Hazrat Ali(Karam ALLAH Wajho)Se
Riwayat Hai Ke Unhon Ne Farmaya."Tere Rab Ki Makhlooqat Mein Sab Se Sakht Pahar
(Mountains)Hain Magar Unhen Loha Tarash Deta Hai Aur Lohe Ko Aag Kha Jati Hai
Aur Aag Ko Pani Bujha Deta Hai.Aur Ye Aasman-O-Zameen Ke Darmian Jo Badal Hain
Ye Pani Ko Uthaey Phirtey Hain Lekin....Badalon Ko Hawa Le Jati Hai Aur Hawa Se
Insan Do Do Haath Karke Ghalib Aajata Hai Magar Nasha Insan Per Ghalib Aajata
Hai Aur Neend Nashe Per Ghalib Aajati Hai Magar Gham Neend Ko Bhi Rok Deta Hai
Tou Tere Rab Ki Makhlooq Mein Sab Se Ziada Sakht Ye Gham Hua"
Moral:Muaff Karne Aur Aazad Kardene Ki Rawish Ikhtiar Karen Take Na Kisi Ko Gham
Dene Ka Sabab Banen Aur Na Khud Ghamzada Hon(JazakALLAH-O-Khaira)