Insan Bhi Apni Samajh Bojh Ky Mutabiq Apny Liya Byhter Sy Behter Faisla Or Byhter Maqam Ki Justajo Main Rahta Hai Jahan Esy Apny Outhay Howy Qadam Sy Faida Hota Hai Wahen Ya Or Taiz Or Mazead Hoslamand Ho Jata Hai …… Allah Rabul Izat Ny Insane Ko Asrafulmakhloqat Ka Rutba Dia Matlb Her Haywan Charind Parind Sy Afzal
Galat Or Sahi Main Faraq Btaya…..

Yahan Sab Say Zarori Bat Dyki Jay To Ya Bhi Hai Insan Ky Do Rope Hoty Hain Jo Khwahisat Ki Takmil Main Bohat Jald Zaher Ho Jaty Hain…

Missal Ky Tor Per Aik Anday Ki Doo Tahain Hoti Hain ,,, Baher Say To Sab Ko Safaid He Nazar Ata Ha Mager Jb Tora Jata Hai To Ander Say Peala Rang Bi Nazr Ata Hai Or Ager Kharab Ho To Badboo Dar Or Kharab Dykhny Ko Dil Nahi Krta ……

Bilkul Insan Ki Maisal Bhi Kuch Aisi Hi Hai. Insan Bhi Ander Say Kuch Or Baher Say Kuch Zaher Krta Hai…..Apny Nafs Per Qabo Pa Jay To Pani Ki Tarhan Shafaf…

Aik Dafa Ager Khawhish Dil Main Janam Ly Lay To Insan Apny Tamam Ter Kamoun Ka Markqz Isi Ko Bana Lyta Hai Or Esi Ki Takmil Main Apni Zindagi Ka Adha Arsa Guzar Lyta Hai .

Khawhisat Bhi Kai Tarhan Ki Hoti Hain , Jaisy Her Cheaz Or Her Kam Ky Do Pahlo Hoty Hain Jo Hamain Sochny Per Majbour Krtay Hain (Kia Acha Hai Or Kia Bura Hai) ,,,,,, Keun Ky Khuda Ny Hamain Insan Bana Kr Bhaja Aik Jeti Jagti Sahksiyat , Or Es Duniya Main Aik Rukan Ki Ahmiyat Rakhta Hai , Jis Ko Allah Rabul Izat Ny Bohat Sy Rishtoun Main Aisy Jakr Dia Hai Ky Unhi Kay Sath Uthna Bythna Hai , Khana Pena ,Rahna Sahna Hai, Apni Aik Pahchan Hai , Apna Aik Name Banata Hai , Duniya Main Insane Ko Dosary Insan Ky Sath Aisy Khoon Ky Rishtoun Main Jora Or Bandh Dia Hai Ky Kahen Wo Byta Hai To Kahen Baap ‘To Kahen Wo Shoher Ki Zimadari Ada Kr Raha Hai………..Wo Jitna Bhi Cahy In Say Alag Nahi Ho Sakta.

Or Esay Esi Muashary Main Rahna Hai .. Es Liya Usay Apni Khwahis Ko Or Us Ki Takmiel Ko Pora Krny Say Pahlay Muashary Ko Dykhna Parta Hai Hai , Ky Aya Mari Khawhish Mary Liya Or Mary Sy Mutaliq Sabhi Ky Liya Byhter To Hai Na ,, Aya Main Jo Qadam Utha Raha Houn Wo Mari Or Mary Baroun Ki Ezat Ko Khak Main To Nahi Mila Dy Ge ????????

Mager Kuch Aisy Bhi Loog Jo Kahny Ko To Door Ky Hain Per Tari Nazar Say Dykhtay Hain Tarhan Tarhan Ki Batain Krtay Hain Mager Es Main Bhi Hamain Sb Say Zayada Jis Bat Ka Khayal Rakhna Chaeya Wo Hay Hamara Mouashar ,,,,,Her Mazhab Ky Apny Tor Tariqay Hoty Hain Apni Rasmo Rawayat “ Mazhab Jis Ko Her Koi Awalen Trjeah Dyta Hai … Taky Izat _O- Abro Per Koi Harf Mat Ay …

Es Liya Ya Na Ho Ky Insane Apni Khawahisat Ko Pori Krny Ky Liya Wo Qdam Utha Byth Ky Wapis Murny Ka Koi Rasta Na Bachy!!!!!!!!’’’’ Or Wo Akaila Rah Jay.

Hamin Es Muashary Main Rahny Ky Liya Apni Khawhisat Ko Uthny Waly Her Qadam Koapny Mazhab Or Muashry Ki Nazar Sy Zaror Dykhty Hain … Mager Muashray Ka Khofe Her Waqt Damage Per Sawar Hota Hai….Koi Ya Kahy Ga To Koi Kia … Aik Had Taka J Ky Door Main Gareab Ka Jeana Mushkil Hota Hai .Usi Ki Khawahisat Ka Gala Ghont Dia Jata Hai….. Jis Ky Pas Char Paisy Houn Wo Paisoun Pa Mat Ly Jata Ha Imager Aik Na Aik Din To Hisab Baraber Hona He Hota Hai….

Khawahisat Jahan Insane Main Jeany Ki Nai Umang Paida Karti Hai To Wahan Es Ky Puray Na Hony Per Jeany Ki Umang Chor Dyty Hain.. To Kuch Main Khawahis Name Ki Cheaz Hi Nai Pai Jati Ya Zayada Ter Ameer Khandano Main Hota Hai Unhain Bhook Payas Paisy Jaisy Cheaz Ki Fikar Hi Nai Hoti Or Na Hi En Main Aisi Sens Pai Jati Hai Khola Hath Jisy Allah Dy Usy Kon Cakhay.. Mahawara To Suna Hi Ho Ga.

Dykha Allah Rabul Izat Ny To Sb Insano Ko Ashrafulmakloqat Ka Rutba Dia Ha Imager Es Muashray Ny Insane Ko Etny Choty Choty Hisoun Main Taqsem Kr Dia Hai Ky Us Ko Apni Oqat Apna Paoun Ki Chadar Dykh Kar Qadam Uthana Parta Hai…

Khawan Wo Apny Liya Hi Kun A Ho……….Samajh Nai Arahi Apny Es Topic Ka End Kaisy Karoun Ap Parhain To Mujy Zarror Btain Kia Likha Hai Main Ny Taky Main Ainda Likhoun To Apni Galtiyan Darust Kar Paoun

Nighat Rehman
About the Author: Nighat RehmanCurrently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.