Hamari Falah Ya Phir Tabahi?

(Mrs Kaniz Fatma Anwar Mianoor, Karachi)

Mojuda Dor Nafsa Nafsi , Innteshar Or Afra Tafri Ka Dor Hai.Musalmana-Ne- Alam Shadid Mayoosi Ka Shikar Ho Chuke Hain Atomi Tabahi Ki Fiza Har Taraf Musallat Horahi Hai . Har Muslim Ryasat Dehshat Gardi K Duldal Mai Dhansai Ja Chuki Hai . Musalman Apas Mai Khud Para Para Ho Chuke Hain Itehad-O-Akhuwat Ka Fuqdan Ho Chuka Hai . 21 Sadi Musalmano K Liye Tabahi Ki Payambar Sabit Ho Rahi Hai Har Muslim Mulk Kisi Na Kisi Mahaz Per Kufar-E-Islam K Samne Nabard Azma Hai Or Paspa Hone Per Majboor Hai
 
Kabhi Humne Socha Yeh Sub Muslim Ummah K Sath Q Horaha Hai ???

Bratharen-E-Islam!!!

Sub Sai Pehli Baat Kurah-E-Arz Pe Yani Is Dunya Ka Sub Se Bara Hadsa Yeh Hai K Hum ALLAH Talla Ki Wahdaniyat Ko Chor Ker Dusron Ki Ghulami Mai Ate Ja Rahay Hain Or Is Baat Ki Gawahi Azeem Tafseerat Or Kaseer Waqiat-E-Insani Mai Aam Milte Hain . Or Shayad K Insan Nai Khud Faramosshi Ki Raah Ikhteyar Ki Or Apni Haqiqat Sai Sarf-E-Nazar Kya , Khud Faramoshi Or Apni Haqiqat Ki Feham Sai Farar Insan Ka Sub Sai Barah Gunah Hai Kyun K Is Ke Irtiqab Sai He ALLAH Talla Ko Bhula Dene Ki Raah Khulti Hai . Insan Jab Apni Haqeeqat Ko Faramosh Kar Ke ALLAH Taala Ko Bhula Deta Hai To Dar Haqeeqat Woh Azab-E-Ilahi Ka Shikar Or Museebaton Main Mubtala Hota Hai.Yeh Baat Bilkul Wazeh Hai Keh Apne Aap Ko Bhol Jana Quran-E-Hakeem K Mutabiq ALLAH Ko Bhula Dene Ki Saza Hai.

Hamare Piyare Nabi S.A.W. Ka Har Lamha Haq-E-Taala K Zikar Main Guzarta Tha App S.A.W Ki Zindagi Ka Koi Bhi Amal Zikar-E-Haq Se Juda Na Tha Or Yehi Namoona-E-Amal Ummat-E-Muslima K Liye Mashal-E-Raah Hai Or Yehi Hidayat Hadi-E-Barhaq Ne Musalmano Ko Apne Amal Se Di. Hum Musalmano Ko Is Roshni Main Apne Haal Par Gor Karna Chahiye Apne Dil Ko Tatolna Or Zameer Ki Awaz Ko Sunna Chahiye Hum Apni Hayat -E-Mustar K Rozo Shab Agar Quran Or Sunnat K Hisaab Se Guzarein Fitna-O-Intishar Khatam Kar K Musalmana-Ne-Alam Mutahid Hojaen To Dunya Ki Har Qowat Ka Muqabla Kar Sakte Hain Kufara-Ne-Islam Jo Ajj Hum Par Galib Ana Chahte Hain Magloob Hojaen Gay.Quran Gawahi Deta Hai K Tareekh Main Qaumain Jub Mutahid Huin To Dushmano Ki Pahar Ki Tarah Mazboot Safain Dum K Dum Mail Ulat Gayin Or Kufro Shirk K Mazboot Qilay Maftooh Ho Kar Haq-O-Sadaaqat Ka Parcham Lehrane Lage Or Ajj K Dor Ki Aquam Jub ALLAH Ko Bholne Lagin Or Un Ki Safon Main Dararain Pareen To Is Ka Nateeja Hum Dekh Rahe Hain Keh Har Taraf Muslim Ummah K Khoon K Darya Beh Rahe Hain

Hamain Gor Karna Chahye K ALLAH Taala Ko Bhool Kar Or Us K Rasool S.A.W. Ki Taleem Se Hat Kar Hum Dair-E-Insaniyat Se Kharij Hochuke Hain Apas Main Dast-O-Grebaan Hokar Hum Kabhi Mazboot Or Mutahid Nahe Hosakte Lehaza Agar ALLAH Ki Rasi Ko Hum Mazbooti Se Pakrain Gay To Woh Irfan-E-Zaat Hamain Woh Raah Dikae Gi Jis Par Chal Kar Hum Falah Paen Gay Or Duniya Main Musalmaan Aik Nayi Or Taqatwar Qaum Ki Soorat Main Ubharain Gay.

Mrs Kaniz Fatma Anwar Mianoor
About the Author: Mrs Kaniz Fatma Anwar Mianoor Currently, no details found about the author. If you are the author of this Article, Please update or create your Profile here.